Wednesday, 6 July 2016

BIKHRE MOTI 001-TO-300

BIKHRE MOTI -1
Alhamdulillahi wahdahu, wassalatu alaa man laa nabiyya ba'adahu
buzurgo ki sawaneh aur waqiyat badey rehbar hote hai
hz. Junaid rh. Ka qol hai
awliya ke waqiyat ke zariya Allah Ta'ala apne dosto ke dilo ko mazbut karta hai aur jamata hai.
Ye Allah ke lashkar hai, aur us par Qurane kareem ki ye aayat daleel hai
''aur sab chiz bayan karte hai hum tere paas rasulo ke ahwal se, jisse tasalli di tere dil ko''
(surah hood, aayat-120)

BIKHRE MOTI - 2
hz. Imaam abu hanifa rh. Ka qoul hai
ulema ke kisse aur unke mahasin (achchhaiyan) mujhe fiqah se bahot ziyada mehbub hai, is liye ke wo akhlaq aur adab sikhate hai, aur uski daleel Qurane kareem ki ye ayat hai.

''ye wo log the jinko hidayat ki Allah ne, so tu chal unke tariqe par''
(surah An'aam, ayat-90

''albatta unke ahwal se apna haal qayaas karna hai aqqal walon ko''
(surah yusuf, ayat-111)

hz. Malik bin dinaar rh. ka qaul hai
hikayat wa waqiyat jannat ke tohfe hai
hiqayat ziyada se ziyada bayan karo ke ye MOTI hai aur bahot munkin hai ke unme koi nadeer moti hath aa jaye

sufiyan bin uyyanah rh. Ka qaul hai
sulha aur nek logon ke zikr ke waqt rahmat barasti hai

BIKHRE MOTI 3
islam haq hai, uski mehnat ke liye 4 maah maangte hai, uske liye 4 line ki mehnat hai.
1. Sunne ki mehnat (ta'lim)
2. bolne ki mehnat (da'wat)
3. Mangne ki mehnat (duaa)
4. Sochne ki mehnat (zikr)
imaan mujahde se pakega,
da'wat dene se banega,
hizrate safar se felega,
huququl ibaad ki adaaygi se bachega.
(hz. Mv. Ahmed Laat sahab db.)

BIKHRE MOTI 4
Qayamat ke din nabi aur shaheed bhi inhe dekh kar khus honge, aur wo noor ke khas mimbaron par honge wo log ye hai
ye log Allah ke bando ko un kaamo ka huqm denge jo kaam Allah ko pasand hai, aur un kamo se rokenge jo Allah ko pasand nahi hai, wo bande jab Allah unki baat maan kar Allah ke pasandida kaam karne lag jaye to ye bande Allah ke mehbub ban jate hai

BIKHRE MOTI 5
jo shakhs kisi ranj-wa-gam me mubtla ho uske kaan ne azaan dene se uska ranj wa gam dur hota hai.
Hazrat ali rd. Farmate hai ke meine ye amal kiya to mera gam dur ho gaya, isi tarah tamam rawiyon ne usko aazma kar dekha to sab ne usko mujarrab paya.
(kanzul ummal j-2, 658)
jiski aadat kharab ho jaye chahe insan ho ya janwar uske kaan me azaan di jaye,
jo bad akhlaq ho jaye, chahe insaan ho ya chopaya (yane janwar) uske kaan me azaan do.
(mishkat 2/149)

BIKHRE MOTI 6
koi shakhs bhut-pret dekhe to usko buland awaz se azaan kehni chahiye.
Hz. Sa'ad bin abi waqqas rd. Kehte hai ke rasulullah sallallahu alayhi wasallam ne farmaya ke
jab tumhare samne bhut-pret mukhtalif shaklo me namudaar ho to azaan kaho.
(musannif abdurrazzaq 5/163
is waqt bhi buzurgo ne azaan ka zikr kiya hai
1. Aag lagne waqt
2. Kuffar se ladaai ke waqt
3. Gussa ke waqt
4. Jab musafir rasta bhul jaye
5. Kisi ko mirgi (waay ki bimari) ka doura pade.

BIKHRE MOTI 7
is waqt azaan sunnat hai
1. Farz namaz ke liye
2. Bachchha ke kaan me (pedaish ke waqt)
3. Aag lagne waqt
4. Jang-e-kuffar ke waqt
5. Musafir ke pichhe jab shayatin zahir hokar daraye
6. Gam le waqt
7. Gussa ke waqt
8. Jab musafir rasta bhul jaye
9. Jab kisi ko mirgi (waay) aaye
10. Jab kisi aadmi ya janwar ki badkhulqi zahir ho.
(imdadul fatawa 1/165)

BIKHRE MOTI 8
ma'amuli iqrame muslim par sarey gunah muaaf
hz. Salman rd. Ne kaha
ek martaba me huzure aqdas sallallahu alayhi wasallam ki khidmat me hazir huwa,
aap ek taqiya par tek lagaye huwe the,
aap ne wo taqiya mere liye rakh diya,
fir mujh se farmaya
'ey salman..! Jo muslaman apne musalman bhai ke paas jata hai aur wo mezban uske iqram ke liye taqiya rakh deta hai to
Allah ta'ala uski magfirat zarur farma dete hai'
(mafhum.... Hayatusshaba 2/561)

BIKHRE MOTI 9
BURI MAUT SE BACHNE KA EK NABWI NUSKHA
Hz. Usman rh. Kehte hai ke
hz. Haarisa bin nauman rd. Ki binaayi (aankho ki roshni) jaa chuki thi.
Unhone apni namaz ki jagah se lekar ghar ke darwaze tak ek rassi baandh rakhi thi.
Jab darwaze par koi miskeen aata to apne tokre me se kuchh lete aur rassi pakad kar khud darwaze tak jateair khud apne hath se miskeen ko dete
ghar wale unse kehte aap ki jagah hum miskeen ko jakar de aate..
Wo farmate :
meine rasulullah sallallahu alayhi wasallam ko farmate suna hai ke
miskeen ko apne hath se dena buri maut se bachata hai.
(hayatussahaba 2/234)

BIKHRE MOTI 10
MUTAKABBIR KI TARAF ALLAH TA'ALA NAZRE RAHMAT SE NAHI DEKHTE
HZ. Aayesha raziyAllahu anha farmati hai ke
meine ek martaba apni nayi kamees pehni
me usey dekh kar bahot khus hone lagi wo mujhe bahot achchhi lag rahi thi
hazray AbuBakr raziyAllahu anha ne farmaya
'kyaa dekh rahi ho ? Is waqt Allah tumhe nazre rahmat se nahi dekh rahe hai.
Meine kaha
'ye kyun..?..'
famaya : 'kyaa tumhe malum nahi hai ke duniya ki zeenat ki wajah se banda me UJB (khud ko achcha samjhna) paida ho jata hai to jab tak wo banda zeenat chhod nahi deta us waqt tak uska Rab usse naraz rehta hai'
hz. Aayesha rd. Farmati hai ke
'meine wo kamis utaar kar usi waqt sadqa kar di to hz. Abu Bakr rd. Ne farmaya ' shayad ye sadqa tumhare is UJB ke gunah ka kaffara ho jaye'
(hayatussahaba 2/399)

BIKHRE MOTI 11
hz. Jibrail al. Ne huzur sallallahu alayhi wasallam ko 5 kalimat sikhaye....
Fir huzure paak sallallahu alayhi wasallam ne hz. Fatema rd. Ko ye hi 5 kalimat sikhaye.....
Fir hz. Fatima rd. Ke waste se puri ummat ko mile
hazrat suwaid bin gaflah rd. Kehte hai ke
hazrat Ali rd. Par ek mattaba Faaka aaya to unhone hz. Fatima rd. Se kaha ke
agar tum huzure aqdas sallallahu alayhi wasallam ki khidmat me jaakar kuchh maang lo to achchha hai
chunanche hz. Fatima huzur sallallahu alayhi wasallam ke paas gayi
us waqt umme ayman rd. Maujud thi
hz. Fatima rd. Ne darwaza khatkhataya
to huzur sallallahu alayhi wasallam ne hz. Umme ayman rd. se farmaya ke ye khitkhitahat to fatima ki hai. Aaj is waqt aayi hai. Pehle to kabhi is waqt nahi aayaa karti thi.
Fir hz. Fatima rd. (ander aa gayi aur) arz kiya
ya rasulullah sallallahu alayhi wasallam
un farishto ka khana LA-ILAAH, SUBHANALLAH, aur ALHAMDULILLAH hai.
Hamara khana kyaa hai...???
Aap s.a.w. Ne farmaya us zaat ki kasam jisne mujhe haq dekar bheja hai...
Muhammad (salalllahu alayhi wasallam) ke gharane me 30 din se aag (chulha) nahi jali.
Hamare paas chand bakriyan aayi hai, agar tum chaho to 5 bakriyan tumko de dun..
Aur agar chaho to.....
(baaqi msg 12 me inshaAllah)

BIKHRE MOTI 12
(msg 11 ka aagey)
Hamare paas chand bakriyan aayi hai, agar tum chaho to 5 bakriyan tumko de dun..
Aur agar chaho to..... Tumhe wo 5 kalimaat sikha dun jo mujhe hz. Jibraeel al. Ne sikhaye hai.
Hz. Fatima rd. Ne arz kiya
Nahi, mujhe to wo hi 5 kalimat sikha dijiye jo aap ko hz. Jibarail al. Ne sikhaye hai.
Huzur sallallahu alayhi wasallam ne faramaya:
tum ye kaho.
'' YA AWWALAL AWWALIN WA YA AAKHIRAL AAKHIREEN WA YA ZALQUWWATIL MATEEN WA YA RAHIMAL MASAKEEN WA YA ARHAMARRAHIMEEN''
یا اول الاولین و یا آخر الا خر ین و یا ذالقوت المتین و یا راحم المسا کین و یا ارحم الراحمین
HZ. Fatima rd. Wapas chali gayi. Jab hz. Ali rd. Ke paas pahonchi to hz. Ali rd. Ne puchha kyaa huwa..?
Hz. Fatima rd. Ne kaha.. Me aap sallallahu alayhi wasallam ke paas duniya lene gayi thi lekin wahan se aakhirat le aayi hun..
Hz. Ali rd. Ne kaha.. Fir to ye din tumhara sab se behtareen din hai.
(hayatussahaba 3/56)

BIKHRE MOTI 13
hz. Ibne abbas rd. Ki riwayat me hai ke
rasulullah sallalahu alayhi wasallam ne framaya ke
Allah ta'ala ne 2 aayeten Jannat ke khazano me se nazil farmayi hai. Jisko tamam makhluq li pedaish se 2000 saal pehle khud Rahman ne apne hath se likh diya tha.
Jo shakhs usko isha ki namaz ke baad padh le to wo uske liye qayamul lail yaani tahajjud ke qayim maqam ho jati hai.
Allah ta'ala ne surah bakrah ko un 2 aaayton par khatm farmaya hai. Is liye tum khas tor par un ayaton ko sikho aur apni aurton aur bachchon ko sikhao.
Wo aayeten surah bakrah ki aakhro 2 aayeten hai.
(mafhum.. Ma'riful Quaran 1/694)

BIKHRE MOTI 14
HZ. Maulana shah AbdulGani fulpuri rh. Ne faramaya
hz. Haji Imdadullah rh. Se mankul hai
jo shakhs subah ko 70 martaba pabandi se ye aayat padha karey wo rizk ki tangi se mahfuz rahega, aur farmaya ke bahot mujarrab amal hai.
''ALLAHU LATIFUM BI IBADIHEE YARZUKU MANYYASHAU WAHUWAL QAWIYYUL AZIZ''
اللہ لطیف بعبادہ یرزق من یشآ ء
وہو القوی العزیز.
(Ma'riful Quran 7/687)

BIKHRE MOTI 15
Imaam zahbi rh. Ne hz. Imran bin husain rd. Se naql kiya ke
Rasulullah sallallahu alayhi wasallam ne farmaya:
Qayamat ke din ulema ki kalam ki roshnai jisse unhone ulme deen aur ahqam e deen likhe hai,
aur
shahidon ke khun ko tola jayega to ulema ki roshnai ka wazan shahidon ke khun ke wazan se badh jayega.
(ma'ariful quaran 3/523)

BIKRE MOTI 16
CHILAA KI FAZILAT
Ek hadis me rasulullah sallallahu walayhi wasallam ka irshad hai ke
jo sahkhs 40 roz ikhlas ke sath Allah ta'ala ki ibadat karey to Allah ta'ala uske dil se hikmat ke chasme jaari farma dete hai.
(ruhul bayan, marifulquran 4/58)

BIKHRE MOTI 17
EK AHAM NASIHAT
-ADAB se ILM samajh me aataa hai.
-ILM se AMAL sahih hota hai.
-AMAL se HIKMAT milti hai.
-HIKMAT se ZUHAD qayim hota hai.
-ZUHAD se duniya MATRUQ (tarq) hoti hai.
-DUNIYA KE TARQ se aakhirat ki RAGBAT phasil hoti hai.
-AAKHIRAT ki RAGBAT haasil hone se Allah ke nazdik rutba hasil hota hai.

BIKHRE MOTI 18
SHAITAN KA PESHAB INSAAN KE KAAN ME..!
hz. Abdullah ibne masood rd. Farmate hai ke
nabi e karim sallallahu alayhi wasallam ke samne ek aadmi ka zikr kiya gaya ke
wo subah tak sota hi rehta hai, namaz ke liye bhi nahi uthta,
to aap salallahu alayhi wasallam ne irshad farmaya
'ye aisa aadmi hai jiske kaano me shytan peshab kar jata hai'
(bukhari wa muslim)
(tarikhe jinnat wa shayatin 385)

BIKHRE MOTI 19
HZ. UMAR RD. KA QABR ME FARISHTON SE SAWAL KARNA
nabi sallallahu alayhi wasallam Ne farmaya:
us zaat ki kasam jisne mujhe haq dekar bheja hai
mujhe jibrail al. Ne bataya hai ke
munkar nakir tumhare (hz. Umar rd. Ke) paas aayenge aur aur tum se sawaal karenge ke
UMAR TERA RAB KAUN HAI..?
To tum jawab me kahoge:
MERA RAB ALLAH HAI, TUM BATAO TUM DONO KA RAB KAUN HAI..?
Aur hazrat muhammad sallallahu alayhi wasallam mere nabi hai, TUM DONO KE NABI KON HAI..?
Aur islaam mera deen hai. tum dono ka deen kya hai..?
Is par wo dono (farishte) kahenge...
Dekho...! Kya ajeeb baat hai...!
Hamen pataa nahi chal raha hai ke hamen tumhare paas bheja gaya hai ya tumhe hamare paas bheja gaya hai...!?!?!??
(hayatussahaba 3/99)



BIKHRE MOTI 20
hz. muaaz bin jabal rd. aap sallallahu alayhi wasallam ki qabr mubarak par khade ho kar ro rahe the,
hz. muaaz rd. se hz. umar rd. ne puchaa : kyun ro rahe ho.?
farmaya: meine ek hadis suni thi ke : Allah paak aise logo ko pasand karta hai jo muttaqi ho aur chhupe huwe ho, aise ke agar majlish me aae to koi unko na pehchane aur agar majlish me na ho to koi na dhundhe ke falaan sahab kahaan gaye..! majlish me kun na aaye..!
unke dil hidayat ke chirag hai, har fitna se mehfuz rahenge.
kaam khub karey, ta'lluq maAllah bahot ho, magar chhupe huwe ho,
zamin par ziyada log na pehchante ho, aasamaan par sab jante ho.
[hayatussahaba 2/785]

BIKHRE MOTI 021
hz. Abdurrahman bin Auf rd. farmate hai
jab huzur sallallahu alayhi wasallam ka duniya se tashrif le jane ka waqt kareeb aaya to hazrate sahaba rd. ne arz kiya ;
ya rasulullah sallallahu alayhi wasallam hamen wasiyat farma do.
huzur ne farmaya : muhajirin me se jo sabiqeen e awwwalin hai me tumhe unke sath aur unke baad unki awlad ke sath achchhe sulook ki wasiyyat karta hun, agar tum is wasiyyat par amal nahi karoge tumhara NA NAFLI AMAL QUBUL HOGA AUR NA FARZ AAL QUBUL HOGA.
[hayatusshaba 2/485]
FAAYDA:
deen ka kaam karne wale sathiyon ki aulaad ki riaayat zaruri hai, sab se achchha sulook ye hai unko bhi da'wat ke kaam me mohabbat se chalaya jaye ur khair-khwahi ka muaamla kiya jaye.

BIKHRE MOTI 022
MAIYYAT PAR RONE WALI KO AZAAB
noha karne wali ne agar apni maut se pehle tauba na kar li to
usey qayamat ke din gandhak ka kurta aur khujli ka dupatta pehnaya jayega,
muslim sharif me bhi ye hadis hai aur
ye bhi riwayat hai ke
wo jannat-dozakh ke damiyan khadi ki jayegi,
gandhak ka kurta hoga aur munh par aag khel rahi hogi.
[tafsir ibne kaseer 3/85]

BIKHRE MOTI 023
AURTEN 3 TARAH KI HOTI HAI
hz. umar rd. ne farmaya
aurten 3 tarah ki hoti hai
1. ek to wo jo paak-daaman muslman, naram tabiyat, mohabbat karne wali, ziyada bachche dene wali ho, aur zamana ke fashion ke khilaf apne ghar walon ki madad karti ho, [saadgi se rehti ho]
aur ghar walon ko chhod kar zamane ke fashion par na chalti ho, lekin
tumhe aisi aurten kam milegi.
2. dusri wo jo khawind se bahot mutalba karti ho, aur bachche janne ke alawa uska aur koi kaam nahi.
3. teesri wo jo khawind ke gale ka touk [fanda] ho aur juu ki tarah chimti huwi ho.
[yaane bad-akhlaq bhi aur uska mahar bhi ziyada ho, jiski wajah se uska khawind usey chhod na sakta ho]
aisi aurat ko Allah ta'ala jiski gardan me chahte hai daal dete hai,
aur jab chahte hai uski gardan se utar lete hai.
[hayatussahaba 3/562]

BIKHRE MOTI 024
HUZURE AKRAM SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM KI
HZ. ANAS RD. KO 5 NASIHATEN
1. ey anas..! qaamil wuzu karo, tumhaari umar badhegi.
2. jo mera ummati mile, salaam karo, nekiyan badhegi.
3. ghar me salaam kar ke jaya karo, ghar ki kheriyat badhegi.
4. chast ki namaz padhte raho, tum se agle log jo Allah wale ban gaye the unka ye hi tariqa tha,
5. ey anas..! chhoton par raham kar, badon ki izzat aur touqeeer kar, tu qayamat ke din mera sathi hoga.
[tafsir ibne kaseer, 3/528]

BIKHRE MOTI 025
HUZUR SALLAHU ALAYHI WASALLAM KI
HZ. ABU BAKR RD. KO 3 NASIHATEN
huzur sallallahu alahi wasallam ne farmaya
suno AbuBakr..! 3 chizen bilkul barhaq hai.
1. jis par koi zulm kiya jaye aur wo usse chasm-poshi karey to zarur Allah ta'ala usey izzat dega aur uski madad karega.
2. jo shakhs sulook aur ehsaan ka darwaza kholega aur silaa-rahmi ke irade se logon ko deta rahega, Allah ta'ala usey barkat dega aur ziyada ataa farmayega.
3. aur jo shakhs maal badhane ke liye sawaal ka darwaza khol lega, isse-usse maangna padega,
Allah ta'ala uske yahan be-barkati kar dega, aur kamee me hi usey mubtla rakhega.
ye riwayat Abu Dawood me bhi hai.
[tafsir ibne kaseer 5/23]


BIKHRE MOTI - 26.
BAD-BAKHTI KI 4 ALAAMATEN
Hadis sharif me hai ke bad-bakhti ki 4 alaamaten hai,
1. aankhon se aansoo jaari na hona.
2. dil ki shakti,
3. tuul-e-amal yaane lambi ummide bandhna,
4. duniya ki hirs.
[ma'ariful quran 5/279]

BIKHRE MOTI - 27
HAASIL-E-TASAWWUF
hazrat ashraf ali thanwi rahmatullah ne irshad farmaya ke
Tamaam sulook aur tasawwuf ka haasil ye hai ke
Taa'at ke waqt himmat kar ke taa'at ko bajaa laye,
Aur ma'asiyyat [gunah] ke takaze ke waqt himmat kar ke ma'asiyyat se ruk jaye,
Usse ta'alluq ma'Allah paida hota hai, mehfuz rehta hai, taraqqi karta hai.
[kashqoul-e-ma'rifat 523]

BIKHRE MOTI - 28
Peerane Peer hazrat Seikh Abdul Qadir Jilani rh. ne ek mureed ko khilafat di, aur farmaya ke
Falaan muqaam par jaakar deen ki tableeg wa isha'at karo,
Chalte chalte mureed ne arz kiya ke : koi nasihat farma dijiye
Seikh ne farmaya ke 2 baaton ki nasihat karta hun.
1. kabhi khuda ka da'awa mat karna.
2. nabuwwat ka da'awa na karna.
Mureed hairaaan huwa ke mei barso baras aap ki sohbat me raha..!
Kya ab bhi ye aehtimaal aur khtra tha ke me khudaai aur nabuwwat ka da'awa karunga..?
Aap rahmatullah ne farmaya ke khudaai aur nabuwwat ke da'awa ka matlab samajh lo, fir baat karo.
[baaqi msg 29 me]

BIKHRE MOTI - 29.
[msg 28 ka aagey]
Aap rahmatullah ne farmaya ke khudaai aur nabuwwat ke da'awa ka matlab samajh lo, fir baat karo.
 Khuda ki zaat wo hai ke jo keh de wo atal hota hai, usse ikhtelaf nahi ho sakta,
Jo insaan apni raay ko is darza me pesh karey ke wo atal ho, uske khilaf na ho sake, to usko khudaai ka da'awa hoga.
nabi wo hai jo zabaan se farmaye wo sachchi baat hai, kabhi jhut nahi ho sakta.
jo insaan apne qaul ke barey me kahe ke ye itni sachchi baat hai ke uske khilaf ho hi nahi sakta, wo dar-e-parda nubuwwat ka muddaee hai ke meri baat galat ho hi nahi sakti, haala ke ye uski zaati raay hai.
[hiqayaton ka guldasta, maulana aslam sekhpuri 92]

BIKHRE MOTI - 30
HAR HAAL ME ALLAH TA'ALA PAR AETEMAAD
Imaam fakhruddeen raazi rh. gaaliban surah yusuf me ek jagah tahreer farmate hai
Meine apni tamam umar me ye tajurba kiya hai ke
Insan apne kisi kaam me jab Gairullah par bharosa karta hai aur aetemad karta hai to ye uske liye mehnat wa mashaqqat aur sakhti ka sabab ban jata hai.
Aur jab Allah ta'ala par bharosa karta hai aur makhluq ki taraf nigaah nahi karta to ye kaam zarur biz zarur nihayat husn aur khubi ke sath pura hota hai,
Ye tajurba ibteda-e-umar se lekar aaj tak [jab ke meri umar 57 saal ki hai] barabar karta raha, aur ab mere dil me ye baat raasikh [atal] hai ke
Insaan ke liye bajuz uske chara nahi hai ke apne har kaam me Haq Ta'ala ke fazlo karam aur ehsaan par nigaah rakhe, aur dusri chiz par hargiz bharosa na karey.
[hayat-e-fakhr 38]

BIKHRE MOTI - 31
KISI ZAMANE ME KHAJUR KI GUTHLI JAISE GEHUN KE DAANE
Musnade imam ahmed bin hambal me hai ke
Ziyaad ke zamane me ek theli payi gayi thi, jisme khajur ki badi guthli jaise gehun [whaet] ke daane the aur usme likha huwa tha ke
Ye us zamane me ugte the jis me adal-wa-insaf ko kaam me laya jata tha.
[tafsir ibne kaseer 4/176]

BIKHRE MOTI – 32
GUNAHGARON KO 3 CHIZON KI ZARURAT HAI
1. ek to Allah ta'ala ki muaafi ki, taa ke azaab se najaat paye,
2. dusre parda-poshi ki taa ke ruswai se bach jaye,
3. teesre asmat ki taa ke do barah gunah me mubtla na ho.
[tafsir ibne kaseer 1/385]

BIKHRE MOTI - 33
DA'AWAT KA KAAM KARNE WALON KE LIYE 6 GAIN "G" KE JUMLE JINSE BACHNA ZARURI HAI
1. GULOO SE BACHNA "laa tagloo fee deenikum"
لا تغلو فی دینکم
''tum apne deen me naa-haq guloo had se zayadati mat karo"
2. GIL [KEENA] SE BACHNA "laa taj'al fee quloobina gillallilazeena aamanu"
لا تجعل فی قلوبنا غلا للذین آمنو
"hamare dilon me imaan walon ki taraf se keena na hone deejiye"
3. GUROOR SE BACHNA "laa tus'a'eer khaddaq linnaasi"
لا تصعر خدک للناس
"logon se apna rukh mat fer"
4. GAFLAT SE BACHNA "laa takum minal gaafileen"
لا تکن من الغا فلین
"tu gaflat karne walon me se mat ho''
5. GEEBAT SE BACHNA "algeebtu ashaddu minazzina"
الغیبت اشد من الزنا
"geebat [anjaam ke aetbar se] zinaa se ziada sakht hai"
6. GUSSA SE BACHNA "walav kunta fazzan galeezal qalbi lan faddoo min havlik"
ولو کنت فضا غلیظ القلب لانفضو من حولک
 "aur agar aap tund-khoo, sakht tabiyat hote to ye aap ke paas se hat jate. so aap unko muaaf kar deejiye aur aap unke liye istigfar kar deejiye, aur unse khaas-khaas baton me mashwera lete raha kijeeye, fir jab aap raay pakkee kar le to Khuda par bharosa keejiye.
[bikhre moti j-1]

BIKHRE MOTI - 34
HZ. UMAR RD. KI 6 NASIHATEN
1. jo aadmi ziyada hansta hai...uska roub kam ho jata hai.
2. jo mazaak ziyada karta hai...log usko halka aur be-hesiyat samjhte hai.
3. jo baaten ziyada karta hai...uski lagzishen ziyada ho jati hai.
4. jiski lagzishen ziyada ho jati hai...uski hayaa kam ho jati hai.
5. jiski hayaa kam ho jati hai...uski parhezgari kam ho jati hai.
6. jiski parhezgari kam ho jati hai...uska dil murda ho jata hai.
[hayatussahaba-3/562]

BIKHRE MOTI - 35
CHORI AUR SHAYTANI ASRAAT SE HIFAZAT
sone se pehle 21 martaba, 'Bismillah' padhe to chori, shaytani asaraat aur achcnak maut se mehfuz rahega.
ZAALIM PAR GALBA
kisi zaalim ke samne 50 martaba 'Bismillah' padhe to Allah ta'ala zaalim ko magloob kar ke padhne wale ko gaalib karenge.
[khazana-e-aamal page-8]

BIKHRE MOTI - 36
GAREEBI AUR KHUSH_HAALI
Gareebi aati hai 7 chizon se
1. jaldi jaldi namaz padhne se
2. khade ho kar peshab karne se
3. peshab karne ki jagah wuzu karne se
4. khade ho paani pine se
5. munh se chirag buzane se
6. daant se nakhun katne se
7. daaman ya aastin se munh saaf karne se
khush_haali aati hai 7 chizon se
1. quran ki tilawat karne se
2. pancho waqt ki namaz padhne se
3. khuda ka shukr adaa karne se
4. garibon aur majbooron ki madad karne se
5. gunahon se muaafi mangne se
6. maa-baap aur rishtedaron ke sath achchha bartaw karne se
7. subah ke surah 'yasin' aur sham ke waqt surah 'waqiyah' padhne se
[taamir-e-hayaat page-23, 25-sep-2000]

BIKHRE MOTI - 37
HZ. IMAAM MAALIK RH.
baa'z haasidon ne imaam maalik rh. ki sakht maar-pit ki, khalifa e waqt sazaa dena chahta tha, hz. imaam maalik rh. ne sawari par sawar hokar shaher me ailan kiya ke:
'meine un sab ko muaaf kiya, kisi ko sazaa dene ka koi haq nahi.
HZ. IMAAM AHMED BIN HAMBAL RH. hz. imaam bin hambal rh. ko khalifa kode lagwata, imaam sahab har roz muaaf kar dete,
Puchha gaya : kyun muaaf kar dete hai..? farmaya : meri wajah se huzur sallallahu alayhi wasallam ke kisi ummati ko qayamat me azaab ho usme mera kyaa fayda..?
HZ. IBRAHIM BIN AD'HAM RH. aap ko sipaahi ne jute maare, baad me us sipahi ko malum huwa ke ye to bahot badey buzurg hai..!
Usne muaafi chahi, aap rh. ne farmaya : tumhara dusra juta marne se pehle pehla muaaf kar deta tha.
[bikhre moti-j-1]

BIKHRE MOTI - 38
BACHCHO KI BAD-TAMIZI KA SABAB AUR USKA ILAAJ
Bachchon ki bad-tamizi aur na-farmani ka sabab umuman walidain ke gunaah hote hai,
Allah Ta'ala ke sath apna muaamla durust karey aur
3 baar surah fatiha paani par dam kar ke bachcho ko pilaya karey.
(aap ke masail-7/208)

BIKHRE MOTI - 39
ALLAH ki rahmat us qoum par nazil nahi hoti jisme aisa shakhs maujud ho jo apne rishte naato ko todta ho.
(shoubul iman, bayhaqi)
Jannat me wo shakhs ghusne na payega jo apne rishte naato ko todta ho.
(bukhari wa muslim)
Har jumaa ki raat me tamam insano ke amal aur ibadaten Allah ke darbar me pesh hoti hai,
Jo shakhs apne rishtedaron se bad-sulooki karta hai uska koi amal qubul nahi hota.
(attargib wa ttarhib)

BIKHRE MOTI - 40
Huzure aqdas sallallahu alayhi wasallam kisi safar me the ke ek bakri pakane ki tajwiz huwi,
Ek shakhs ne kaha ke uska zabah karna mere zimme hai,
Dusre ne kaha uski khaal khinchna mere zimme hai,
Teesre ne kaha ke uska pakana mere zimme hai,
Huzur sallallahu alayhi wasallam ne farmaya "lakdiyan ikaththa karna mere zimme hai",
Aap sallallahu alayhi wasallam Ke rufqa (sathiyon) ne arz kiya : ye hum hi aap ki taraf se kar lenge,
Aap sallallahu alayhi wasallam ne farmaya ke : haan, mujhe ma'lum hai ke tum meri taraf se kar loge,
Lekin mujhe ye baat naa-ganwaar hai ke me apne rafiqon se imtiyazi shaan me rahu, Aur Allah paak ko bhi na-pasand hai apne bande ki ye baat.
(mahnama al-mahmud, s-20, may-june-2001)

BIKHRE MOTI - 41
TELEVISION KE SATH DAFAN HONE KA IBRATNAK WAQIYA
(msg-41-42-43 me ye msg muqammal hoga)
Jab se tv. Dekhne ka riwaj pada hai tv. Dekhne walon ke marne ke baad qabr me azaab hone ke bade hi ibratnak waqiyat bhi samne aa rahe hai, jinse hamen sabaq lena chahiye, kyun ke Allah ta'ala ye waqiyat isi liye dikhate hai taa ke hum log ibrat hasil karey,
Chunache ek risala ''tv ki tabaahkariyan'' me ek aurat ka bada ibratnak waqiya likha hai ke,
Ramzan me iftar ke waqt ghar me ek maa aur ek beti thi, maa ne beti se kaha mehman aane wale hai, iftari taiyyar karne me meri madad karo,
Beti ne saaf jawab diya ke is waqt tv. Par ek khaas program aa raha hai, me usey dekhne ke baad kuchh karungi,
Waqt kam tha is liye maa ne kaha ke tum tv. Ko chhodo aur pehle kaam karo, magar beti ne maa ki baat nahi mani aur fir us khyal se upar ki manzeel me tv. Lekar chali gayi,
Usne kamre ke ander se kundi lagayi aur tv dekhne me mashgul ho gayi, niche maa aawaz deti reh gayi lekin usne kuchh parwah na ki,
Iftar ke waqt maa ne fir beti ko awaz di ke wo bhi iftar kar le, lekin beti ne koi jawab nahi diya to maa ko fikr huwi,
Maa ne upar jakar darwaza khatkhataya aur awaz di lekin koi jawab nahi aaya, chunache us ladki ke baap aur bhai ne aakhirkaar darwaza tod diya,
Jab darwaza tod kar ander gaye aur dekha ke...
(baaqi msg 42 me)

BIKHRE MOTI - 42
(msg 41 ka aagey)
....jab darwaza toda aur ander dekha ke..
Tv. Ke samne ander mari huwi, undhe munh zamin par padi hai,
Uske baad jab uski laash uthane ki koshish ki to uski laash na uthi aur aisa mehsus hone laga ke wo bahot bhari ho chuki hai,
Sab pareshan ho gaye ke uski lash kyun nahi uth rahi hai...??!!
Ek sahab ne us waqt jo tv. Uthaya to uski laash bhi uth gayi..!!
Ab surate haal ye ho gayi ke agar tv. Uthaye to hi uski laash halki ho jaye, agar tv. Rakh de to uski laash bhaari ho jaye,
Us tv. Ko utha kar uski laash niche lakar gusl diya, kafan diya.
Jab uska janaza uthane lagey to fir janaza aisa ho gaya jaise kisi ne uske upar pahaad rakh diya ho,
Lekin jab tv. Ko uthaya to aasaani se janaza bhi uth gaya,
Tamam gharwale sharmindagi aur musibat me pad gaye, aakhir kaar jab tv. Janaze ke aagey aagey le chale to uska janaza ghar se bahar nikla,
Ab usi halat me tv. Ke sath us par namaze janaza padhi gayi, jab maiyyat ko qabr me utara aur qabr ko bandh kar ke log wapas jane lage to logo ne kaha ke ab tv. Wapas le chalo...
Lekin...
(baqi msg 43 me)

BIKHRE MOTI - 43
(msg 42 ka aagey)
....Lekin jab tv. Utha kar le jane lage to us ladki ki laash qabr se bahar aa gayi,
Kitni ibrat ki baat hai, ''aye aqalmando..! Ibrat haasil karo''
Logo ne jaldi se tv. Ko wahin rakha aur do barah us laash ko qabr ke ander bandh kar di, aur do barah tv. Utha kar chale to do barah us ladki ki laash tv. Se bahar aa gayi,
Ab logo ne kaha ke ye to tv. Ke sath hi dafn hogi, aakhir kaar uski laash teesri baar qabr me rakhi aur tv. ko bhi qabr me rakh diya aur uske sath hi usko dafn kar dena pada,
''al ayaazubillah''
Bb zara sochiye ke us ladki ka kya hashr huwa hoga..?
Kyaa anjaam huwa hoga..?
Hamari ibrat ke liye Allah ne hamen dikha diya.
Ab bhi agar hum ibrat na pakde to hamari hi naa-layaqi hai.
''Allahummah fazna minhu''
(taamire hayat, 10-sep-2001)

BIKHRE MOTI - 44
Nabi salllahu alayhi wasallam ne framaya:
Dil 4 kism ke hai.
1. Ek to saaf dil jo roshan chirag ki tarah chamak raha ho,
(ye dil mo'amin ka hai, jo puri tarah noorani hai)
2. Dusre wo dil jo gilaaf aalood hai.
(ye kafir ka dil hai jis par parde pade huwe hai)
3. Teesre wo dil jo ulte hai.
(ye munafiq ka dil hai jo jaanta hai aur inkaar karta hai)
4. Chothe wo dil jo makhloot hai.
(ye dil us munafiq ka hai jisme imaan aur nufaq dono jamaa hai)
~tafsir ibne kaseer-1, 89)

BIKHRE MOTI - 45
DIL SE ILM KAISE NIKAL JATA HAI..?
Hz. Sufiyan (taabaee) se riwayat hai ke (ek din) Hz. Umar bin Khattab rd. ne (mash_hoor taabaee aalim aur tourat wagrah ke uloom par gehri nazar rakhne wale) Hz. Ka'aab binahbaar rd. Se puchha ke:
Tumhare nazdeek arbaab-e-ilm kaun hai..?
Hz. Ka'ab ne jawab diya: wo log jo un baton par amal karte hai jinko wo jaante hai, (yaani Aalim ba-amal hi ko arbaab-e-ilm me shumar kiya ja sakta hai)
Fir Hz. Umar rd. Ne puchha: achchha, wo kaon so chiz hai jo ulema ke Dilon se ilm (ki barkat wa haibat aur ilm ke noor) ko nikaal deti hai..?
Hz. ka'ab bin ahbar ne jawab diya: Tama'a (aur laalach)
(Daarmi)

BIKHRE MOTI - 46
TAALIB-E-DUNIYA GUNAHON SE NAHI BACH SAKTA
Hz. Anas rd. Se riwayat hai ke Rasulullah sallallahu alayhi wadallam ne
ek din farmaya:
kyaa koi aisa hai ke paani par chale aur uske paanw na bhige..?
Arz kiya gaya : aisa to koi nahi ho sakta.
Aap sallallahu alayhi wasallam ne farmaya: isi tarah DuniyaDaar gunahon se mehfuz nahi reh sakta.
(sho'abul imaan baihaqi)
Sahibudduniya (duniyadaar) se murad wo shakhs hai jo duniya ko maqsud wa matlub bana kar usme lage.

BIKHRE MOTI - 47
Katada bin no'maan rd. Se riwayat hai ke
Huzur sallallahu alayhi wasallam ne farmaya:
Jab Allah ta'ala kisi banda se muhabbat karta hai to duniya se usko is tarah parhez karata hai jis tarah ke
Tum me se koi apne mariz ko pani se parhez karata hai, jab ke usko paani nuqsan pahonchata ho.
(tirmizi, musnade ahmed)

BIKHRE MOTI - 48
HZ. Abu darda rd. Ki biwi umme darda rd. Se riwayat hai ke
Meine abu darda rd. Se kaha ke : kyaa baat hai tum maal wa mansab (ohda) kyun talab nahi karte jis tarah ke falaa-n-falaa talab karte hai...!
Unhone framaya: meine rasulullah sallallahu alayhi wasallam se suna hai ke
Tumhare aagey ek badi dushwar guzaar ghaati hai usko giraan-baar (maaldaar) air ziyada boz wale aasaani se paar na kar sakenge,
Is liye me ye hi pasand karta hun ke is ghati ko uboor (paar) karne ke liye halka fulka rahu.
(is wajah se me apne liye maal wa mansab talab nahi karta)
(ma'riful hadis-2/89)

BIKHRE MOTI - 49
Hz. muaaz bin jabal rd. Se riwayat hai ke Rasulullah sallallahu alayhi wasallam ne jab unko yaman ki taraf rawana kiya to nasihat farmayi ke
Muaaz..! Aaram talbi aur khush aishi se bachte rehna..! Allah ke khaas bande aaraam talab aur khush aish nahi huwa karte.
(musnade ahmed)
Faida: duniya me aaram aur rahat aur khush aish ki zindagi guzarna agarche haram aur na-jaiz nahi hai lekin Allah ke khas bando ka maqaam ye hi hai ke wo duniya me aish ki zindagi ikhtiyar na karey.
(ma'riful hadis-2/97)

BIKHRE MOTI - 50
HUZUR SALALLAHU ALAYHI WASALLAM KI ZIYARAT KA TARIQA
Jumaa ki raat me 2 raka'at nafl namaz is tarah padhe ke
Har raka'at me surah fatiha ke baad 11 martaba aayatul kursi aur
11 martaba surah ikhlas padhe
aur salaam farne ke baad 100 martaba ye durud sharif padhe.
''Allahumma salli alaa muhammadi ninnabiyyil ummiyyi wa alaa aalihi wa as-habihi wa barik wa sallim''
اللہم صل علی محمدن النبی الامی وعلی آلہ واصحابہ وبارک وسلم
Agar koi shakhs chand martba ye amal karega to Allah ta'ala usko huzure aqdas sallallahu alayhi wasallam ki ziyarat nasib farma dete hai,
Ba-sharte ke shouq aur talabe kaamil ho aur gunaahon se bhi bachta ho.
(islaahi khutbaat-6/104)
Allah mujhe bhi Rahmete Aalam sallallahu alayhi wasallam ki ziyarat nasib farmaye.
Aamin.

BIKHRE MOTI - 51
SAWAL
Tableeg wale chilla me nikalne par bahot zor dete hai, kyaa chilla ki koi asliyat hai..? Ke jiski bina par ye log chilla lagane ke liye kehte hai..?

JAWAB
Chilla yaane 40 din lagatar amal ki bahot barkat aur taseer hai, 40 din tak amal karne se rooh aur baatin par achchha asar murattab hota hai,
hz. Musa al. Ne kohe toor par 40 din ka ae'tekaf farmaya uske baad aap ko Taurat mili,
sufiya e kiram ke yahan bhi chilla ka aehtemam hai lihaza ye biklul be-asal nahi hai.
Ek hadis me huzure karim sallallahu alayhi wasallam ne farmaya:
jis shakhs ne sirf Allah ki razamandi ke liye 40 din takbir-e-ula ke sath namaz padhi to uske liye 2 parwane likhe jate hai, ek jahannam se najaat ka, dusra nifaq se bari hone ka.
(mishkat- pg-102)
isse malum huwa ke chilla ko halat ke badalne me khas asar hai,
dekhiye...
Jab nutfa raham e maadar me karaar pata hai to pehle 40 din me wo nutfa alhak (yani bandha huwa khun) banta hai,
aur dusre 40 din me wo alhak muzga (yane gosht ki boti) banta hai,
aur teesre 40 din me muzga ke baaz ajza ko haddiyan bana diya jata hai aur un haddiyon par gosht chadhta hai,
fir uske baad (yaani 3 chillo ke baad jiske 4 mahine hote hai) usme jaan padti hai.
(bayanul quran)
hz. Umar rd. Ke zamane me ek shakhs ka ek aurat par aashiq ho jana aur us aurat ka us shakhs ko hz. Umar rd. Ke pichhe 40 din tak takbire ula ke sath namaz padhne ko kehna, uske baad us shakhs ka dil ishqe mijazai me se ishqe haqiqi (Allah ki muhabbat) me badal jane ka waqiya bhi mash_hoor hai.
Huzur salallahu alayhi wasallam ka irshad hai ke:
jo shakhs 40 roz tak ikhlas ke sath Allah ki ibadat karey to Allah iske Dil se hikmat ke chashme jaari farma dete hai.
(ruhul bayan, ma'riful quran 4/58)

BIKHRE MOTI - 52
DA'WAT KE BAREY ME YE MAZMUN AJEEB HAI
Hz. Abu Saeed Khudri rd. Farmate hai ke: ek din Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam ne (hum sahaba ko mukhatab kar ke) irshad farmaya:
''Dekho...! Log tumhare tabe'a hai, (yane mere baad log tumhari pairwi karenge, tumhare tariqe par chalenge)
Aur atrafe aalam se kitne hi log deen ka ilm aur samajh hasil karne ke liye tumhare paas aayenge,
pas.. Jab wo aaye to unke sath bhalai karna, aur unko deenee ilm ki ta'alim dena''
(Tirmizi)

BIKHRE MOTI - 53
ASAL KAAM
Agar deenee Da'wat ka kaam nabwi tariqa ke mutabiq hoga to Baniyon ke mulk me Awliya paida honge,
Aur agar Da'wate deen ka amal na hoga to Nabiyon ke mulk me Dahriya paida honge.
USOOL ME LACHAK HAI
Da'wato Tableeg ke Murawwajah usool me lachak hai,
Ye usool mansoos nahi hai ke usme tabdili na ho,
haalat aur mauqa-mahal ke aitbar se usme lachak ki gunjaish hai.

BIKHRE MOTI - 54
Kisi jagah par Dawat ke kaam me be-usooli ho rahi ho, to us par Ek Dam Break Mat lagao,
Usse usool aataa nahi hai aur thoda bahot jo kaam ho raha tha wo khatam ho jata hai,
Isi tarah kisi aadmi se be-usooli ho rahi ho to usey bhi achchhe dhang se usool par laane ki koshish karo,
Usko kaam se kaatne aur dur karne ka mat socho,
Infiradi tor par na-usooli ho rahi ho ya ijtemai tor par,
Is andaz se be-usooli ko khatm karna hai ke hamara bhai, aur kaam baaqi rahe, aur deen ka kaam bhi baaqi rahe aur hamara bhai bhi usool par aa jaye.

BIKHRE MOTI - 55
Deenee dawat ka kaam Ijtemaai hai, isliye ek dusre ke sath nibhaav ke liye mel-muhabbat aur akhlaq wala muamla jaruri hai,
Khususan apni zaban ki hifazat ki jaye, chaplusi, khusamad kar ke muhabbat hasil karna khuda ko pasand nahi hai,
Chu ke chaplusi se jo muhabbat hasil ki jati hai usme apne walon ki tarafdari aur gairon ki haq-talfi hoti hai,
Is liye in tamam nazakaton ki riaayat ijtemaiyyat ko barkaraar rakhne ke liye jariri hai.

BIKHRE MOTI - 56
SIRF MEHNAT BAAQI HAI
Duniya ki koi univercity/collage/school/madresa aisa nahi ke wo imtehan ke waqt apne sawalo ka parcha (question paper) pehle se zaahir kar de,
Agar kabhi aisa ho bhi jaye to us imtehan me fail (naa-kaam) hone wale ko nihayat fisaddi (mehrum) aur naa-ahl samza jayega,
Aur Allah ta'ala ne apne karam se sawalat zaahir aur out kar diye, aur mazeed ye karam kiya ke jawabat bhi batla diye, sirf hamen is duniya me taiyyari harni hai.


BIKHRE MOTI - 57 .
Khuda ki taqat ke muqable me duniya ki sari taqaten Makdi ka jaalaa hai,
Aur Khuda ke Khazano ke Muqable me duniya ke khazane machchar ka par hai.
Khuda ki taqat aur khazano se talluq deen ki wajah se hoga.
Is azeem deen ko zinda karne ke liye mulk wa maal aur ouhda ki jarurat nahi hai,
Balke uske liye insaan ka mujahida, qurbani aur uske housle ki jarurat hai.



BIKHRE MOTI - 58 .
 Deen ke hasil karne ke liye mujahida aur taklifen uthane ke aadi bano.
Bekas aur bebas insan bhi qurbani aur mujahida ikhtiyar kar ke Khuda aur uske deen se Talluq paida karega to ..
Khuda uske hatho bhi deen ko zinda farma denge.
Khuda ke nazdik ohda, mulk, maal wa liyakat shart nahi hai, sirf khuda ki raza aur uski nazre karam shart hai,
Isi liye nabi e karim sallallahu alayhi wasallam ne farmaya ke ..
Me baadshah wali nubuwwat nahi chahta, balke fakiri wali nubuwwat chahta hun.



BIKHRE MOTI - 59 .
Deen ka kaam karne wale aadmi ko Baanz ban kar nahi marna hai,
Baanz ka matlab ye hai ke falaan aadmi mar gaya to deen ka kaam bandh ho gaya.
Aise andaz me kaam liya jaye ke dusre kaam karne wale bane, aadmi khud kaam karey aur apne aap ko thaka de,
Lekin dusre kaam karne wale aadmi Na banaye to ye uske liye Shaytan ka dhoka hai.

BIKHRE MOTI - 60 .
KHUDA apni zaat se chhupa huwa hai, magar Dalail ke aitbaar se Nirala hai.
Khuda ke munqir ko Khuda ki nishaniyan samzha kar qaaeel karo.
Fir khuda ki marzi bata kar Deen ki taraf maaeel karo,
Fir Dawat ke kaam par khada kar ke Daayee banao.

BIKHRE MOTI - 61 .
Aaj ka Gaib Maut par Mushahid hoga aur aaj ka mushahid Maut par chhup jayega,
Maut ke waqt imaan wa aamaal ki keemat aur taaasir ko taslim karna Allah aur uske rasul ki khabar ko taslim karna nahi hai,
Balke apne Nazar ko taslim karna hai.



BIKHRE MOTI - 62 .
JIHAAD KA MAQSAD KYA HAI..?
Huzur sallallahu alayhi wasallam ne paakiza tarika aam karne ke liye sahaba ki jamaat ko baahar bheja aur
Hidayat farmayi ke hamara maqsad ladaai nahi hai.
Deen me rukawat paida karnewalon ki misaal jism ke fodon ki si hai,
Uska ander se ilaaj da'wat ke joshanda se karna hai aur baahar se akhlaq ka marham lagana hai,
Iske bawazud fode zahrile aur laa-ilaaj ho to fir unka operation karna hai,
Jis tarah makki zindagi me ander ka ilaaj da'wat ke joshanda se aur bahar ka ilaaj akhlaq ke marham se kiya gaya,
Magar fode zahrile aur laa-ilaaj hone ki wajah se BADAR me unka operation karna pada.
Baharhaal maqsad ladaai nahi hai, paakiza tariqa puri duniya me aam karne ke liye darmiyan me aane wali rukawaton ka dur karna maqsud hai.

 BIKHRE MOTI - 63 .
 DEEN KAISE FELEGA..?
Moujuda aalam fitno ka dour hai, kahin zuthi nubuwwat ka da'wa hai, kahin hadis ka inqar hai,
Kahin hz. Ali rd. Ki muhabbat me be-inteha guloo (had se ziyada mubalga) hai,
Baazon ka khyal hai ke Islami hukumat hogi to deen felega,
Unke barkhilaf hum yun kehte hai ke hiqmat hogi to deen felega,
Aur hiqmat ka takaza ye hai ke Quran aur hadis ki raw se asal da'wate deen ko ikhtiyar kiya jaye,
jisme tamam fitno aur ikhtilafat ka hal hai.


 BIKHRE MOTI - 64 .
 RAAT DIN KA TAJURBA AUR MUSHAHIDA
Qaaynaat ka khaliq aur maalik ek hi jaat hai, niz insano ka duniya me aane ka tariqa bhi ek hi hai, aur is duniya se jaane ka har ek ka tariqa bhi ek hi hai,
Jo insan apni aqal se zindagi guzarne ke tariqa tajwiz karta hai, uske Galat hone ka tajurba aur mushahida raat-din hota rehta hai,
Is liye Aqal se in sab baaton ko samjhne ke liye Ambiya-e-kiram al.salam Ka sahara lena padta hai, jinka ta'alluq wahee se hai.


BIKHRE MOTI – 65
DEEN KA KAAM JIS TARAH HO RAHA HAI SHUKR KE QABIL HAI
lekin ziyada kaam baaqi hai, uski fikr zaruri hai,
lihaza deen ki jaddo-jahd karne walon ke liye Qurbani ki mikdaar badhti rehni chahiye,
Qurbani ki seedee banao, chabutra na banao, warna naye kaam karne wale ruk jayenge.
Jis tarah huzur sallallahu alayhi wasallam ne jung-e-uhad ke mauqa par zakham khaye huwe sahaba rd. Ko saath liya aur
lashkar-e-kuffar ka pichha kiya, dusre taaza-dam sahaba rd. Ko sath nahi liya,
jab qurbani dene walon ki mikdaar ko badhaya tab Allah ta'ala ki madad shamile haal ho gayi.

BIKHRE MOTI - 66 .
Allah Ta'ala ne tamam insano ke haalat ko Aamal se joda hai aur Aamal ko Aa'za se aur Aa'za ko Dil se joda hai aur Dil Khuda Ta'ala ke kabze me hai,
Agar Dil ka Rukh Allah ki taraf ho jaye, to Aamal Allah ke liye ho kar, Duniya Aur Aakhirat ke Haalaat banenge,
Aur agar Dil ka rukh Gairullah ki taraf huwa to, Aamal Gairullah ke liye ho kar haalaat Kharab honge,
Hatta ke sakhi, shaheed, Qari bhi ho to Dozakh me jayega,
Lihaza Dil ka rukh Allah ki taraf ho usey HIDAYAT kehte hai, jo ek Noor hai, jo Insaan ke Dil me daalaa jata hai,
Jaise baahar ki roshni Chaand-Suraj ki hai, usse chizon ka Nafa-Nuqsan nazar aataa hai,
Aur Baatini aamal ke Nafa wa Nuqsan ko batlane ke liye Hidayat ka Noor hai, to Amanat aur sachchai me Nafa nazar aata hai,
Aur khayanat aur zuth me Nuqsan nazar aata hai,
Isse ma'lum huwa ke.... har insaan ko sab se ziyada jarurat hidayat ki hai, aur hidayat khuda ke kabza me hai.


BIKHRE MOTI - 67 .
KHUDA se hidayat lene ke liye siwaye Duaa ke aur koi rasta nahi hai,
Is liye sab ke liye mushtarka Duaa surah Fatiha me hidayat ki tajwiz ki,
Rozana namaz me kariban 50 martaba hidyat ki duaa maangna jaruri qaraar diya,
( ihdinassiratal mustaqeem )
اهدنا الصراط المستقيم
Lekin ye duaa darul asbaab hai, isliye duaa ke sath hidayat ke hasil karne ke liye Mehnat karna bhi jaruri hai,
Agar Mujahida kiya jaye to Allah ki taraf se Hidayat ka wa'da hai,
(wallazina jaa hadu feena lanahdiyannahum subulana)
واللذين جاهدوا فينا لنهدينهم سبلنا
Ek taraf mujahida, dusri taraf duaa ho, to Allah ki Zaat se hidayat milne ka Qawee Zariya hai.

BIKHRE MOTI - 68 .
DUNIYA KO PAIDA KARNE KI 4 HIKMATEN
1 insan ka badan Qaynaat ki chizon se banaya gaya hai, to qaynaat ki pedaish insan ke jism ki tarbiyat ka zariya hai.
2 Khuda ki ma'rifat ki usme nishaniyan hai, Khuda ki zaat dikhayi nahi deti, uske liye zameen wa aasaman, chaand-suraj, sitaare, insano ki aawaz ka alag-alag hona, raat aur din ka hona, aisi beshumaar nishaniyan Mazahir-e-Kudrat hai, jisse insaan Khuda ki ma'rifat hasil kar sakta hai, goya Qaaynat ki pedaish silsila-e-ma'rifate Khuda-wandi hai.
(baaqi kal BikhreMoti-70 me inshaAllah)

BIKHRE MOTI - 68 .
DUNIYA KO PAIDA KARNE KI 4 HIKMATEN
1 insan ka badan Qaynaat ki chizon se banaya gaya hai, to qaynaat ki pedaish insan ke jism ki tarbiyat ka zariya hai.
2 Khuda ki ma'rifat ki usme nishaniyan hai, Khuda ki zaat dikhayi nahi deti, uske liye zameen wa aasaman, chaand-suraj, sitaare, insano ki aawaz ka alag-alag hona, raat aur din ka hona, aisi beshumaar nishaniyan Mazahir-e-Kudrat hai, jisse insaan Khuda ki ma'rifat hasil kar sakta hai, goya Qaaynat ki pedaish silsila-e-ma'rifate Khuda-wandi hai.
(baaqi kal BikhreMoti-69 me inshaAllah)

BIKHRE MOTI - 69 .
(BikhreMoti 68 ka aagey)
3 Qaaynat ki pedaish aazmaish ke liye hai, ke insan qaaynat ki chizon me ulaz kar reh jata hai ya Ahqam-e-Khuda wandi ki Riaayat me chizon ko Qurban karta hai,
4 Qaynaat ki chizen mulk wa maal, sona-chaandi, rupiya-paisa, ouhda wa digree, dukan wa khet... Ye sab Zarf yaani Bartan ke qaim makaam hai,
Us bartan me wo milega jo Khuda ki Taraf se dala jayega,
 Izzat air zillat, Qamyabi aur Naa-kaami ka me'ayar Bartan ka chhota ya Badaa hona ya kam ya ziyada hona nahi hai, balke me'ayar Insaan ke badan se nikalne wale Aa'mal hai uske mutabiq Khuda ke Faisle hote hai.



BIKHRE MOTI - 70 .
AAJ KI SAB SE BE-KEEMTA MAKHLUQ
Insaan ne paakhana se lekar chaand tak research kiya. Magar apne aap ko nazar andaaz kiya.
Uska natija ye nikla ke sab se ziyada be-keemat makhluq aaj duniya me insaan hai,
Makaan, dukaan aur zameen ke tukdo ke liye insano ko maaraa jaye aur mansube scheeme thop kar makhluq ko aainda duniya me aane se rokne ki koshish ki jaye,
Haalaa ke darakht ke liye kaanoon nahi ke aisa darakht lagao jisme sirf 3 fal ho, ya aisa khet lagao jisme pedawar sirf 3 man ho,
Lekin hazrate insan be-keemat hai ke 3 se ziyada duniya me na aaye, kyun ke insan ne apni keemat ko kho diya,
Haalaa ke Allah ta'ala ne insaan ko itna keemti banaya tha ke farishto se sijdah karaya aur un par fazilat di,
Jab insano ne janwaro jaise kaam kiye to insano se insano ki zindagi ujadne lagi aur insaan be-keemat hota chala gaya.

BIKHRE MOTI - 71 .
MAUT KE BAAD UTHAYE JAANE KI PAKKI DALIL
Insan ki rooh Daaemi aur Abdi hai, sirf rooh ki Jagah badalti hai,
Aalam-e-Arwaah se Jism me aur, Jism se Aalame Barzakh me aur, aakhri Makaam Aalame Aakhirat hoga.
Aur insan ka jism Kaynaat ki chizon se taiyyar huwa hai, iske ajza (parts) puri kaaynat me bikhre huwe the, suraj ki kirno aur chaand ki roshni me, sitaron ki taasir aur hawaon ki lehron me, barish ke katrat aur jameen ke zarrat me aur khaad ki gandakiyon me.
Baari Ta'ala ke nizaam ne saare ajza ko jamaa karke khorak aur giza taiyyar ki....
(baaqi msg 72 me inshaAllah)

BIKHRE MOTI - 72 .
(msg 71 ka aagey)
Baari Ta'ala ke nizam ne saare ajza ko jamaa kar ke khorak aur giza taiyyar ki, Mard aur Aurat ne istemal ki aur Mani (virya) bana aur usi se insani badan taiyyar kiya gaya aur uski rooh Aalame Arwah se aayi aur Insaan Wujood me aaya, jiski had Maut hai,
Fir Jism Fanaa kar diya jayega aur Qayamat ke din do-barah zarrat ko jamaa karke Wujood bakhsha jayega,
Jo khuda Ek baar Kaaynat ke Zarraat ko jamaa kar ke Paida kar chuka hai, uske liye dusri martaba Paida karna Nihayat aasaan hai,
KARODO INSAN IS HAQIQAT SE BE-KHABAR HAI,
Aur jo Ba-Khabar hai wo bhi Gaflat ka shikar ho jate hai,
Al-garz Maut ke Baad Uthaya Jana Yaqeeni hai.

BIKHRE MOTI - 73 .
MUHAMMAD SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM ke Paak tariqe me isaar aur Qurbani ka Jazba paida karne ki ta'lim hai, jisse insaano me Ataa aur Bakhshish yaani Baantne aur Taksim karne ka mizaj paida hota hai,
Aur ye mizaj aapas me Muhabbat aur Ulfat, Hamdardi, Jaan_Nisaari, Wafa aur Ea'temad me izafa karta hai, jo Aman-o-Amaan aur daarain me Tarakkiyaat ka sabab hai,
BarKhilaf duniya walon ke, ke unka mizaj mukhtalif tariko se Lutne aur Chhinne ka, Chori, Dakaiti, Sood, Rishwat, Makr-o-Fareb aur Naap-Tol me kamee karke
jisse aapas me Adawato aur Ziyadatiyon ke sath Inteshar aur Pareshaniyon me izaafa hota rehta hai,
Aur duniya JahannamKada ban jati hai.




BIKHRE MOTI - 74 .
SOOD ke barey me insano ko Khalik farmata hai :
Allah ta'ala sood ko mitata hai aur sadkat ko badhata hai.
Magar insan me Jaraeem ke Jaraseem aur Janwaro ki sifat paida hone ki wajah se sood me maal ka badhna aur sadkaat me maal ka ghatna dikhayi deta hai,
Agar mehnat mujahida kar ke jaraaim se bach kar janwaron ki sifat dur ki jaye aur farishto wali sifat paida ki jaye, to us waqt wo hi dikhayi dega jo Khalik wa Malik farmata hai,
Yaani Sadkat me Maal ka badhna aur sood me maal ka ghatna saaf tor par malum hoga.

BIKHRE MOTI - 75 .
 Qayamat ke din Khuda ka muamla Fazal ka hoga ya Adal ka, Raabta ka hoga ya Zaabta ka, Maherbani ka hoga ya Qanoon ka,
Agar musalmano ke sath ALLAH ka Adal ka muamla huwa, to gunahon ke ba-kadr Jahannam me rakha jayega, taa ke gunaho se paak saaf kar diye jaye,
 Aur agar Fazal ka muamla huwa to sidha Jannat me bhej diya jayega,
 Adal ka takaza hai ke nekiyon ko ziyada kiya jaye,
 Adal ka haasil khauf hai aur Fazal ka Hasil Ummid hai,
 Khauf is kadr bhi mufid nahi hai jo halakat ka sabab bane, aur Ummid bhi is kadr mufid nahi ke gunahon par khada kar de,
 Balke Ummid aur Khauf ke darmiyan ka naam IMAAN hai.

BIKHRE MOTI - 76 .
 Duaa aur mehnat me muwafikat jaruri hai,
Dhaai Tole ki zubaan nabiyon wali Duaa me masruf hai,
Kehta hai :
IHDINASSIRATAL MUSTAKIM
إهدنا الصراط المستقيم
aur Bazar me Dhaai man ka badan
MAGZUBI ALAYHIM WALAZZALLEEN
المغضوب عليهم وﻻالضالين
wale tariqe par harkat karta hai,
WALLAZINA JAA HADU FINA LANAHDIYANNAHUM SUBULUNA
-والذين جاهدوا فينا لنهدينهم سبلنا
Allah ke raste ki mehnat karo, rasta dur se bandh nazar aata hai, chalna shuru karo, khul jayega,
Duaa aur mehnat me muwafiqat ho jayegi aur achchhe natije zahir honge.

BIKHRE MOTI - 77 .
 RAAZ KI BAAT KHULE AAM AALAM KE SAAMNE
Koi aadmi Raaz aur Daaw ki baat nahi batlata hai, balke chhupata hai,
Hum khule aam aur danke ki chot par pure aalam me basne wale insano ko batlate hai ke,
Agar logo me Do baate paida ho jaye, jo Jamin aur aur aasman ka khalik farmata hai ke, hum tumhe Barbad nahi karenge balke Aabad karenge,
Ek Allah ke samne khada hone ka Khauf Dil me paida ho jaye,
Dusre Bure aamal par Allah ki Waeedo ka dar paida ho jaye.

BIKHRE MOTI - 78 .
Insano me aakhirat ki fikr aur khauf paida karne ke liye, pure aalam me naklo harkat kar ke uska khub tazkira kiya jaye,
Yahan tak ke, logo me fikre aakhirat paida ho jaye aur
Barbadi wali Raah se bach kar Aabaad karne wali Raah par khade ho jaye.

BIKHRE MOTI - 79 .
 DUNIYA KI HUKUMATO KE PAAS RAAHAT WA AMAN KA TARIQA NAHI HAI,
Aalam me amano amaan qayim rakhne ke liye is dour ki Adaalaten, kachehriyan, aur mukhtalif mohkame, scheeme, aur intezamat naakaam aur fail hai,
 Pure Aalam ki hukumaten Gair Maiyari aur pareshan surate haal me mubtala hai, chu ke unke paas raahat wa aman ka tariqa nahi hai,
Jiski wajah se kisi ki jaan, izzat, aur maal mehfuz nahi hai,
Lekin .. Ummate Muslima ko maayus hone ki jarurat nahi hai,
(baaqi msg 80 me inshaAllah)

BIKHRE MOTI - 80 .
(msg 79 ka aagey)
Hamare sarkaar muhammad mustafa sallallahu alayhi wasallam ne isse ziyada maayus-kun haalat me apna paakiza tariqa duniya ke samne pesh kiya aur aalam ki hukumaten us pakiza tariqa ko apna kar aman wa amaan se humKinaar huwi,
Aaj bhi hazrat Muhammad sallallahu alayhi wasallam ka laya huwa pakiza tariqa apnane ki aur usko da'wat ke zariya aam karne ki jarurat hai,
Aaj bhi pura aalam aman wa amaan se hum-kinaar ho sakta hai aur abdi rahaton se faidah utha sakta hai.


 BIKHRE MOTI - 95       .
Hazrat maulana muhammad umar palanpuri rh farmate the ke
Aaj ke fakir ka matlab hai
 fakir
فقیر
fa -فا
firni -فیرنی
kaaf - قاف
kurma -قورمہ
ya - یا
yakhni -یخنی
ra -را
roti -روٹی
Aur pehle zamane ka fakir ka matlab
fa - فا
faaka -فاقہ
kaaf -قاف
kana'at -قناعت
ya- یا
yaad-e-ilaahi - یاد الہیٰ
raa-را
riyazat - ریاضت

BIKHRE MOTI -96
Aalim usey kehte hai jo parda ke pichhe Khuda se darta rahe aur Khuda ki razamandi ki ragbat kare aur uski narazgi ke kaamo se nafrat kare.
Hz. Ibne mas'ud rd. Farmate hai ke Baaton ki ziydati ka naam Ilm nahi, Ilm naam hai bakasrat Allah se darne ka.
Jisne mehfil me apne aap ko buraa kaha usne apni ta'rif ki aur ye Riyaa ki Alamat hai.
Jo shakhs apne khuloos ki kasme khaye us par kabhi aetbaar na karo.

BIKHRE MOTI - 97
Hazrat thabvi rahmatullah ne likha hai ke
Quraan ki 2 aayeten hai, un 2 aayaton ko jisne padh liya uske baad
Uske baad usko Ujb (ghamad) nahi aa sakta.
Ek Ilm ke barey me
Dusre Amal ke barey me
Allah apne mehbub ko farmate hai
(agar hum chaahen hum sab kuchh le len jo kuchh hum ne wahiy ke zariya aap ko ataa kiya)
parah-15, surah israieel, ayat-86
Aur dusri aayat farmayi Amal ke barey me
(ey mehbub agar hum ne aap ko saabit kadam na banaya hota to aap unki taraf kuchh zhukne ke kareeb jaa pahunchte)
parah-15, surah bani israeel, ayat-74


BIKHRE MOTI - 98
 ikmalush shiyam kitaab me ek ajeeb baat likhi hai farmate hai
 ek dost jisne teri ta'rif ki usne dar haqiqat tere parwardigar ki sattari ki ta'rif ki.
 Aur wakayi gunahon me boo hoti to kaee parhezgaar jo paarsaai (buzurgi) me mashoor hai unke jismon se aisi boo aati ke koi unki taraf dekhna bhi gavara na karta.
 Hafiz ibne kayyim rh. ne ek ajeeb baat likhi hai farmate hai
 ye na dekhna gunaah chhota hai ya bada balke us zaat ki azmat ko dekhna jiski tu na-farmani karta hai.

BIKHRE MOTI - 100
 Rasulullah sallallahu alayhi wasallam ki ghabhrahat
 yun to har waqt hi rasulullah salllalahu alayhi wasallam ka dil khauf aur dehshat-e-ilaahi se ma'mur rehta tha, kisi waqt bhi usse khali nahi rehta tha, aur be-fikri kabhi paida nahi hoti thi,
 lekin tez hawachalti ya aasman par gehri ghataa chha jati aur siyaah baadal mandlane lagte, to aap sallallahu alayhi wasallam intehaee fikr-mand ho jate,
 aur us fikr ka asar aap sallallahu walayhi wasallam ke chehre mubarak par zaahir ho jata tha,
 jiski wajah ye thi ke, kahin ye hawa aur baadal makhluq ke liye musibat aur pareshani ka sabab na ban jaye,
 chunanche ummul mu'minin hazrat aayesha raziAllahu anha farmati hai ke,
 meine rasulullah salllahu alayhi wasallam ko kabhi is tarah hanste huwe nahi dekha ke aap ke halaq ka kavva nazar aaya ho, aap to sirf muskurate the aur jab aap baadal ya hawa ko dekhte to chehra-e-anwar par badlaaw saaf zaahir hota tha.

BIKHRE MOTI - 101
HAWA KO BURA MAT KAHO
Hawa ko bura bhala kehna aur usko la'an ta'aan karna manaa hai,
Rasulullah sallallahu alayhi wasallam ne usse manaa kiya hai,
Chunache hz. Ibne Abbas rd. Se riwayat hai ke, ek shakhs ne aap sallallahu alayhi wasallam Ki maujudgi me Hawa ko Bura kaha aur La'nat bheji,
Aap sallallahu alayhi wasallam  Ne farmaya ke usko bura mat kaho aur us par la'anat na bhejo. Is liye ke ye Allah ta'ala ki taraf se ma'mur hai, aur hukme ilaahi ki binaa par chal rahi hai,
jis chiz par la'anat ki jaye aur wo uski mustahiq na ho to wo la'anat karne wale par lout aati hai.
tirmizi sharif

BIKHRE MOTI - 102
 Waqt kisi ki miraas nahi.
 Waqt kisi ka intezar nahi karta.
 Log kehte hai waqt guzar jata hai ..... Ji nahi, hum guzar jate hai.
 waqt ko sahih kaamo me istemal karne ki aadat daalo.
 waqt ki apni zindagi hai.

BIKHRE MOTI -
DIL KA ZANG DUR KARNE KA NABVI NUSKHA

Hz. Abdullah ibne Umar rd. Se riwayat hai ke, Rasulullah Sallallahu Alayhi wasallam ne farmaya,
Bani Aadam ke liye Dil par isi tarah Zang chadh jata hai jis tarah paani lag jane se lohe par zang aa jata hai,
Arz kiya gaya ke: huzur sallallahu alayhi wasallam, Dilon ke us zang ko dur karne ka zariya kya hai..??
Irshad farmaya: Maut ko kasrat se yaad karna aur Quran majid ki Tilawat.
Sho'abul imaan lil baihaqi

BIKHRE MOTI - 104
Huzur sallallahu alayhi wasallam ka irshad hai
jis bande ki aankhe khauf-e-Khuda se bhar jaye Allah ta'ala uske jisme ko Jahannam par Haraam kar dete hai, fir agar wo uske rukhsaar par bhi pade to uske chehre ko na koi taklif pahochegi aur na zillat.
Aur agar koi banda jama'aton me se kisi jama'at me ro pade to Allah ta'ala us bande ke rone ki khatir usey jahannam se najaat de denge,
Har amal ka wazan aur sawab hai lekin aansoo ke sawan ka koi bhi hisaab nahi, ye to jahannam ki aag ke pahadon ko buza kar rakh deta hai.
Ibne abiduniya

BIKHRE MOTI - 105
Hadise paak me hai ke ek shakhs ke mizaane amal ke dono palde barabar ho jayenge tab Allah farmayege tum jannat walon me se nahi aur na hi dozakh walon me se ho,
To us waqt ek farishta ek kagaz lekar aayega jis par ''... uff ...'' Likha hoga, to ye kagaz ka tukda nekiyon par bhari ho jayega (yani gunahon ka palda bhari ho jayega)
kyun ke ye ... '' uff '' ... Waliden (maa-baap) ki na-farmani ka aisa kalima (bol) hai jo duniya ke pahadon se bhi bhari ho jayega,
Chunanche usey dozakh me le jane ka hukm kiya jayega,
Kehte hai wo shakhs mutalba karega ke usey Allah ke paas wapas le chale, to Allah farmayenge 'usey le aao'
Fir Allah puchhenge ke 'ey na-farman bande.! Kis wajah se tum mere paas aane ka mutalba kar raha the..?
Wo kahega 'ilaahi, aap ne dekh liye ke me dozakh ki taraf ja raha hun aur mujhe bhagne ka koi rasta nahi,
Me apne waliden ka na-farman tha, haala ke woh bhi meri tarah dozakh me jaa rahe hai, aap uski wajah se mere azaabon ko badha de aur unko dozakh se najaat de de.
Allah ta'ala hans padenge aur farmayenge 'tune duniya me to unki na-farmani ki aur aakhirat me nek sulook kiya,
Jaa.....! apne baap ka haath pakad aur dono jannat me chale jaao.
(jannat ke hasin manazir)
bikhre moti, part-8

BIKHRE MOTI - 106
hz. Jabir rd. se riwayat hai ke
Rasulullah sallallahu alayhiwa sallam aur aap ke chnd as'haab sathiyon ka guzar ek Khatoon ki taraf huwa to usne ek bakri zabah ki aur khana taiyyar kiya,
Aap rasulullah sallallahu alayhiwa sallam ne usme se ek luqma (nivala) liya, magar usko aap sallallahu alayhiwa sallam halak (galey) se utaar nahi sake,
To aap sallallahu alayhiwa sallam ne irshad farmaya ke : ye bakri asal maalik ki ijazat ke bagair zabah kar li gayi hai,
Us khatun ne arz kiya ke : hum log muaaz (apne padosi) ke ghar walon se koi takalluf nahi karte, hum unki chiz le lete hai, isi tarah wo hamari chiz le lete hai.
(musnade ahmed)
is waqiye me ye baat khaas kabil-e-gour hai ke
Na bakri churayi gayi thi,
Na chhini gayi thi,
balke aapas ke talluqat aur riwaj aur chalan ki wajah se ijazat lene ki jarurat nahi samjhi gayi aur zabah kar li gayi,
uske bawajud usme aisi khabasat aur kharabi paida ho gayi.
bikhre moti, part-8

BIKHRE MOTI - 107
Ibne Jauzi rh. Farmate hai ke: Sab se Bada Darwaza Jisse Iblis logon ke paas aata hai wo Jahalat ka darwaza hai, Iblis jahilon ke yahan be-khatke dakhil hota hai aur Aalim ke yahan siwaye Chori ke kisi tarah nahi aa sakta.
 Abdullah bin Amr bin Aas rd. ne farmaya ke aap hazrat Sallallahu Alayhi Wasallam ka Guzar hz. sa'ad rd. Ki taraf is haal me huwa ke wo wuzu kar rahe the,
 farmaya: ey sa'ad ye kya fuzul kharchi hai..?
 Sa'ad rd. Ne arz kiya ke: kyaa wuzu me bhi paani ki fuzul kharchi mo'tabar hai..?
 Aap hazrat Sallallahu Alayhi Wasallam ne farmaya: Agar che tu behte dariya se wuzu kare.
 Aap hazrat Sallallahu Alayhi Wasallam ne farmaya: wuzu me vasavis ke vaste ek shaytan muqarrar hai jiska naam VALHAAN hai, tum usse bacho, wo wuzu me logon se mazhiqah (mazak) karta hai.

BIKHRE MOTI - 108
Hz. Abu galib rh. Farmate hai ke
me hz. Abu umamah rd. Ki khidmat me mulke sham aata jaata rehta tha, ek din me Abu Umamah rd. ke padosi ek nawjawan ke paas gaya jo bimar ho raha tha,
 uske paas uska chacha bhi maujud tha, wo us nawjawan se keh raha tha ke ..
Meine tumhe ye kaam karne ko nahi kaha tha, meine tujhe is kaam se nahi roka tha..??
 To us nawjawan ladke ne kaha ke
ey chacha jaan..! Agar Allah ta'ala mujhe meri Maa ke supurd kar de to wo mere sath kya muaamla karegi..?
 Chacha ne kaha, wo tujhe Jannat me dakhil kar degi,
 to ladke ne kaha, Allah Ta'ala meri Maa se ziyada shafik hai, usse ziyada mujh par maherban hai, bas ye keh kar uski jaan nikal gayi,
 tab uske chacha ne uske kafan dafan ka intezam kiya aur us par namaze janaza padhi aur irada kiya ke......
(baaqi kal BikreMoti-109 me InshaAllah)

BIKHRE MOTI - 109
msg 108 ka aagey..
Tab uske chacha ne uske kafan dafan ka intezam kiya aur us par namaze janaza padhi aur irada kiya ke......
Isko qabr me utare to me bhi usko qabr me utaarunga,  wo qabr me utra aur usne lahad ko durust kiya to uski chikh nikal gayi aur ghabhra gaya,
Meine usse puchha ke tumhe kyaa huwa..?
Usne bataya ke: uski qabr bahut wasi'a ho gayi aur noor se bhar gayi hai, me usi se dehsatzadaa ho gaya.
(jannat ke haseen manazir)

BIKHRE MOTI -110
Walidain ke Aadab ke samrat (ye msg 2 hisso me pura hoga)
Bani israil ka ek yatim bachcha har kaam apni walidah ko puchh kar unki marzi ke mutabiq kiya karta tha.
Usne ek khubsurat Gaay paali aur har waqt uski dekhbhail me mashruf rehta tha.
Ek martaba ek farishta insani shakal me us bachche ke samne aaya, aur Gaay kharidne ka irada zahir kiya, bachche ne keemat puchhi to farishte ne bahut thodi keemat batayi,
Jab bachche ne Maa ko khabar di to Maa ne inqar kar diya, farishta har baar keemat badhata raha aur bachcha har baar  apni Maa se puchh kar jawab deta raha,
jab kai martaba aisa huwa to.....
(baaqi kal msg 111 me inshaAllah)

BIKHRE MOTI - 111
 (msg 110 ka aagey)
Jab bachche ne Maa ko khabar di to Maa ne inqar kar diya, farishta har baar keemat badhata raha aur bachcha har baar  apni Maa se puchh kar jawab deta raha,
jab kai martaba aisa huwa to bachche ne mehsus kiya ke meri walida Gaay bechne par razi nahi hai, lihaza usne us insan ki shakal me aane wale farishte ko saaf inkar kar diya ke Gaay kisi bhi keemat par nahi bechi ja sakti,
Farishte ne kaha: tum badey khush-bakht aur khush nasib ho ke har baat apni walida se puchh kar karte ho, anKareeb tumhare paas kuchh log is Gaay ko kharidne ke liye aayenge to tum is Gaay ki khub keemat lagana,
Dusri taraf bani israil me ek admi ke qatl ka waqiya pesh aaya aur unhe jis Gaay ki Qurbani ka hukm mila wo isi bachche ki Gaay thi,
Chunanche kuchh log jab us bachche se Gaay kharidne ke liye aaye to us bachche ne kaha ke is Gaay ki keemat iske wajan ke baranar Sona (gold) adaa karne ke barabar hai,
Logon ne itni bhari keemat adaa kar ke Gaay kharid li.
Tafsir-e-azizi aur tafsir-e-ma'alimul irfan fee duroosil Quran me likha hai ke: US BACHCHE KO YE DAULAT WALIDAIN KE ADAB AUR UNKI ITA'AT KI WAJAH SE MILI.
Isse malum huwa ke: WALIDAIN KI KHIDMAT AUR ADAB KA KUCHH BADLA IS DUNIYA ME BHI DE DIYA JATA HAI.

BIKHRE MOTI - 112
 (ye msg 2 parts me pura hoga)
Ek nawjawan apne waliden ka bada adab karta tha aur har waqt unki khidmat me mashgul rehta tha,
jab waliden ki kaafi umar ho gayi to uske bhaiyo ne mashwera kiya ke: kyun na waliden ki jaidaad ko unki zindagi me hi taksim kar liya jaye taa ke baad me koi zagda khada na ho,
Us nawjawan ne kaha ke aap jaydaad ko aapas me taksim kar le aur uske badle mujhe waliden ki khidmat ka kaam supurd kar de,
Dusre bhaiyon ne razamandi se waliden uske supurd kar diye,
Ye nawjawan saara din mehnat mazduri karta aur fir ghar aa kar baaqi waqt apne waliden ki khidmat aur biwi bachcho ke dekh-bhal me guzarta,
Waqt guzarta raha, hatta ke uske waliden inteqal kar gaye,
..........Ek martaba ye nawjawan...raat ko.... continue

(baaqi kal msg 113 me .inshaAllah)

BIKHRE MOTI - 113
msg 112 ka aagey)
Ek martaba ye nawjawan raat me so raha tha, usne khwab me dekha ke koi kehne wala usey keh raha hai,
Ey Nawjawan..! Tumne apne waliden ka adab kiya, unko razi aur khush rakha, uske badle tumhe ina'am diya jayega, jaao. Falaan chattan ke niche ek dinaar pada hai wo utha lao, us ek dinaar me tumhare liye barkat rakh di gayi hai,
Subah ko ye nawjawan us dinaar ko utha laya aur khushi'khushi ghar ja raha tha, raste me ek machhli bechne wala mila to usne socha ke ye ek dinar ki machhli kharid li jaye taa ke biwi-bachche iske kabaab banaa kar khaye, chunanche usne machhli kharid li,
Jab ghar aayaa to biwi ne machhli pakane ke liye usey kaatna shuru kiya, pet chaak kiya to usme se ek keemti hira nikla,
Nawjawan us hire ko dekh kar khushi se fulaa na samaya, jab bazar ja kar us hire ko becha to uski itni keemat mili ke uski saari zindagi ka kharcha pura ho gaya.

BIKHRE MOTI -114
Hz. Imame aazam abu hanifa rh. Apni walida ka badaa aehteram kiya karte the, jab kabhi unki walida ko mas'ala malum karna hota, to wo ek san rasida (budhe) faqih (Jis ko allah ne fiqh me maharat di ho) se daryaft karti,
Aise mauqe pae imame aazam abu hanifa rh. Apni walida ko uunt par sawar karte aur khud unt ki nakil pakad kar  paidal chalte,
Jab log dekhte to adab aur aehteram ki wajah se raste ke dono taraf khade ho kar salaam karte,
Kaee martaba aisa hota ke muammar (budhe) faqih ko mas'ala sahih malum Na hota to wo hothon - hothon me imame aazam abu hanifa rh. Se puchh lete, fir unchi awaz se aap ki walida ko bata dete,
Imame aazam abu hanifa rh. Ki tawajo'a aur unke adab ka ye aalam tha ke saari zindagi apni walida par ye zahir na hone diya ke jo masail aap unse puchhti hai wo me hi to batata hun,
Ye sab is liye tha ke walida sahiba ki tabiyat jis tarah mutmain hoti hai, honi chahiye.
Is adab wa aehteram ke sadke hi IMAME AAZAM bane.

BIKHRE MOTI -115
Nabi e kareem sallallahu alayhi wasallam ne irshad farnaya: Jannat maa ke kadmo tale hai.
Dusri jagah irshad farmaya: Rab ki raza walid ki raza me hai aur Rab ki narazgi walid ki narazgi me hai.
(mishkat)
Sach to ye hai ke aulad apne waliden ki jitni khidmat kare unke ehsanat ka haq adaa nahi kar sakti,
Balke agar saari qayenat ka ek lukma bana kar waliden ke munh me de de to bhi Walida ke sine se piye huwe dudh ka badla nahi chuka sakti.

BIKHRE MOTI - 116
Taalib-e-Ilm ko Ilm ka Laalchi hona chahiye
hz. Abu saeed Khudri rd. se riwayat hai ke nabi e kareem sallallahu alayhi wasallam ne farmaya:
Mo'amin  ko Ilm se sairi haasil nahi hoti yahan tak ke Jannat me pahonch jaye.
Hz. Isa alayhissalam se puchha gaya ke: Ilm kab tak haasil karna chahiye..?
Farmaya: Jab tak zindagi hai.
Saeed bin musayyib rh. Kehte hai ke: me ek hadis ke liye kaee din aur kaee raat safar karta tha.
Sha'abi rh. Ka qol hai ke: Agar koi shakhs mulke shaam ke aakhir se chal kar yaman ke aakhir tak mahaz is liye safar kare ke Ilm ki Ek baat sune to mere nazdik uska safar zaye'a nahi huwa.

BIKHRE MOTI -117
hz. Abu Darda rd. Kehte hai: Jo koi talab-e-ilm ke safar ko jihaad nahi samjhta uski akl me nuks (khami) hai,
Ibne abhi gassan ka qol hai: Aadmi us waqt tak aalim hai jab tak talib-e-ilm hai, jab talibe ilmi ko kherbaad ke de to jaahil hai,
Abu usama hz. abdullah bin mubarak rh. Ke mutalliq likhte hai: meine Abdullah bin mubarak se ziyada mulk-dar-mulk ghum kar ilm haasil karne wala nahi dekha.

BIKHRE MOTI - 118
Imaam zahbi rh. Jab pehli martaba ilm haasil karne ke liye nikle, to 7 saal tak safar hi me rahe,
Behrin se misar, fir ramlah, wahan se tartus ka safar paidal kiya, us waqt unki umr 20 saal ki thi,
Ibnul makri rh. Farmate hai: meine sirf 1 nuskha ki khatir 70 manzil ka safar kiya,
Un buzurgon ke dil me ilm ke sauq ki aisi betaabi thi jo unko kisi shaher ya mulk me karaar nahi lene deti thi,
Ek samandar se dusre samandar aur ek barre aazam se dusre barre aazam ka safar ilm haasil karne ke liye karte the,
(iske muqabil hamara haal khud dekh len)

BIKHRE MOTI - 119
Hazrat mufti muhammad shafi sahab rh. Ek mattaba saiyyed Asgar husain rh. Ke yahan Mehman bane.
 Khane se faragat par hz. Mufti muhammad shafi sahab rh. Ne Dasrtar khwan sametna chaha.
 Moulana Asgar rh. Ne puchha: Kya karna chahte ho..?
Mufti sahab me bataya ke Dastar khwan Zhad du.
 Puchha ke: Dastar khwan zhaadna aataa bhi hai..?
 Mufti sahab Hairaan huwe, ke isme Jaanne wali kon si baat hai..? Lihaza yun puchha ke aap hi bataa dijiye kaise zhaadte hai..?
 Farmaya: Ye bhi ek Fan hai, fir Haddiyon ko, Gosht lagi Botiyon ko, Roti ke tukdon ko, aur chhote zarrat ko alag alag kiya.
 fir Haddiyon ko aisi jagah fenka jahan Kutte kha sake, Gosht lagi Botiyon ko aisi jagah fenka jahan Billi kha sake, Roti ke Tukdon ko Diwar par rakh diya taa ke Parinde kha sake, chhote chhote zarrat ko aisi jagaj daalaa jahan chitiyan ka bil karib tha.
 fir farmaya: Ye Allah ka Rizk hai uska koi hissa zaye'a nahi hona chahiye.

BIKHRE MOTI - 120
Hazrat maulana Husain Ahmed Madni rh. Ke yahaan ek sahab mehman huwe, to unke khane me fal (fruit) pesh kiye gaye,
Faragat par wo sahab (jo aalim the) ne kaha: hazrat.! Falon ke chhilke me bahar fenk deta hun,
Hazrat maulana ne puchha: Fenkne aate hai..?
Unhone kaha: isme aane wali kyaa baat hai..?
Farmaya: mere pados me gareeb rehte hai, agar sab chhilke ek jagah fenk diye, to unhe dekh kar hasrat hogi,
Pas, thode thode chhilke is tarah alag alag jagahon par fenk diye ke dekhne walon ko ehsaas bhi na ho.
Baaz log roti ke tukdon ko kuda-karkat me daal dete hai, ye sakht be-adabi haim dekhne walon ko chahiye ke wo un tukdon ko utha kar unchi jagah rakh de.

BIKHRE MOTI - 121
Ek buzurg apni sawari par bethe kahin jaa rahe the, aur chane bhi kha rahe the,
Ek chana haath se gir gaya, unhone sawari roki aur niche utar kar chana utha kar kha liya,
Allah Ta'ala ne unke tamam gunahon ki magfirat farma di ke US BANDE NE MERE RIZK KA ADAB KIYA.

BIKHRE MOTI - 123
Hz. Khwaza Fazal Ali Shah Quraishi Miskinpuri rh. Ki Khankaah par saliqeen ka har waqt Huzoom (bhid) rehta tha,
Ek martaba jab saliqeen ke liye dastarkhwan bichhaya gaya aur khana chun diya gaya, to hazrat me farmaya:
Fakiro..! Ye Roti jo tumhare saamne rakhi hai uske gandum (gehun/wheat) ke liye khet me ba-wuzu hal chalaya gaya,
Baa-wuzu paani diya gaya,
Jab gandum ki fasal pak kar taiyyar ho gayi to usey baa-wuzu kaata gaya fir gamdum ko  bhuse se ba-wuzu juda kiya gaya,
Us gandum ko ba-wuzu pis kar aataa banaya gaya, fir us aate ko ba-wuzu gonda gaya,
Uski roti bawuzu banayi gayi fir baawuzu aap ke samne laa kar rakhi gayi,
KAASH...!!! KE AAP USEY BAWUZU KHA LETE.

BIKHRE MOTI - 124
AKAD KAR ITRATE HUWE NA CHALE
(abu dawood)
KOI MARD AURTON KE DARMIYAN NA CHALE
(bukhari)
US GHAR ME FARISHTE DAKHIL NAHI HOTE JISME KUTTA YA (jaandaar) KI TASWIR HO
(bikhari)
JAB KISI KA DARWAZA KHITKHITAO AUR ANDER SE PUCHHE KOUN HO..? TO YE NA KAHO 'ME HUN' (balke apna naam batao)
(bukhari)
CHHUP KAR KISI KI BAATEN NA SUNIYE
(bukhari)

BIKHRE MOTI - 125
jab kisi ko khat likho to shuru me apna naam likh do.
(bukhari)
*hum jab kisi ko call karte hai to samne wale se puchhte hai ke : aap kon bol rahe hai..? Ye tariqa galat hai, balke pehle apna naam batana chahiye, isi tarah msgs me bhi.
 jab kisi ke ghar jaao to pehle ijazat lo fir dakhil ho.
(bukhari)
 teen martaba ijazat maangne par bhi na mile to wapas ho jao.
(bukhari)
 ijazat lete waqt darwaze ke samne ke daayi ya baayi jaanib khade raho.
 apni walida ke paas jaana ho tab bhi ijazat lo.
(tirmizi)

BIKHRE MOTI -126
KISI KI CHIZ MAZAK ME LE KAR NA CHAL DO.
(Tirmizi)
ISI TARAH CHHURI CHAKU WAGERAH KA HUKM HAI, AGAR AISA KARNA PADE TO FAL (dhaar wala hissa) APNE HAATH ME RAKHO, AUR DASTA UNKO PAKDAO.
(tirmizi)
ZAMANE KO BURA MAT KAHO, KYUN KE USKI ULAT FER ALLAH KI KE KABZA ME HAI.
(muslim)
HAWA KO BURA MAT KAHO.
(tirmizi)
BUKHAR KO BHI BURAA MAT KAHO.
(tirmizi)

BIKHRE MOTI - 127
Jab raat ka waqt ho jaye to 'Bismillah' padh kar darwaza bandh kar do, kyun ke shaytan bandh drwaze nahi kholta, fir 'Bismillah' padh kar Mashkizon ke munh tasmon se baandh do. Bartano ko dhanp do.

Jab raat ko gali-kuncho me Aamado-Raft (chalat-firat) bandh ho jaye aise waqt me bahir kam niklo.
Aam logon ke saamne angdaee aur Dakaar lena Tehzib ke khilaf hai.
Agar pet me hawa ka dabav ho to Baitul-khala me ya Tanhaee me usko nikalna chahiye.

BIKHRE MOTI - 128
hz. Abu saeed khudri rd. Farmate hai ke rasululullah sallallahu alayhi wasallam ne farmaya:
 Jisne paak (rizk) khaya aur sunnat par amal kiya aur log uski ziyadatiyon se mehfuz rahe wo jannat me jayega,
(ye sun kar) ek sahab ne kaha: ya rasulullah sallalhu alayhi wasallam: aaj kal to ye baat bahot logon me hai,
aap sallallahu alayhi wasallam ne farmaya: aur mere baad ke zamane me bhi is tarah ke log honge.
Tirmizi

BIKHRE MOTI - 129
hz. Abu Umamah rd. Farmate hai ke rasulullah sallallahu alayhi wasallam ne irshad farmaya:
koi bhi qom raah-e-hidayat par aane ke baad, us waqt gumrahi ka shikar huwi jab isko zhgadne ki aadat ho gayi.
uske baad aap sallallahu alayhi wasallam ne ye ayat padhi (tarjuma)
''wo (kuffar) is baat ko aap ke saamne sirf zhagadne ke liye bayan karte hai balke (dar haqiqat) wo qom zhagdalu hai''
ahmed, tirmizi, ibne majah

BIKHRE MOTI -130
Allah ke fazl se BIKHRE MOTI JILD - 7 me se ab msgs likhe jaa rahe hai.
Hazrat maulana Muhammad umar palanpuri rh. Ka jab inteqal huwa, abhi janaza rakha huwa hai, ke ek sahibe nisbat (buzurg) ne muqashafe me dekha ke
Allah ta'ala farishton se farma rahe hai, Nabi e Akram (sallallahu alayhi wasallam) ki Qabr-e-At'har se Farsh nikal kar hz. Maulana (rh.) ki Qabr me bichha diya jaye, aur Nabi e akram (sallallahu alayhi wasallam) ki Qabre at'har me Naya Farsh Jannat se laakar bichha diya jaye.
Jis shakhs ne apni puri zindagi deen ke liye qurban ki, zindagi ka ek ek lamha Allah ke Laadle paigambar ke deen ke liye Qurban kiya, agar uska ye ikram kiya jaaye to isme ta'jjub ki kyaa baat hai.
(maahnaama al mahmood, abiussani san hizri 1429, april san isvi 2008)

BIKHRE MOTI - 131
Hz. Hasan basri rd. Farmate hai ke : sab se pehle jo shakhs Allah tabarak wata'ala ke chehra e akdas ki ziyarat karega, wo Andha hoga,
Neez farmate hai ke : Jab Allah tabarak wata'ala Jannat walon ke samne tajalli farmayenge, aur Jannati Allah ki ziyarat se musharraf honge to Jannat ki tamam ne'mate bhul jayenge.
AJAB TERI HAI MEHBUB ! SURAT,
NAZAR SE GIR GAYE SAB KHUBSURAT.

BIKHRE MOTI - 132
WO GUNAAH JISKI WAJAH SE ALLAH TA'ALA HAWAON KO PAAGAL, ZAMINO KO BEWAFA AUR SAMANDRON KO SARKASH BANA DETE HAI.
Hz. Ali rd. Se marvi hai ke rasulullah sallallahu alayhi wasallam ne irshad farmaya ke Meri ummat 15 kism ki buraiyon ka irtikab karegi to ummat par balaayen aur musibaten aa padegi,
kisi ne puchha : ya Rasulullah sallallahu alayhi wasallam ! Wo kyaa buraiyan hai..?
Aap hazrat sallallahu alayhi wasallam ne faramaya..
1. Jab maal-e-ganimat ko shakhsi daulat bana liya jayega,
2..... (baaqi msg 133 me inshaAllah)

BIKHRE MOTI - 133
 (msg 132 ka aagey)
2. Aur amanat ko ganimat samajh liya jayega,
3. Aur zakaat ko tawaan (dand) samajh liya jayega,
4. Aur ilm-e-deen ko duniya talbi ke liye sikha jayega,
5. Mard apni biwi ki ita'at karne lagega,
6. Aur apne maa ki na-farmani karega,
7. Aur aadmi apne dost ke sath nek sulook karega aur apne baap ke sath sakhti aur bad akhlaqi se pesh aayega,
8. Aur masjid me shor-o-gul hone lagega,
9. Jab Qabila ka sardar unka badtareen shakhs ban jayega,
10. Aur Qaum ka sabrah (aagewan) Zaleel tareen shakhs hoga.
11.... (baaqi msg 134 me inshaAllah)

BIKHRE MOTI - 134
 (msg 133 ka aagey)
11. Aadmi ka Ea'zaaz wa ikram uske shar (burai) se bachne ke liye kiya jayega,
12. Log kasrat se sharab pine lagebge,
13. Mard bhi resham ke kapde pehanne lagenge,
14. Naachne gaane wali aurton aur gaane bajane ki chizon ko apna liya jayega.
15. Is ummat ke pichhle log aglon par la'nat bhejenge,
To us waqt Surkh Aandhim Zalzala, Zameen ke dhans jane, shakal bigad jane aur paththaron ke barasne ka intezar karo.
Aur nishaniyon ka intezar karo jo yake baad digare is tarah aayegi jaise kisi haar ki ladi tut jane se uske daane yake baad digare bikharte chale jate hai.
(tirmizi sharif 2/44)

BIKHRE MOTI - 135
hz. Moosa (a.s) ne Allah se puchha, ya Allah mera Jannat ka sathi kaun hai..?
To farmaya ke falaan Kasaai.
Kasaai ka pataa bataya, na kisi abdal ka, na kisi kutub ka, na kisi shaheed ka, na muhaddis ka, kahaa ke falaan kasaai..!
Hz. Moosa (a.s) Hairaan ho gaye, fir us kasaai ko dekhne chale gaye, kasaai bazar me betha gosht bech raha hai, sham dhali aur usne dukan bandh ki aur ek gosht ka tukda thele me daala aur ghar chala gaya,
Moosa (a.s) Bhi saath ho gaye, kehne lage bhai me tere saath aaunga, usko pataa nahi tha ke ye Mosaa (a.s) Hai, kehne laga ke aa jaao, gar gaye.....
(baaqi msg 136 me inshaAllah)

BIKHRE MOTI – 136
...ghar gaye... Us kasaai ne botiyan bana kar saalan chadhaya, aataa gunda, roti pakaayi, saalan taiyyar kiya,
Fir ek budhiya thi usey utha kar kandhe ka sahara diya, sidhe haath se lukme bana kar usey khilaye, uska munh saaf kiya, usko letaya, wo budhiya kuchh boli, badbadayi,
hz. Moosa (a.s) Ne kasaai se puchha : ye kaun hai... Usne kaha...
(baaqi msg 137 me inshaAllag)


BIKHRE MOTI - 137
 (msg 136 ka aagey)
hz. Moosa (a.s)  Ne kasaai se puchha : ye kaun hai... Usne kaha...Meri Maa hai, subah ko uski saari khidmat kar ke jata hun, aur raat ko aakar pehle uski khidmat karta hun, ab apne bachchon ko dekhunga,
hz. Moosa (a.s) Ne faramaya : ye kuchh keh rahi thi..? (badbada rahi thi)
kasaai ne kaha : haan, ji, roz kehti hai, ajeeb baat kehti hai, me roz uski khidmat karta hun to lehti hai :
Allah tujhe Moossa (a.s) Ka saathi banaye..! Me Kasaai aur Moosa al. Nabi kahaan..??!!
ALLAHU AKBAR

BIKHRE MOTI -139
Afghanistan ke ek saher me kahat aa gaya, yahan ek aale rasulullah sallallahu alayhi wasallam ka khandan tha wo fout ho gaya aur bachche yateem ho gaye, to unhone kahat ki wajah se sahar chhoda,
 
Ek jawan aurat Samarkand pahunchi, ek masjid me bachchon ko bithaya, Jo Samarkand ka wali (badshah) tha uske pass pahunchi ke me aale rasul sallallahu alayhi wasallam hun, mere sath ye kissa huwa hai, mujhe panah chahiye, mujhe khana bhi chahiye, 
 
To wo kehne laga ke Tum gawah pesh karo ke me aale rasul sallallahu alayhi wasallam hun,
 
usne kaha me pardesi hun, mera gawah kahan se aayega..??
 
Kehne laga ke idhar har aadmi aale rasul sallallahu alayhi wasallam ke daawe karta hai, chali jao,
 
Uth kar bahar nikli to usko kisi ne kaha ke.......
 
(Baaqi msg 140 me inshaAllah)

BIKHRE MOTI - 140
(Msg 139 ka aagey)

....Uth kar bahar nikli to usko kisi ne kaha ke ek Majusi hai Aatish parast (aag ki pooja karne wala) hai, wo badaa sakhi hai, uske paas chali ja,

Wo aurat uskepaas chali gayi, usne uska ikram kiya, fir apne ghar laya, khana paani mayassar kiya,

Raat ko Samarkand ke badshah ne khwab dekha ke Jannat me Allah ke  nabi khade hai aur ek bada aalishan mahel hai

Wo kehta hai ke ya rasulullah sallallahu alayhi wasallam ye mahel kiska hai?

Aap sallallahu alayhi wasallam ne farmaya ye Imaan wale ka hai,

Usne kaha ya sallallahu alayhi wasallam me bhi imaan wala hun,

Aap sallallahu alayhi wasallam ne farmaya ke Apne imaan par gawah pesh karo,

To uska rang pilaa pad gaya,

Aap sallallahu alayhi wasallam ne farmaya ke meri beti tere paas aayi thi, aur tu usse gawahiyan maangne laga ke gawah pesh kar,

Aisi daant padi, jab aankh khuli to pasina pasina ho gaya, sidha us majusi ke darwaze par gaya aur rone laga, ke ye khandan mujhe de de, munh maangi daulat le le,

Kaha ye ne'mat mujhe di hai, me tumhe kaise du ?

Mujhe pata hai raat ko khwab dekh raha tha, aur tujhe daant pad rahi thi, aur mujhe ataa kiya ja raha tha,

Me imaan la chuka hun, me musalman ho chuka hun, wo mahal tere naam se kaat kar mere naam laga diya, me ye ghar  tujhe kaise de du ??

Mahel ke bahar tujhe daant pad rahi thi, aur me mahel me khada khada sun raha tha.

BIKHRE MOTI -141
Ek martaba ek aadmi rasule khuda sallallahu alayhi wasallam ki khidmat me hazir huwa, aur shiqayat ki ke:ya rasulullah sallallahu alayhi wasallam meri MAA bad-mizaj hai,
Pyare rasul rasulullah sallallahu alayhi wasallam ne farmaya: 9 mahine tak jab ye tujhe pet me liye firi us waqt to ye bad-mizaj na thi.
Wo shakhs bola: hazrat me sach kehta hun, wo bad-mizaj hi hai,
huzur rasulullah sallallahu alayhi wasallam ne farmaya: jab ye raat bhar teri khatir jaagti thi aur tujhe apna dudh pilati thi us waqt to ye ba-mizaj na thi,
Us aadmi ne kaha: me apni maa ko in baaton ka badla de chuka hun,
Huzur rasulullah sallallahu alayhi wasallam ne puchha: tu kya badla de chuka hai bhala..?
Usne kaha: meine apne kandho par bitha kar usko haj karaya hai,
Rahmate aalam sallallahu alayhi wasallam ne Faislakun jawab dete huwe farmaya: Kya tu usey us dard-e-zeh ki taklif ka badla bhi de sakta hai jo teri pedaish ke waqt une uthayi hai..?
maakuz husne muaashrat afa-48

BIKHRE MOTI -142
hazrat Abbas r.d. ke paas ek aadmi aaya aur usne kaha: hazrat ! meine ek jagah shadi ka paigaam bheja lekin ladki ne inkar kar diya, ek dusre aadmi ne paigam bheja ladki ne manzur kar liya, ye dekh kar mujhe badi gairat aayi, aur meine jazbat se beqabu hokar us aurat ko maar dala.
hazrat bataiye ab mere liye tauba ki koi shakl hai..?
hazrat Abbas r.d. ne puchha: ye batao kya tumhari maa zinda hai..?
wo aadmi bola: maa ka to inteqal ho chuka hai.
aap ne farmaya: jaao sachche dil se tauba karo aur jahan tak tum se ho sake aise kaam karo jinse khuda ka qurb aur uski raza hasil ho.
hazrat Zaid bin aslam, hazrat Abdullah r.d. ke paas pahunche aur puchha: hazrat ye to bataiye us aadmi se aapne ye kyun puchha tha ke kya tumhari maa zinda hai..?
hazrat Abdullah r.d ne farmaya: Khuda ka Qurb aur uski raza haasil karne ke liye MAA ke saath nek sulook se badh kar mujhe nahi malum ke koi aur amal bhi ho sakta hai.

BIKHRE MOTI -143
ek aadmi pyare rasul sallallahu alayhi waallam ki khidmat me hazir huwa aur kehne laga: ey khuda ke rasul sallallahu alayhi wasallam me ek bahot bada gunaah kar betha hun, ey khuda ke rasul sallallahu alayhi wasallam kya mere liye bhi tauba ki koi surat mumkin hai..?
rahmate aalam sallallahu alayhi wasallam ne farmaya: kya teri Maa zinda hai..?
us aadmi ne kaha: huzur sallallahu alayhi wasallam walida to zinda nahin hai,
fir aapne puchha: achcha tumhari khala hai..?
usne kaha: ji haan,
aap ne farmaya: khaala ke saath nek sulook karo,
in waqeyat se Maa ki azmat aur maa ki khidmat ki deenee ahmiyat ka andaza ho sakta hai ke agar aadmi bade se bada gunah kar le to uske azaab se bachne aur khuda ko khush karne ki shakl huzur sallallahu alayhi wasallam ne ye batayi ke maa ke sath nek sulook kiya jaye, aur ye khuda ki rahmat ki inteha hai ke agar maa inteqal kar gayi ho to Maa ki bahen ke saath achcha sulook kar ke aadmi apni aakhirat bana sakta hai.
{ maakhuz husne muaashrat, safa-35 }

BIKHRE MOTI -144
AULAAD SE AAM SHIKAYAT
ye hi aulaad jiski khidmat me kamzor maa ne din raat mashgul reh kar apne jusm wa jaan ki quwwaten dhulaa di, aur jholi faila faila kar unke liye har waqt deuaaen karti rahi.
agar maa ki ummidon par paani fer den aur uski ummidon ke khilaf wo nafarman aur baagi ban kar uthe to andaza kijiye us maa ka kya haal hoga ..?
uski ruhaani taklif aur dili ranj wa gam ko alfaz bayan nahi kar sakte,
[ baaaqi msg 145 me insha Allah }

BIKHRE MOTI -145
aaj ke zamane me chand khusnasib gharano ko chhod kar har ghar me yahi rona hai ke aulaad be_kahi ho gayi hai,
bete ho ya betiyan, maa-baap ke huquq se gafil hai, maa-baap ka adab wa aehteram aur farmabardari ka jazba jaise dilon se bilkul hi nikal chuka hai,
aisa malum hota hai ke maa-baap ke sath sooluk, unki khusnudi ka khyal, unki khidmat wa farmabardari, unka adab aur ahteram, unke jazbat ka pas wa lihaz, ye sab goya be-ma‘ana alfaz hai,
mahol ki kharabi, zamane ki ranga rangi, galat aur gumrahkun afkaar wa nazariyat ki isha‘at, fahash litreture, be-akhlak ta‘lim aur aazadravi ki ranjdeh shiqayat ki lambi daastan shuru ho jati hai,
ye sab surate haal intehaai afsosnaak hai.

BIKHRE MOTI -146
jara gour karen
marnese pehle maut ki tayyari kijiye
1 kya aapne vasiyyat nama likh liya hai?
2 kya apne tauba karli hai?
3 kya aapne karz adaa kar diya hai?
4 kya aapne biwi ka mahar adaa kar diya hai?
5 kya aapne tamaam maali huqooq adaa kar diye hai?
6 kya aapne tamaam jaani hoqooq adaa kar diye hai?
7 kya aapke jimma koi namaz baaki hai?
8 kya aapke jimme koi roza baaki hai?
9 kya aapke jimme koi zakat baaki hai?
10 kya aapke jimme koi farz haj baaki hai?

BIKHRE MOTI -147
maal se duniya ke chand bade fayde to hasil kiye ja sakte hai magar har mushkil me maal kaam nahi aata,
maslan maal se hum aenak (chasma) to kharid sakte hai, binaai (roshni) nahi kharid sakte,
maal se hum narm bistar to kharid sakte hai, mithi nind nahi kharid sakte,
maal se hum kitaben to kharid sakte hai, ilm nahi kharid sakte,
maal se hum khusamat to kharid sakte hai, kisi ki muhabbat nahi kharid sakte,
maal se hum zawehrat to kharid sakte hai, husn nahin kharid sakte,
maal se hum ghar me naukar to la sakte hai, beta nahi la sakte,
maal se hum khizab to kharid sakte hai, shabab nahin kharid sakte,
pas, insan ko chahiye ke taalib-e-maal banne ke bajaye taalib-e-ilm ban kar duniya wa aakhirat me surkh-rui (kamyabi) haasil karen.

BIKHRE MOTI -148
 qayamat ke roz sab logon se ziyada Allah ta‘al ka kareeb wo hoga
jiska faaqa, pyaas, aur gam duniya me lambi muddat tak raha.
agar wo gaayab ho jaye to log talash na karen,
jab raat ko log bistar bichha lete hai to wo Rab ke samne peshaniyan aur ghutne bichha lete hai,
aur jab zamin unje khoti hai to roti hai,
jab tu unhe kisi shaher me dekh le to jaan le ke ye log us shaher me imaan ki alamat hai.

BIKHRE MOTI -149
salfe saliheen se mankul hai ke,
Dost ka lafz 4 huruf se mil kar bana hai jiski tafsil ye hai,
Daal : se Dard, yaani jo dukh-dard ko baantne wala ho,
Vaav : se Vafaa, yaani jinki aapas me vafaa aisi ho ke zindagi bhar saath nibhaye,
Seen : se Sachchai, yaani ek dusre ke saath sachchayi ka muaamla kare,
Taa : se Taabedari, yaani har ek dusre ki baat maanne ke liye taiyaar rahe.

BIKHRE MOTI -150
Abu ya'ala me hai ke rasulullah sallallahu alayhi wasallam ne irshad farmaya:
 3 kaam hai, jo unhe imaan ke saath kar len wo Jannat ke jis darwazon me se jisse chahe Jannat me chala jaye,
 Aur jis kisi Hoor-e-Jannat se chahe Nikaah kar le,
1 Jo apne Qatil ko muaaf kar de,
2 Poshida Karz adaa kar de,
3 Har Farz namaz ke baad 10 baar ''surah ikhlas'' ko padhe,
 Hazrat Abu bakr rd. ne puchha, ya rasulullah sallallahu alayhi wasallam: jo in teeno kaamo me se ek kar le..??
 Aap sallallahu alayhi wasallam ne farmaya: Ek par bhi yahi darza hai.
 Tafsir ibne kasir-5, safa-616

BIKHRE MOTI -151
MUSALMAN RASMO RIWAJ TUTNE PAR TADAPTE HAI aur SUNNATE NABWI KE CHHUTNE PAR TAS SE MAS NAHI HOTE
 aaj ka ke machine dor ka aam insaan khud bhi ek machine ki tarah zindagi guzar raha hai, kaam kaaj ki ziyadti aur ma'ashi wa ma'shrati pareshanion ne usey ulja rakha hai,
pur aasaaish zindagi ke bawajud usey wasaail aur utminane qalbl ki kamee ka shikwa rehta hai, ek taraf ma'aaddi taraqqi ne usey apni zaat ke khoul me bandh kar diya hai,
 dusri taraf science ke uloom ne aql ko is qadar mas'hur kar rakha hai ke deenee uloom ki aehmiyat dilon se nikalti ja rahi hai,
apni zuban se deen wa duniya barabar ka naaraa lagane wale bhi amalan duniya daarana zindagi basar kar rahe hai,
rasmo riwaj tutne par tadapte hai aur sunnate nabwi ke chhutne par tas se mas nahi hote, musalman nawjawan firangi (angrezi) tehzib ke is qadar didaadah ban chuke hai ke libaas wa khana aur nashist wa barkhast me firangi tariqon ko apnana roshan khyali ki alamat samjhte hai,
 kufro ilhaad me musalman muaashre par apne makruh saaye dalne shuru kar diye hai, jab ke jadeed taalim ne jalte par tel ka kaam kar diya hai,
Akbar ilahabadi ne kyaa khub kaha hai ke:::::
(baaqi msg 152 me inshaAllah)

BIKHRE MOTI -152
(msg 151 ka aagey)
ba qoul e Akbar Ilahabdi
''khush to hai hum bhi jawano ki taraqqi se,
labe khanda se nikal jati hai fariyad nhi saath,
hum samjhte the ke laayegi faragat taalim,
kyaa pataa tha ke chala aayega ilhaad bhi saath''
aaj kal ke musalman bachche maa baap ki god se hi angrezi zaban ke alfaz is tarah sikh rahe hai jis tarah maazi me kalima e tayyiba aur quraan ki aayaten sikha karte the,
jab bachche ki uthaan hi aisi ho to kyaa gila, aur kyaa shikwa ke bachcha badaa ho kar maa baap ka naa farmaan banta hai,
TIFAL SE BOO AAYE KYA MAA BAAP KE ATWAAR KI,
DUDH DIBBON KA HAI AUR TAALIM HAI SAKAAR KI.

BIKHRE MOTI - 153
Baa'z aurton ka to ye mazariya hota hai ke bachcha badaa ho kar khud ba khud sanwar jayega,
 Lihaza bachche ki buri harkat wa saknat dekh kar thoda bahot daant leti hai, Baap ko rok-tok nahi karne deti,
 Haalaake bachpan ki bigdi aadaten jawani me bhi pichha nahi chhodti,  bachcha sayyad faulaad ki tarah bachpan me jis saanche me dhal jaye saari umar usi tarah rehta hai,
 Rahi sahi kasar collage aur univercity ki ta'alim pura kar deti hai, jisse nawjawan tabka MAAN KAR CHALNE ke bajaye MANWA KAR CHALNE ka aadi ho jata hai,
 Ab agar unhe rok tok ki jaye to ye maa ko dakyanusi samjhte hai aur Baap se yun nafrat karte hai jaise Paap se ki jaati hai.
 HUM AISI SAB KITAABEN QAABIL-E-ZABTI SAMJHTE HAI,
JINKO PADH KAR BACHCHE BAAP KO KHABTI SAMAJHTE HAI.

BIKHRE MOTI - 158
tak apne nafs ke baarik baarik dhoko ki mubalga ke saath taftish na kar len, us waqt tak kisi musalman se kata'a talluq aur bolchaal bandh karne me jaldi na kare,
kyun ke aksar aisa hota hai ke kata'a talluqi to khwahishe nafs ki wajah se hoti hai, aur nafs ye samjta hai ke me Allah ke waaste kata'a taalluq kar raha hun, aur us par bahot se dalaail bhi baaandhta hai,
agar hum is baat par gour kar liya kare ke kataa'a talluqi ke gunah ki wajah se hamara koi amal aasmaan tak nahi pahonchega to hargiz kataa'a taalluqi me jaldi na karenge.

BIKHRE MOTI - 159
jo shakhs hamara mukhalif ho aur hamari badkhwahi me lagaa rehta ho, hamen chahiye ke hum uski khair khwahi aur ehsaan wa sulook ka muaamla karte rahe,
 hamen Haq Ta'ala ke saath uske bando ko baarey me aisa hi muaamla karna chahiye jaisa ke wo hamare saath kar raha hai.
 jaise hum din raat Allah Ta'ala ki nafarmaniyan kar rahe hai lekin uske bawajud Allah Ta'ala ke Altaf wa Ehsanat bandh nahi hote,
 aisa hi muaamla hamen uski makhluk se saath karna chahiye


BIKHRE MOTI - 160
Guzishta kal ke bikre moti part 159 se malum huwa ke
 Har wo shakhs jo Allah ki taraf bulane wala ho, us par ye baat waajib hai ke, adab aur tameez se bahar hone walon ka ilaaj narmi aur hikmat se kare aur unse sulook aur ehsaan se pesh aata rahe,
 Allama Abdul Wahhab Sha'araani rh. Farmate hai ke : Ek martaba mujhe un Zakireen se nafrat ho gayi jo mere paas rehte the, aur meine unko chhod dene ka irada kiya to usi raat mujhe Saiyyed Ali Khwas rh. Ki (khwab me) ziyarat huwi.
 Dekha ke mujh se farma rahe hai ke 'Tum ko Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam hukm farmate hai ke Apne logon ki sohbat par Allah ta'ala ki razamandi ke liye Sabr karte raho aur achchhi nasihat se har waqt unki khabar-giri karte raho,
 Us shakhs ki tarah na bano jiski bakriyan dushwar guzaar zameen me muntashir ho gayi aur gusse me unko jungle me bhediye ke waste chhod aayaa ke wo unko faad khaaye.

BIKHRE MOTI - 161
Jab Allah ta'ala makhluk ke saamne hamare uyoob zaahir kar de to hum haq ta'ala ka shukr bajaaa laye aur jab wo hum ko apne bando me ruswa kare to ye samajh kar Allah ta'ala se raazi rahe ke usne hamare saath ye bartaaw kisi hikmate kaamila hi ki wajah se kiya hai jis par hum jaiso ki nazar nahi pahuch sakti.
 Pas, hum ko is muaamla me Khuda ta'ala ki pairwi karni chahiye, aur ye kehna chahiye ke Khuda ka shukr hai ke usne makhuq par hamare aibon ko is liye zaahir kar diya ke wo hum ko un se khabardaar kar de, taa ke hum un se baaz rahe, aainda hamensha unse bachte rahe,
 Kyun ke insaan ki haalat ye hai ke jab kisi aib ke saath logon me uski tankis hone lagti hai to wo apne zahir wa baatin ko uss se bacha leta hai.

BIKHRE MOTI - 162
Allah ta'ala jab makhluk par hamare aibon ko zaahir kar de is surat me dusron ko malaamat hargiz nahi karni chahiye,
 Kyun ke haqiqat me malaamat ke kaabil hum hi hai ke hum ne Khuda ta'ala se gaafil hokar aise kaamo ka irtikaab kiya jo ke badnaami aur pardaadari ka sabab ban gaye,
 Agar hum Allah ki nigehdashat rakhte aur usse puri tarah sharmate to hargiz tanhaai me koi gunaah na karte,
Fir jab hum is baat se na ruke ke Allah ta'ala hamare kaamo ko haante hai to usne makhluq ko hamare haal ki khabar kar di ke un aibon se hum baaz aa jaaye, aur usme....
 Aur usme Minjaanibillah hamare liye bahot hi badi dhamki hai ke hamen makhluk ki to parwah hai aur Khuda ta'ala ke muttale'a hone ki zara bhi parwaah nahi hai.


BIKHRE MOTI - 163
Hakim Tirmizee rh. Ko Allah ta'ala ne Deen ka bhi hakim banaya tha aur Duniya ki bhi hikmat di thi, Tirmiz ke rehne wale the, Dariya aamoo ke bilkul kinaare par unka mazaar hai.
 Aap apne waqt ke ek bahut bade muhaddis bhi the aur tabeeb bhi, Allah Rabbul Izzat ne aap ko husn-o-jamaal itna diya tha ke dekh kar Dil farefta ho jata tha, uske saath saath Allah ta'ala ne aap ko baatini husn-o-jamaal bhi ataa kiya huwa tha,
 Allah Rabbul Izzat me unko apne ilaake me Qubuliyate Taamma ataa kar rakhi thi,
 Aap ain Jawani ke waqt rk din apne matab (dawakhane) me bethe the ke ek aurat aayi, aur usne apna chehra khol diya, wo badi haseena wa jamila thi, kehne lagi me aap par farefta hun, badi muddat se mauka ki talash me thi, aaj tanhaai mili hai, aap meri khwahish puri karen,
 Aap ke Dil par khouf-e-Khuda gaalib huwa to ro pade, Aap is andaaz se roye ke wo aurat naadim ho kar wapas chali gayi, waqt guzar gaya aur aap is baat ko bhul gaye,
 Jab aap ke Baal safed ho gaye aur Kaam bhi chhod diya to ek martaba aap musalle par bethe the ... Ke.....
(baaqi msg 164 me inshaAllah)

BIKHRE MOTI - 164
Jab aap ke Baal safed ho gaye aur Kaam bhi chhod diya to ek martaba aap musalle par bethe the ... Ke....
Aise hi aap ke Dil me khyal aaya ke falaan waqt jawani me ek aurat me apni khwahish ka izhaar kiya tha,
Us waqt me agar gunaah kar bhi leta to aaj Taubaa kar leta, lekin jaise hi Dil me ye khyal guzra to rene lag gaye,
Ey Rabbe Kareem..! Jawani me to ye haalat thi ke me Gunaah ka naam sun kar itna roya ke mere rone se wo aurat naadeem hokar chali gayi thi, ab mere baal safed ho gaye to kya mera dil siyaah ho gaya..!? ey Allah me tere saamne kaise pesh hounga..? Is Budhape ke ander jab mere jism me Quwwat hi nahi rahi to aaj mere dil me gunahon ka khyal kyun paida huwa..?
Rote huwe .... isi haalat me ....
(baaqi msg 165 me inshaAllah)

BIKHRE MOTI - 165
Rote huwe ... isi haalat me ... So gaye, Khwab me Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam ki Ziyarat naseeb huwi,
 Puchha : Hakim Tirmizee, Tu kyun Rota hai..?
 Arz kiya : Mere Mehboob ! Jab Jawani ka waqt tha, Jab Shahwat ka dour tha, Jab Quwwat ka zamana tha, Jab Andhepan ka Waqt tha, us waqt to Khashiyyat (dar) ka ye aalam tha ke gunaah ki baat sun kar me itna roya ke wo (aurat) naadeem ho kar chali gayi, lekin jab Budhapa aaya hai, to ey Allah ke Mehboob ! Mere baal safed ho gaye, lagta hai mera Dil is kadar Siyaah ho gaya hai ke, me soch raha tha ke me us aurat ki khwahish puri kar leta aur baad me taubaa kar leta, me is liye aaj bahot pareshan hun,
 Rasulullah sallallahu alayhi wasallan me tasalli dete huwe farmaya : ye teri kamee aur kasoor ki baat nahi, jab tu jawan tha to us zamane ko mere zamane se Kubr ki nisbat thi, un barkaton ki wajah se teri kefiyat itni achchhi thi ke gunaah ki taraf khyal hi na gaya, ab tera budhapa aa gaya hai to mere zamane se duri ho gayi hai, is liye ab dil me gunaah ka waswasa paida ho gaya tha.

BIKHRE MOTI - 166
Tabrani me hai ke
Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam farmate hai :
Jo shakhs Surah-e-Ikhlas ko Ghar me jaate waqt padh le to Allah ta'ala us Ghar walon se aur uske Padosiyon se Fakiri dur kar dega.
Tafseer Ibne Kaseer, jild-5, safa-616
Hazrat Abdullah Bin Mubarak rh. Ka Inteqaal kaise huwa..??
BAAQI MSG 167 ME INSHA ALLAH


BIKHRE MOTI - 167
Ustaz Muhaddiseen Hazrat Abdullah bin Mubarak rh. Ke paas hadise paak padhne wale hazaron talba hote the, muqabber jaise namaz me aagey takbir kehte hai isi tarah log unse hadise paak aage nakal karte the,
Ek majma me un muqabbireen ki ta'adad 1100 thi, majma ka andaza aap khud laga len,
Ek majma me dawaaton ko ginaa gaya to us majmaa me 40,000 dawaaten thi, ab itne bade majma me wo hadise paak ka dars diya karte the,
Jab unke Aakhri lamhaat aaye, Bistar par lete huwe the aur kefiyat badal rahi thi,
Isi darmiyan aap ne shagirdon se farmaya ke...
(baaqi msg 168 me inshaAllah)

BIKHRE MOTI - 168
Isi darmiyan aap ne shagirdon se farmaya ke: mujhe utha kar zameen par leta do,
Shagird hairaan the ke ab kyaa kare ? Us waqt chapas ke farsh nahi hote the, fakt Mitti hoti thi,
Fir farmaya: mujhe uthaao aur zameen par letaa do,
Shagirdon ne hukm ki ta'amil ki aur zameen par letaa diya,
Unhone delkha ke waqt ke utne badey seikh apne rukhsaar ko zameen par malne lage aur ye keh rahe the ke,
Ey Allah ! Tu Abdullah ke Budhape par Raham farma.
mere dosto ! Jinki zindagee hadise paak ki khidmat me guzri, jab wo apne aakhri waqt me Allah ta'ala ke huzur is tarah is tarah aajizi karte the, to hamen bhi aajizi wa inkisaari karni chahiye,
Kyun ke hamare paas to amal bhi nahi hai, hum waqayee kaabile raham hai, Allah Rabbul Izzat hamare haal par raham farmayen.
Aamin.

BIKHRE MOTI - 169
MAALIK TO SAB KA EK, MAALIK KA KOI EK HAZARON ME NA MILEGA, LAAKHON ME TO DEKH
BHARE BAAZAR ME KUTTE, BILLI AUR KHINZIR
Hz. Maulana Ahmed Ali Lahori rh. Apne bayanat me ek ajeeb baat irshad farmaya karte the ke:
Me ek dafaa baazaar ja raha tha, wahaan mujhe ek Majzoob (Khuda ki Muhabbat me Gark shakhs) nazar aaye, meine uske kareeb hokar salaam kiya, usnhone salaam ka jawaab diya aur mujhe pehchan kar puchha : Ahmed Ali, Insaan kahaan baste hai..??
Meine hairaan hokar bhare bazar ki taraf ishara kar ke kaha : hazrat ye sab insaan hi hote hai,
Jab ye kaha to unhone hairaan ho kar idhar udhar dekha, aur hasrat bhare lehje me kaha : ye sab insaan hai..?
Unki tawajjoh ki taasir aisi thi ke, jab meri Nigaah majmaa par do bara padi to mujhe bazar me kutte, billi aur khinzir chalte huwe nazar aaye..!
Jab wo kefiyat khatam huwi to meine dekha ke wo Majzoob jaa chuke the, ye waqiya apne bayanat me sunaa kar hazrat rh. Farmate the
MAALIK TO SAB KA EK, MAALIK KA KOI EK HAZARON ME NA MILEGA, LAAKHON ME TO DEKH


BIKHRE MOTI - 170
ji haan, Laakho me se koi Ek hi hoga jo sar ke baalon se lekar paanw ke naakhuno tak apne aap ko Parwardigaar ke hawale kar de aur
keh de ke Allah..! Me tera banda hun, tere hukmo ke mutabik meri aainda zindagee guzregi.
usko kehte hai,
''udkhuloo fissilmi kaffah''
ادخلوافی السلم کافه
''tum pure ke pure salamati me dakhil ho jao''
magar mere dosto, hum to apni marzi ke maalik bane firte hai, hum doston me beth kar kehte hai ke: hum kaam to wo karenge jiske liye hamara dil kahega, aur fir Allah Rabbul Izzat ki taraf se khaas rahmaten bhi talab karte hai..!
yaad rakhiye ke jab tak hum apne aap ko Allah Rabbul Izzat ke supurd nahi karenge tab tak Allah Rabbul Izzat ki taraf se khaas rahmaten nazil nahin hogi.


BIKHRE MOTI - 171
Sawal
arz ye hai ke dawat ka kaam farz hai yaa wazib yaa sunnat?
Jawab
agar ummat mai faraaiz chhut rahe hai to dawat kaa kaam farz hai,
agar wajibaat chhut rahe hai to dawat kaa kaam wazib hai,
agar sunnate chhut rahi hai to dawat kaa kaam sunnat hai,
ab aap khud faislaa kare ke ummat iss waqt kyaa chhod rahi hai aur apne dil se fatwaa le.


BIKHRE MOTI-172
Gunaah karne ki 4 wujuhaat hai 
Pehli wajah ye hoti hai ke aadmi gunaah karte waqt ye samjhta hai ke mujhe koi nahi dekh raha hai, 
Parwardigaare Aalam ne iska jawab yun diya hai ke
“INNA RABBAKA LABEEL MIRSAAD”
ان ربك لبالمرصاد
“Ke tera Rab teri ghaat me laga huwa hai”
[surah fajr-ayat-14] 
Shikari jab shikaar par apna nishana bandhta hai to thodi der ke liye bahot hi mutawajjeh ho kar uski taraf dekhta hai, 
Tawajjoh ki is kefiyat ke saath dekhne ko “MIRSAAD” kehte hai, goya Allah Ta’ala is kadar insaan ko dekh raha hai.
(Baaqi msg 173 me inshaAllah)


BIKHRE MOTI-173
Dusri wajah gunaah karne ki ye hoti hai ke
Insaan samajhta hai ke : Mere paas koi nahi hai
Uske jawab me farmaya ke :
"Wahu wa ma'akum ainamaa kuntum"
وھو معکم اینما کنتم
"Ke wo tumhare saath hota hai tum jahan kahin bhi hote ho"
(Surah hadeed, Ayat -24)
(Baaqi msg 174 me inshaAllah)



BIKHRE MOTI-174
Teesri wajah gunaah karne ki ye hoti hai ke
Aadmi ke dil me ye ehsaas hota hai ke
Meri harkaton ka kisi ko pataa nahi chala,
Jab ke Allah Ta’ala farmate hai
"Ya'alamu khainatal a'ayuni wa ma tukhfissudoor"
يعلم خائنة الأعين وما تخفي الصدور
"Wo jaanta hai tumhari aankho ki khayanat ko aur jo tumhare dilon me chhupa huwa hai"
Surah Mua'minun, Aayat - 19
(Baaqi msg 175 me inshaAllah)


BIKHRE MOTI-175
Chothi wajah gunaah karne ki ye hoti hai ke
Aadmi ye kehta hai ke me agar ye buraai karta bhi hun to koi mera kyaa kar lega..?
Ji haan, Jab insaan baagi ho jaye aur gunaah par jurra'at badh jaye to wo besharm hokar aisi baaten keh deya hai,
Allah Rabbul Izzat uska bhi jawab dete hai ke
"Inna akhzahoo alimun shadeed"
إنّ أخْذَهْ اليمٌ شديدٌ
"Us parwardigar ki pakad badi dardnaak aur badi shadeed hai"
Surah Hood, Ayat - 102
"Wala yusiku wasaakahu ahad"
ولاُيوثَقُ وَثاَقَهْ أحَد
"Aise baandhega ke tumhe aise koi dusra baandh nahi sakta"
Surah Fajr, Aayat-26
"Fainni uazzibuhoo azabal la uazzibuhoo ahdam minal aalamin"
فاَِنّيْ اُعِذِّبُهْ عَذَاباً لا اُعَذِبُهْ أحداً مِنَ العَالَمِيِْن
"Me parwardigar wo azaab dunga ke jahaanon me koi dusra azaab nahi de sakta"
Surah Maaidah, Ayat - 115
(Baaqi msg 176 me inshaAllah)


BIKHRE MOTI -176
Gunaah karne ki in wujuhaat ka jawab Quran Majeed me dene ki wajah he thi ke
Insaan gunahon se bach jaaye aur apne parwardigar ka farmabardar banda ban jaye,
Shaytaan ki yeh koshish rehti hai ke Insaan ko gunahon me mast rakhe aur
Rahmaan ki yeh koshish hoti hai ke Insaan Zaahir ho ya Poshida jo bhi gunaah karta hai usko chhod de,
Ab bande ko chahiye ke apne parwardigar ki awaz par Labbaiq kehte huwe gunahon bhari zindagi ko chhod de
Aur nekiyon wali zindagi ko ikhtiyar kare
BIKHRE MOTI -177
Ek aadmi ki biwi se koi galti ho gayi,  nuksaan kar bethi, agar wo chahta to usey sazaa de sakta tha, agar wo chahta to usey talaq dekar ghar bhej sakta tha, kyun ke wo haq bajaanib tha,
Fir bhi usne socha ke meri biwi nuksan to kar bethi hai, chalo me us Allah ki bandi ko muaaf kar deta hun,
Kuchh arsa ke baad us shakhs ki wafaat ho gayi, kisi ko khwab me nazar aaya, khwab dekhne wale ne puchha ke : Sunaao, Aagey kyaa muaamla bana..?
Kehne laga ke : Allah Rabbul Izzat ne mere upar maherbani farma di,
Usne puchha : Wo kaise..??
Kehne laga : Ek martaba meri biwi galti kar bethi thi, me chahta to sazaa de sakta tha, magar meine usko Allah ki bandi samajh kar muaaf kar diya,
Parwardigaare Aalam ne farmaya ke : Tune usey meri bandi samajh kar muaaf kar diya, Jaa me tujhe apna banda samajh kar muaaf kar deta hun.

BIKHRE MOTI -178
KHWAB ME KHAARA PAANI APNE KHET ME DEKHNA AUR USKI TAABIR
sawal
Ba khidmat hazrat maulana sahab  d.b.
Assalamu alaykum wr. wb.
Baad salaam arz hai ke me khwab me apne khet ka haal dekhta hun ke wo khaare paani se bhara huwa hai,
To mere liye apne khet ki ye haalat nafaa bakhsh hai ya nuqsaan rasaan..?
Baraa e karam jawab de kar dil ki pareshani dur kiniye.
Fakt wassalam
Jawab
Aap ka apne khet ko is haalat par dekhna .....
(Baaqi msg 179 me inshaAllah)

BIKHRE MOTI -179
(Msg 178 se aagey)
JAWAB
Aap ka apne khet ko is haalat par dekhna Nuqsaan deh saabit hoga, kyun ke khaara paani kheti ke liye laayak nahi hai,
Lihaza khet aasmani aafat ka shikaar ho sakta hai, ab aap bure khwab se bachav ke liye SUNNATO KA AEHTEMAM LAAZIM SAMAJHIYE aur ye aayat
لَهُمْ الُْشْري في الحَيوةِ الدُنْياَ و في الآخِرَةِ لا تَبْدِيلَ لكَِلمَاتِ اللهِ َذلِكَ هُو َالفوزُ العَظِيمُ
Padhne ka aehtamam kijiye aur hamensha BaWuzu rehne ka bhi aehtemam kijiye

BIKHRE MOTI -180
Musnade ahmed me hai ke hz uqbaa bin aamir rd. Farmate hai ke
Ek roz meri Rasule Khuda Sallallahu Alayhi Wasallam se mulaqat huyi
meine jaldi se aap ka haath thaam liya aur kaha
Ya Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam Moa'min ki najaat kis amal par hai ?
Aap ne farmaya :
aey uqbaa !
Zabaan thaame rakh,
apne ghar me hi betha raha kar aur
apni khataaon par rota reh.
fir dobarah jab huzur sallallahu alayhi wasallam se meri mulaqat huyi to ......
(Baaqi msg 181 me inshaAllah)

BIKHRE MOTI -181
Fir dobarah jab meri huzur sallahu alayh wasallam  se mulaqat huyi to aap ne khud mera haath pakad liya aur farmaya...
Ey Uqbaa ! Kyaa me tumhe Tauraat, Injeel, Zaboor, aur Qur'an me utri huyi tamaam surton se behtar 3 surten bataun ?
Meine kaha : haan, huzur sallallahu alayhi wasallam, zarur irshaad farmaiye, Allah ta'ala mujhe aap par fidaa kare.
pas aap ne mujhe surah
قُل هُوَ الله الاَحَدُ
قُلْ اَعُوْذُ بِرَبِّ الفَلَقِ
قُلْ اَعُوْذُ بِرَبِّ النَاسِ
Batayi
Fir farmaya, dekho Uqbaa ! Unhe na bhulna aur har raat unhe padh liya karna
Farmate hai ke, fir na me unhe bhula aur na koi raat unke padhe bagair gizari
Meine fir aap sallallahu alayhi wasallam ki mulaqat ki aur ......

(Baaqi msg 182 me inshaAllah

BIKHRE MOTI -182
Meine fir aap sallallahu alayhi wasallam ki mulaqat ki aur ......
jaldi kar ke aap ke daste mubarak ko apne haath me lekar arz kiya ke
Ya Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam ! Mujhe behtareen aa'mal irshad farmaiye,
Aap sallallahu alayhi wasallam ne farmaya :
Sun !
Jo tujh se kate tu usse jud,
Jo tujhe mehrum rakhe tu usey de,
Jo tujh par zulm kare tu usse darguzar kar aur muaaf kar de.
Tafsir ibne kasir,
Jild-5
Safa-616

BIKHRE MOTI -183
ALLAH KA RANG IKHTIYAR KARO USKA KYA MATLAB HAI..?
Sawal
Bakhidmat hazrat maulana sahab,
Assalamu alaykum wr wb
Baad salam arz hai ke "ALLAH KA RANG IKHTIYAR KARO" uska kya matlab hai ? Jaisa ke Quran Majeed me hai
صِبْغَةُ اللهِ وَمَنْ َاحْسَنُ مِنَ اللهِ صِبْغَةً وَ نَحْنْ َله، عبِدُوْنَ
(Surah Bakrah, Ayat 138)
(ALLAH KA RANG IKHTIYAR KARO.  ALLAH TA'ALA SE ACHCHHA AUR RANG KISKA HOGA)
JAWAB
Mazkura aayat se 2 chizen batlana maqsud hai :
1. Nasara ki ek rasm ki Tardeed karna
2. Alamate imaan ka mo'min ki zaat aur Af'aal me zuhoor hona chahiye.
1.
Nasara ki ye rasm jaari thi ke .... ... .. .
( Baaqi msg 184 me inshaAllah )

BIKHRE MOTI -184
صِبْغَةُ اللهِ وَمَنْ َاحْسَنُ مِنَ اللهِ صِبْغَةً وَ نَحْنْ َله، عبِدُوْنَ
(Surah Bakrah, Ayat 138)
(ALLAH KA RANG IKHTIYAR KARO.  ALLAH TA'ALA SE ACHCHHA AUR RANG KISKA HOGA)
JAWAB
Mazkura aayat se 2 chizen batlana maqsud hai :
1. Nasara ki ek rasm ki Tardeed karna
2. Alamate imaan ka mo'min ki zaat aur Af'aal me zuhoor hona chahiye.
1.
Nasara ki ye rasm jaari thi ke jo bachcha paida ho usko 7-ve roz ek rangeen paani me nehlate the aur bajaye khatna ke usi nehlane ko bachche ki taharat aur deen e nasraniyat ka pukhta rang samjhte the.
Us rasm ka naam unke yahan BATPISMAH hai, jo unke yahan laazim tha, jiske bageir wo kisi ko paak khyal nahi karte the.
Is aayat ne batla diya ke "ye paani ka rang to dhul kar khatm ho jata hai, uska baad me koi asar nahi rehta"
Niz khatna na karne ki wajah se jo gandagi aur napaki jism me rehti hai, usse bhi ye rang najaat nahi deta.
Asal rang to DEEN wa IMAAN ka rang hai, jo zaahiri aur baatini paaki ki zamaanat bhi hai aur baaqi rehne wala bhi hai.
2.
Alamate imaan ka mua'min ki zaat aur Af'aal me zuhoor hona chahiye.
Deen wa imaan ko rang farma kar is taraf ishara ho gaya ke .... ... .. .
( Baaqi msg 185 me inshaAllah )

BIKHRE MOTI -185
2.
Alamate imaan ka mua'min ki zaat aur Af'aal me zuhoor hona.
Deen wa imaan ko rang farma kar is taraf ishara ho gaya ke
Jis tarah rang aankho se mehsus hota hai mo'min ke imam ki alamat uske chehra, jism ki khal-haaw bhaw aur tamam harkaat wa sukoon, muaalmat wa aadat me zahir honi chehiye,
Wallahu aa’alam
Tafsir masjide nabwi,
Ma'riful Quran
Jild-1
Safa-356

BIKHRE MOTI -186
Sathiyon ko chahiye ke Raat ke aakhri hisse me Tahajjud ke liye uthe,
Hz. Saiyadna siddike akbar rd. Ka qoul hai :
Raat ke aakhri hissa me Murgh ka tujh par uthne me sabkat le jana, tere liye baais e nadaamat hai.
Raat ko utho is liye ke Khuda ke aashiq raat ko raaz-o-niyaz karte hai, Dost ke darwaze aur chhat ke ird gird parwaz karte hai,
Har jagah ke darwaze raat ko bandh kar diye jate hai, siwaye dost ke darwaze jise raat ko khol dete hai.

BIKHRE MOTI -187
Nihayat khushu'a wa khuzu'a ke sath 4 raka'at, 8 raka'at ya 12 raka'at tahajjud adaa karey,
Hz. Khwaja abu yusuf hamdani rh. ka ma'mul tha ke pehle 2 raka'at me ayatul kursi wala ruku'a aur surah bakarah wala aakhri ruku'a padhte, fir 8 raka'at me 10-10 aayat padh kar surah yasin Muqammal karte, aakhri 2 raka'at me 3-3 baar surah ikhlas padhte,
Hz. Khwaza abu yusuf hamdani rh.  Ki sohbat me hz. Seikh Abdul Qadir jilani rh. Aur hz. Khwaza moinuddeen chisti rh. ne faizaan paaaya,
Aap in dono hazrat ke peer-e-taalim kehlate hai.

BIKHRE MOTI -188
Allah ke khazane me 4 chizen nahi hai
1.Adam
عدم -فنا  Fanaa
2 Haajat
حاجت -ضرورت  Zarurat
3 Uzar
عذر -معذوری  ma'azuri
4 Gunaah
گناہ -قصور.نافرمانی  Qusoor, Nafarmani

BIKHRE MOTI -189
Sawal
Istigfaar pehle padhe ya durud sharif pehle padhe..??
JAWAB
Seikhul arab wal ajam hz. Maulana Abdul gafur rahmatullah se puchha gaya ke Istigfar pehle padhe ya durud sharif ?
farmaya ke : Istegfaar ki misaal kapde dhone wale sabun ke jaisi hai, jab ke durud sharif ki misaal kapde par lagane ke itr (khushboo) jaisi hai,
Aap ye batlayen ke kapde ko pehle itr lagayen ya saabun se dhoye ?
Saaeel ne arz kiya : hazrat pehle sabun se dhona chahiye fir itra lagana chahiye
Farmaya : bas isi tarah pehle khud naadeem wa sharminda hokar istigfaar padhe taa ke Dil dhul jaye, fir muhabbat wa aqeedat se durud sharif padhe,  taa ke itra lage aur muhabbate rasul sallallahu alayhi wasallam ki khushboo ang-ang me samaa jaye

BIKHRE MOTI -190
Ek shakhs ne
Hz. Rabiya basariya rahmatullahi alaiha Ke paas
Duniya ki buraai ka tazkirah kiya,
To aap rahmatullahi alaiha ne Farmaya : Aaindaah mere paas na aana, Tumhe Duniya se bahot muhabbat hai.

BIKHRE MOTI -191
Baaz logo ne Zunnun misri rh. Se kaha
falaan jama'at shugal wa tarab (khushi me) mashgul hai, Bad-duaa karen,
Farmaya : Allah jaise tune unhe duniya me khushiyan di, Akhirat me bhi khushiyan ataa farma..

BIKHRE MOTI -192
Agar koi Duniya walon ki taa'zim karey to kon si ajeeb baat hai,
Log to Saanp aur Bichchhu ko dekh kar bhi khade jo jate hai..

BIKHRE MOTI -193
Ism-e-Aazam kya hai..?
JAWAB
Dil Gair se khaali aur Pet Haraam se khaali ho to har ism "ism-e-aazam" hota ha

BIKHRE MOTI -194
Lukman hakim ne farmaya :
me chaand aur suraj ki roshni me parwarish paata raha,
magar
Dil ki roshni se badh kar kisi ko faaida-mand na paaya.

BIKHRE MOTI -195
Dil siyaah ho to Chamakti aankhe kuchh faaidah nahi deti..
Jis ghar me aaraaish na ho to woh bigad jata hai, isi tarah jis dil me gam na ho to woh bhi bigad jata hai...

BIKHRE MOTI -196
Yahya bin muaaviyah ne farmaya :
Dil haandiyan ki tarah hai, jab ke Zabaan chamcha ki tarah,
chamcha wo hi nikaalta hai jo haandiyan me hota hai..

BIKHRE MOTI -197
Qayamat ke Maidaan me sode (dealing, kisi service ya chiz ki kharido farokht ka soda)  ki itni keemat na hogi jitna mo'min ka Dil khush karne ki hogi.
moral: len-den soda business me mo'min ka dil khush ho aisa muaamla karo.
Namaz me jee na lagne ki wajah aisi hai jaise chamde ke kaarkhane me kaam karne wala itr (khushboo) ki dukaan par jaye to uska dam (saans, breath) ghuntne lagta hai

BIKHRE MOTI -198
Ek taajir ne 30 saal roze rakhe,
Ghar wale samjhte the, din ka khana dukaan par khaata hoga,
Dukan wale samajhte the, Ghar se khaa kar aataa hoga.
isey IKHLAS kehte hai.

BIKHRE MOTI -199
Jo ibaadat duniya me MAZAA na degi, wo Aakhirat me kya JAZAA degi..??
Jo gunaah par pachhtaye usey Vali samjho, jo parwaah na karey usey gunehgaar samjho, jo gunaah kar ke itraye usey shaytaan samjho

BIKHRE MOTI -200
ALLAH TA'ALA KE FAZL AUR KARAM SE AAJ  BIKHRE MOTI KE 200  MSGS HO CHUKE
Jisne ma'mulaat me paabandi haasil kar li us par rahmat ho gayi, Dil ki khushi uski gulaam hai jo khud ba khud mil jayegi.
Mehnat hamare hath me hai, Naseeb Khuda ke haath me hai, hamen usi se kaam lena chahiye jo hamare haath me hai.

BIKHRE MOTI -201
Gunaah ko na dekho ke kitna chhota hai, balke Allah ta'ala ki azmat ko dekho ke kis ki nafarmani ki jaa rahi hai.
Agar tum galtiyon ko chhupane ke liye darwaze bandh karoge to sach bhi baahar reh jayega.
Allah ta'ala ki baargaah me wo buraai jo tumhe ranjida karey us neki se behtar hai jo tumhe naazaan (magroor) karey.

BIKHRE MOTI -202
Hazrat Ibrahim Taymi (rh.) ne kaha : Ikhlas ye hai ke apni nekiyon ko is tarah chhupaye jis tarah apni buraiyon ko chhupata hai.
Sathiyon ko chahiye ke
Logon ko Allah ki ne'amaten yaad dilaye, taaki shukr karey,
Apne gunaah yaad dilaye taaki tauba karey,
Nafs wa shaytaan ki adawat yaad dilaye taaki usse bach sake.
Ek Gaafil ne kisi sheikh se kaha ke : aap ka murid riyaai zikr karta hai,
Sheikh ne farmaya : uske paas timtimata hua chirag hai, lihaza bakhshish ki ummid hai, aap ke paas to ye bhi nahi.

BIKHRE MOTI -203
Haji Imdadullah Muhajire Makki Rahmatullahi alayh farmate the
Jo shakhs Bait ki Tamanna zaahir karey, Me usko is liye mureed kar leta hun ke, peer ko Qayamat ke din Jahannam jaata dekh kar mureed taras khayega.
Shayad usi Barkat se Bakhsha jaau

BIKHRE MOTI -204
Ek shakhs ne kisi buzurg ko hadiya dekar duaa ki darkhast ki,
Buzurg ne farmaya : Hadiya wapas le jaao,  ye Duaa ki Dukaan nahi hai.
Shaikh apne gunehgaar mureed ko yun samjhe jaise kisi hasina ne chehre par siyaahi laga li hai, agar dhoye to chaand sa chehra nikal aayega.

BIKHRE MOTI -205
Taqwa ye hai ke roz e mehshar koi tumhara Girebaan na pakde.
Hum aise zamane me paida huwe hai, ke salfe saliheen ne apne ilm wa Taqwa ke baawajud usse panaah maangi thi.

BIKHRE MOTI -206
Shaikh Usman khairabadi rh. Graahako (customers) ko khote sikkon ke badle me bhi maal de dete the,
Marte waqt ye duaa maangi ke:
Meine logon ke khote sikke qubul kiye, Ay Allah, Tu mere khote aamaal ko Qubul farma

BIKHRE MOTI -207
Shaikh Sahabuddeen Khateeb rh. Duaa maangte the ke :
Ya Allah ! Marte waqt koi paas na ho, na apna, na paraya, na hi malekul maut,
Bas mei aur Tu.

BIKHRE MOTI -208
Abul hasan noori rh. Ki duaa ye hoti thi ke :
Ay Allah ! Agar meri magfirat nahi karni to jahannam ko mujh se bhar de,
Aur baaqi sab Insano ki magfirat farma de.

BIKHRE MOTI -209
Duaa ka ek faaida ye bhi hai ke, banda Qayamat ke din kahega : "Ay Allah ! Meine to duaa ki thi mujhe nek banaa"
Pas, ma'azur samjha jayega.
Jisse hasad ho uske liye bulandi e darzaat ki duaa karna hasad ka behtareen ilaaj hai.

BIKHRE MOTI -210
Kaazi Bayzavi rh. Ne Shiraz ki kazaa ke liye kisi buzurg se sifarish karwayi,
Unhone sifarishi rukua (chiththi) me likha:
Ye Mard-e-Saaleh Aalim Faazil hai, Jahannam me ek musalle ki jagah chahta hai.

BIKHRE MOTI -211
Bekaar insaan Murde se bhi badtar hai, is liye ki murda kam jagah rokta hai.
Jis tarah makhluq ke liye amal karna Riyaa hai, usi tarah makhluq ke liye amal chhod dena bhi riyaa hai.

BIKHRE MOTI -212
Hz. Umar rd. ne farmaya :
"Hamare Bazar me kharido-farokht wo karey, jo Faqeeh ho"
Sub'haan Allah,  saarey mulk ko dars-gaah banaa diya.

BIKHRE MOTI -213
Nafs ki sarkashi ko todna IMATATUL AZAA ANITTAREEK (raste se taklif dene wali chiz ko hatana) me daakhil hai.

BIKHRE MOTI -214
AAJ AAM ROOHANI MARZ HAI :
يا ليت لنا مثل ما اوتي قارون انه لذو حظ عظيم
Surah Kasas, Aayat - 79
"Kaash ke hamen bhi kisi tarah wo mil jata jo Karuun ko diya gaya hai, ye to badaa kismat ka dhani hai"

BIKHRE MOTI -215
Jisse Mohabbat ho uska Naam aaye to nabz (dhadkan) tez ho jati hai
                 Ye hi ma'ana
                  وجلت قلوبهم
                          ka hai.
Surah Anfaal, Aayat – 2

BIKHRE MOTI -216
فمن يعمل من الصالحات وهو مومن فلا كفران لسعيه و انا له كاتبون
Surah Anbiya, Aayat - 94
Is aayate kareema me Allah Ta'ala ne Nekiyan likhne ki nisbat apni taraf ki hai, Qurban jaiye us Izzat Afzaai par.
Tarjuma:
"Fir jo kuchh bhi nek amal karey aur wo mo'amin bhi ho to uski koshish ki be-qadri nahi ki jayegi hum to uske likhne wale hai"

BIKHRE MOTI -217
Bagair musibat koi ne'amat chhin jaye to behtar milti hai.
Surah Bakrah, Ayat - 106 uski dalil hai.
ما ننسخ من آية او ننسها نات بخير مثلها
Tarjuma :
"Jis aayat ko hum mansukh kar den, ya bhula den usse behtar ya us jaise aur laate hai"

BIKHRE MOTI -218
Kisi ne hazrat khwaza Bayzeed Bustami rh. Se kaha:
Aap Bhukh ki itni ta'arif kyun karte hai..?
Farmaya :
Agar firoun bhuka hota to
   انا ربكم الاعلى
Surah Naaziaat, Ayat - 24
Na kehta.

BIKHRE MOTI -219
Ulama ka dars-e-nizami (Aalim banne) ka nisaab 8 saala hota hai,
Sanad (suboot)  ye hai ke:
Hazrat Shuaib Alayhissalam Ki khidmat me hazrat Musaa Alayhissalam ke rehne ka Ahad 8 saala hai, lekin Takhassus ke liye Surah Qasas Aayat - 27 Hai.
فان اتممت عشرا فمن عندك
"Pas agar aap ne 10, saal pure kardiye to ye aap ki taraf se he"

Takhassus = (khaas kisi fan me mahaarat ke liye yani mufti, mufassir, adeeb wagairah banne ke liye 8 se zayada saal lag sakte hai)

BIKHRE MOTI -220
Ba'az Aslaaf ke Chirag ke Tel ka kharcha ziyada hota tha, aur khaane ka kharcha kam hota tha.
Naadanon ki Baat par Tahammul (bardast karna) Aql ki zakat hai.

BIKHRE MOTI -221
Ek martaba Seikhul Islam Azizuddeen bin Salaam rh. se kisi ne kaha ke:
Baadshah ke haath chumiye.
Hazrat ne farmaya :
"Khuda ki kasam ! Me us par bhi razi nahi hun ke wo mera hath chume, che jaye ke me uske hath chumu.

BIKHRE MOTI -222
Hazrat Mirza Mazhar JaaneJaanaa rh. ko Baadshah-e-waqt ne badi Jaagir pesh ki to farmaya:
Allah ta'ala ne saari duniya ko
قل متاع الدنيا قليل
Kaha.
Surah Nisa'a, Aayat - 77
Usi kaleel me se thoda sa hissa aapko mila hai, ab usme se bhi thoda sa hissa aap mujhe denge to itna thoda lete huwe bhi mujhe sharm aati hai.

BIKHRE MOTI -223
Ek kakdi bechne wale ne aawaz lagayi
Ashratu Khiyarim Bidaaniqin
(10 Kakdi 1 daaniq ke badle me)
*Khiyar Arabic me Kakdi ko kehte hai,
Hazrat Shiblee rh. ne Chikh maari ke:
"Jab 10 khiyaar (kakdi) ki ye keemat hai, to hum Shariron ki kyaa keemat hogi.

BIKHRE MOTI -224
Tark-e-Tableeg ke liye Mukhatib ki Na-gavari uzar nahin.
افنضرب عنكم الذكر صفحا ان كنتم قوما مسرفين
Surah Zukhruf, Aayat - 5
Tarjuma :
"Kya hum is nasihat ko tum se is binaa par hataa len ke tum had se guzar jane wale log ho"

BIKHRE MOTI -225
Bahot ziyada khaa kar Bimar hone walon ki ta'daad Faakakashi se bimar hone walon se ziyada hai.
Har bachche ki pedaish is baat ki alamat hai ke Khuda abhi bande se maayus nahi huwa hai.

BIKHRE MOTI -226
Sach par chalne walon ka har qadam shaytaan ke seene par hota hai.
Hairat hai ke insan hath to duniya ke aagey failata hai magar Gilaa Khuda se karta hai.

BIKHRE MOTI -227
Buri aadaton ki taqat ka andaza us waqt hota hai jab unhe chhodne ki koshish ki jati hai.
Jitni mehnat se log Jahannam kharidte hai usse aadhi mehnat me jannat milti hai.

BIKHRE MOTI -228
DOZAKH ME BHI IMAAN KI BARKAT
Abu Saeed rd. Se riwayat hai ke Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam ne irshad Farmaya :
wo jahannami jo jahannam ke mustahik hai to unhe jahannam me na to maut aayegi (ke taklif se chhutkata paa len) aur na unhe zindagi (ka lutf) nasib hoga,
Lekin tum (mo'aminin) me se kuchh log apne Gunahon ki wajah se jahannam me pahonchenge.......
Fir Allah Ta’aala unhe ...
(Baaqi msg 229 me inshaAllah)

BIKHRE MOTI -229
(Msg 228 ka aagey)
Fir Allah Ta’aala unhe ek khaas qism ki Maut dega, (jjsse taklif ka ehsaas nahin hoga)
Yahan tak ke jab wo (jal kar) koyla ho jayenge to (dusre jannati ya huzur sallallahu alayhi wasallam ko) unke haq me sifarish karne ki ijazat di jayegi,
Lihaza unhe mukhtalif tukdiyon me (is tarah utha kar) laaya jayega jis tarah saamaan uthaya jata hai, fir unhe jannat ki nehron par bikher diya jayega,
fir jannat walon se kahaa jayega ke un par (zindagi ka) paani bahaao.
chunanche (woh log is paani se itni tezi ke saath) zinda honge (jitni tezi ke saath) wo ghaas ugti hai jo kichad me hoti hai.
Muslim, Kitabul imaan, safa 459
Bikhre Moti msg 228 aur 229 me batayi gayi hadis ka faaidah inshaAllah aaindaa kal msg 230 me insha Allah. .
BIKHRE MOTI -230
Bikhre Moti msg 228 aur 229 me batayi gayi hadis ka faaidah
Doctor ka Operation Mariz ke liye taklif deh nahi hota, chamdi (khaal), ke sunn ho jane ki wajah se.
Waise hi gunahgaar mo'amin ka jahannam me dil taklif deh nahi hoga, Dil me imaan ki wajah se.

BIKHRE MOTI -231
Angrezi padh kar DeenDaar banna, Arabi padh kar BeDeen banne se achchha hai.
Ye Tajurbe wali baat hai ke Jo bachcha Surah Yusuf pehle yaad kare usey Quran jaldi yaad ho jata hai

BIKHRE MOTI -232
Murshid ki duaa ka asar bahot ziyada hota hai.
Hz. Abu Hurairah rd. Wafaate Nabavi se 3 saal pehle imaan laye, magar Haafzah itna tha ke riwayat sab se ziyada hai.
Chun ke Nabi-e-Kareem ne duaa ki thi.

BIKHRE MOTI -233
Jis tarah shahvat bagair mahal haraam hai, usi tarah gussa bhi bagair mahal haraam hai.
Sachchai ki mashaal (batti) jahaan jalti dekho faaida uthao, ye na dekho ke mashaal uthane wala kaun hai.

BIKHRE MOTI -234
Musalmano ko faaidah na pahoncha sako to nuksaan na do, khush na kar sako to ranjida na karo, ta'arif na kar sako to geebat na karo.
100 saal ki umr me ek lamhe ki galaty Insan ka rukh mashriq se magrib ki taraf badal deti hai.

BIKHRE MOTI -235
Buzurgo ka kalaam nakal karne se kya hota hai..?? Dekho Tota (Perrott) kaise hubahu aadmi ki tarah bolta hai, kya woh aadmi ho jata hai? hargiz nahi.
Faidah
Ek aadmi amal na karey, zindagi me amal na ho, sirf Allah walon ki tarah baaten bataye, deen ki baaten karey, par uski zindagi me amal na ho, to ye tote ki tarah hai, ke sirf zuban par hai, ander kuchh na ho, to is bolne ka kya faidah huwa..?
To buzurgon ke aqwal naqal karna maqsad nahi hai, balke wo apni zindagi me utarna maqsad hai, buzurgon ke aqwal naqal karne se kya hota hai?
matlab sirf aqwal naqal karne se, us par amal na karne se.
maulana ibrahim alyani sahab,  surat.
( faidah HAZRAT MO.IBRAHIM ALYANI SAHAB ke auido se sun kar text type kiya gaya hai)

BIKHRE MOTI -236
Haywanaat me Makkhi sab se ziyadah harees aur Makdi sab se ziyadah Qanaa'at pasand hai, pas...! Allah Ta’ala ne Makkhi ko Makdi ki gizha bana diya.
Faidah
Janwaron me makkhi sab se ziyadah harees aur laalachi hai, jahaan usko koi mauqa milta hai koi chiz ka, woh fauran aa bethti hai, aur makdi Qanaa'at pasand hai aur idhar-udhar bhaagti nahin hai, to Allah Ta'ala ne sab se ziyadah laalachi ko us sab se ziyadah Qanaa'at wale ki gizha banaa diya, wo khud makkhi ud-ud kar makdi ke jaale me aakar fansti hai, aur makdi usko apni gizha banaa leti hai.
Yaani Qana'at ikhtiyar karo. Laalach se bacho. warna laalach karne me dusre ki gizha ban jaoge.     (Lalach me nazar aane wala faidah bada nuqsandeh hota hai) Aur Qana'at pasand ko rizk aasaaani se mil jata hai.
MO. IBRAHIM ALYANI SAHAB, SURAT.

BIKHRE MOTI -237
Hazrat Musa al. Ne duaa ki :
"Khudaya ! Makhluk ki zabaan mujh se rok de"
Farmaya :
"Agar Me aisa karta to Apne liye karta"
Faidah:
Hz. Musa al. ne chaha koi unhe buraa-bhala na kahe, galat na kahe, to Allah ta'ala ne yun irshad Farmaya ke, agar aisa karna hota to me apne liye karta, yani agar logon ki buraai se zabaan bandh karni hoti to me apne naam ke liye sab se pehle bandh karaa deta ke log meri buraai na karen, lekin Allah ta'ala ne aisa nahi kiya, to duniya me log Allah ta'ala ki buraai karne wale bhi maujud hai, to Allah ta'ala ne hz. Musa al. se farmaya ke ye kaam to meine apne liye bhi nahi kiya, ke log mujhe bura bhala na kahe, is liye aap ke liye kaise ho sakta hai...!!!
Wallahu Ta'ala A'alam.
maulana ibrahim alyani sahab surat.

BIKHRE MOTI -238
Galaty ke baad chehre ko bahaane ki chaadar se na chhupao, kyun ke chaadar chehre se ziyada meli hoti hai.
Kameene aadmi se dosti na karo, kyun ke garam koyla haath jalaata hai aur thanda koyla haath kaale karta hai.

BIKHRE MOTI -239
Agar insaan ke khayalat sharaee gavaah hote to, bahot saare nek log Badmaash hote...
Hz. Abdullah bin Mubarak rh. Ne nasihat farmayi: "Buri nazar chhjod do, Khusu'a ki taufik milegi, Behudaa baat chhod do, Daanaai milegi".

BIKHRE MOTI -240
Buri baat karne par ek nawjawan ko ek buzurg ne kaha : Dekh tu Allah ta'ala ke naam kaisa khat bhej raha hai.
faaidah:-
Hum jo bhi alfaz bol rahe hote hai wo Allah tak bhej rahe hote hai
Chahe achchha ya bura.. sab Allah sunte hai.
Lihaza un buzurg ka kehna tha ki tu Allah ta'ala ke naam kaisa (buraa qalaam/khat) bhej raha hai
Agar guroor koi ilm hota to uske kaee Sanad yaafta hote.

BIKHRE MOTI -241
Agar tu Haq Ta'ala se raazi hai to yeh nishani hai is baat ki ke Woh tujh se raazi hai.
Aajizi ka sahara lekar chalo, warna thokar khaa kar gir padoge.

BIKHRE MOTI -242
Nafs ki chahat ke bagair jo hadiya mile usme barakat hoti hai.
Libaas ke 3 Darje hai.
Ek Aasaaish ka jo zaruri hai,
Dusra Zebaish ka jo jaiz hai, aur
Teesra Numaaish ka jo Manaa ha

BIKHRE MOTI -243
Shah Shujaa'a Kirmani (rh.) ne 40 saal raat ko jaag kar ibaadat karne ka ma'amul rakha.
Ek raat so gaye
Ek raat so gaye to Allah Ta'ala ki ziyarat naseeb huwi
Arz ki : Ya Allah ! meine jaagne me Aap ko dhundha magar Aap sone me mile...!
Farmaya : Jaagne ki barkat se sone me mila hun.

BIKHRE MOTI -244
Ey Dost..! Tu apne asal makaan ki taraf jaa raha hai,
Lekin Sust raftari ke sath,
Asal makaan ki taraf to janwar bhi tez chalte hai.
Faaidah
insan ka asal maqam jannat he
Us ke liye aamal ki zarurat he wo insan susti se karta he,
Jaanwar bhi ghar ki taraf chalte hen to tez chalte hen
Yani apne aamal our Allah se taalluq ko badhao,
Wallahu Subhanahu Aalam
Maulana Ibrahim Sahab Alyani -Surat

BIKHRE MOTI -245
Imaam-e-A'azam Abu Hanifa (rh.) ne Imaam Yusuf (rh.) ko nasihat ki ke
Koi peeth ki taraf se pukaare to jawab na do
Peeth ki taraf se janwaron ko pukaarte hai

BIKHRE MOTI -246
Jo ne'amat ki qadar nahi karta, ne'amat NaaMaalum tariqe se chhin li jati hai.
Wa'azgoi (bayan) se ujb (ghamand) paida ho to likh kar wa'az kare, is tarah log kahenge bichara dekh dekh kar bol raha hai

BIKHRE MOTI -247
Apne ikhtiyar aur kasd se kisi ki buraai dil me rakhna aur usey taklif pahunchne ki tadbir karna keena hai,
Agar kisi se ranj ki baat pesh aaye to tabiyat milne ko na chahe to ye inkibaaz hai, iske door hone ki duaa kare

BIKHRE MOTI -248
Hz. Ibrahim Ad'ham (rh.) se koi faake ki shikayat karta to farmate :
Tum faake ki qadar kyaa jaano..! Hum ne saltanat de kar kharidi hai, hum se puchho.

BIKHRE MOTI -249
Aurat ke liye Zewar wa Libaas ki muhabbat kam karne ka tariqa ye hai ke
Ghar me achche kapde pehne aur dusri jagah jaye to ma'amuli kapde pehne.

BIKHRE MOTI -250
Ibne Ataa Sikandari ko ye ilhaam huwa ke :
Me aisa Raazik hun, agar tu duaa karey ke rizk Na mile to fir bhi dunga,
Agar ro ro kar maangega to kyun na dunga..??!!

BIKHRE MOTI -251
Dariya ke paani aur aankho ke paani me sirf jazbaat ka fark hota hai.
Budha aadmi chiraag-e-sahar hai, to jawan aadmi chiraag-e-shaam hai

BIKHRE MOTI -252
hamari mashriqi aurten aam tor par aashiqatul azwaaj aur kaasiratul tarf (dusron ki taraf na dekhne waliyan) hoti hai.
aurten fitratan mard ke taabe'a, magar mard mohabbat ki wajah se aurat ka taabe'a hota hai.

BIKHRE MOTI -253
apna bachcha roye to dil me dard hota hai, aur dusre ka bachcha roye to sar me dard hota hai.
tahajjud ke waqt aankh khule to samajh lo ke aasman se phone aaya hai

BIKHRE MOTI -254
Zikr se khaali baat Lagv (bekaar) hai,
Ibrat se khaali nazar Lahv (khel/gaflat) hai,
Fikr se khaali khaamoshi Sahv (galti/bhul) hai.

 BIKHRE MOTI -255
Hazrat Abu Yusuf Mohiyuddeen Yahya Madni Farmate hai:
Khabardaar ..!! Kisi Allah wale ki Shaan me Gustakhi Na kar dena,
Warna... Tumhari Zindagi Fiki hogi.

BIKHRE MOTI -256
Bimaar dil ki 4 alaamaten hai,
Itaa'at me halaawat (lazzat) mehsus na kare,
Usme Khuda ka khauf na rahe,
Duniya ki chizon ko nigah e ibrat se na dekhe,
Jo ilm sune usey samjhe nahi.

BIKHRE MOTI -257
Hz. Usman khiyari (rh.) se kisi ne puchha ke
Khuda ko zubaan se yaad karta hun magar dil uske saath muwafeqat nahi karta,
Farmaya : Shukr karo ke Khuda ki yaad me ek uzw to muti'a huwa, dusra bhi ho jayega.

BIKHRE MOTI -258
Gunahon se parhez kiya jaye to Deen wa Duniya me maze hi maze hai.
Tamaam buraiyon ki jad duniya ki dosti hai.

BIKHRE MOTI -259
MASJID ME DAKHIL HOTE HI YE DUAA PADH LIJIYE, SHAYTAN SE AAP KI HIFAZAT HO JAYEGI
Hz. Amr bin Aas (rd.) farmate hai :
jab Nabi e Kareem Sallallahu Alayhi Wasallam masjid me dakhil hote to ye kalimat kehte :
اعوذ بالله العظيم ووجهه الكريم و سلطانه القديم من الشيطان الرجيم
"Me mardud shaytan se Azmat wale Allah, Uski Kareem Zaat ki aur Uski Qadeem saltanat ki panaah chahta hun"
Aadmi jab ye kalimat kehta hai to shaytan kehta hai : Baaki saare din me us aadmi ki mujh se hifazat ho gayi.
Hayatusshaba-3, safa-394

BIKHRE MOTI -260
Gazwa e hunain ke mauqe par ek ajeeb afra-tafri machi huwi thi,
Logon ki bhid bahot ziyada thi, ek sahabi pair me Mota jutaa pehne huwe the,
Ittifaq se aisa hua ke unka pair Nabi e Kareem ke qadam e mubarak par pada, aur usse aap ka pair mubarak ronda gaya,
Nabi e Kareem ke Dast e mubarak me ek koda tha, Aap ne us kode ke kinare se unko maara,
Aur farmaya : "tumne mujhe taklif di hai"
Woh sahabi farmate hai : "meine raat kisi tarah guzari, subah huyi to dekha ki ek shakhs mera naam lekar aawaz lagaa rahaa hai, ke falaan  shakhs kahaa hai" ??
Meine arz kiya : "wo shakhs me hi hun",
Unhone mujh se kaha ke : "nabi e Kareem aap ko bulate hai",
Me chal diya aur dil me gabharahat thi ke dekhjye kyaa anjaam hota hai. me pahuncha,
Aap ne farmaya :
"Tumne apne jute se mere pair ko rond diya tha .......
(Baaqi msg 261 me, kal inshaAllah

BIKHRE MOTI -261
Aap ne farmaya:
Tumne apne jute se mere pair ko rond diya tha .......
(Msg 260 se aagey)
Aur meine tum ko koda maara tha, ye 80 untniyan hai, tum uske badle unko le lo, aur jo taklif tumko pahochi hai usko darguzar (muaaf) kar do.
Faaida
Mazkura waqiya par gour kare ke Rasulullah
ko apne sahaba par kis qadar shafakkat thi ke mahaz is mamuli kode ke maar dene se is qadar aapko ehsas huwa, aur uske badle 80 untniyan aap ne unko de di.
Isse andaza lagaya ja sakta hai ke aap sahaba e kiraam rd. Ki kis qadar dil-joee farmaya karte the, aur unko khush karne ki kis qadar koshish karte the
Moral
Hamen bhi ye muaamla apne ahle talluq ke sath karna chahiye, ke kisi ko agar koi nagavari ya taklif hum se pahoch jaye to fir uska dil khush karne ki koshish ki jaye.
MaahNaama Al Mahmood, 1419 hijri mutabiq 1997, safa-10

BIKHRE MOTI -262
Rasulullah ki aadate sharifa ye bhi thi ke aap bimaar logon ki iyaadat farmaya karte the,
Khwah kisi bhi darje ka bimar hota, sharif aur muazzaz aadmi hota, ya gair muazzaz aur mamuli, sab ki iyadat farmate
Hatta ke gair muslimo tak ki iyadat aur mizaj pursi farmaya karte the,
Aur jisse aap ko behad aziyyat aur taklif pahochi aur jo aap ka bahot badaa dushman tha ya'ani munafiqeen ka sadaar abdullah bin ubaid, us tak ki aap ne iyadat farmayi hai,
Hadis Sharif me aata hai ke
Ek yahudi ladka aap ki khidmat me hazir huwa karta tha, aur kabhi kabhar aap usse koi kaam bhi le liya karte the,
Wo bimaar ho gaya..
Rasulullah uske paas iyadat ke liye tashrif le gaye aur aap uske sar ke qareeb baith gaye,
Us ladke ka akhri waqt tha
Aap ne az raahe shafqat aur apne haqqe risalat ko adaa karte huwe us ladke ko .........
Baaqi msg 263 me Insha Allah

BIKHRE MOTI -263
.... msg 262 se aagey. ..
Aap ne az raahe shafqat aur apne haqqe risalat ko adaa karte huwe us ladke ko islam ki tableeg farmayi
Ladke ne apne yahudi baap ki taraf dekha
Baap haqiqate deen e Muhammadi alaa saahibis salaatu wassalaam se waqif thaa hi.
Is liye qubule islam ki ijazat de di, aur wo ladka muslaman ho gaya aur islam par uska khatima huwa
Rasulullah ko behad masarrat aur khushi huyi, aur Allah ka shukr adaa karte huwe farmaya : 
الحمدللہ الذی انقذہ من النار
Garz ye ke aap
ki aadate mubaraka ko ahle ilm se malum kar ke hamen apni zindagiyon me lana chahiye
Aap ki ek ek sunnat, aap ki ek ek adaa Allah ko mehbub hai, aur jo usko ikhtiyar karega yaqeenan Nasse Qur'aani hai wo Khuda ka mehbub hoga,
فاتبعونی یحببکم اللہ
Surah aale imran, ayat 31
Allah paak hame amal ki taufiq de,
Maahnama mahmud 1419 hijri mutabiq san iswi 1997 safa 11

BIKHRE MOTI -264
Hum se ye Ahad liya gaya ke, har ne'amat aur musibat ke dono rukh dekha kare, kisi ne'amat ya musibat ki mahaz zahiri surat ko na dekhe, kyun ke baaz dafaa musibaton ki shakl me ne'maten aati hai aur kabhi ne'amaton ki surat me balaayen aa jati hai.
Agar hum ne'amaton ke baatini rukh ko dekhenge to unko tarah tarah ki aazmaishon me gira hua paayenge, kam az kam ek balaa to yehi hai ke Allah ta'ala ne'amat wale se ye mutalaba farmate hai ke is ne'amat ko kisi waqt bhi kisi makhluq  ki taraf mansub na karey ke falaan ki wajah se mujh ko yeh ne'amat mili, balke sirf Allah Ta'ala ki taraf mansub kare,
Aur Allah Ta'ala usse ye bhi mutalba farmate hai ke ne'amat ko unhi mawaqe'a me sarf kare, jahan Allah Ta'ala uske sarf karne ko pasand karte hai,
Aur yeh mutalaba bhi hota hai ke ne'amat ka shukr bajaa laye, mahaz zaban se hi nahi balke amal se bhi.
Ab jo shakhs ne'amat me in balaaon ka mushahada karta ho woh unse lazzat haasil karne ki fursat kab payega..

BIKHRE MOTI -265
Hum taklifon aur musibaton ke baatin par nazar karen to unka apne haq me bahot badi ne'amat hona malum hoga,
Kyun ke un se zillat wa aajizi paida hoti hai, aur hamare baazu jhuk jate hai, aur sarkashi jati rehti hai,
Chunache Allah Ta'ala farmate hai :
کلا ان الانسان لیطغیٰ ان راٰہ استغنی
"Kuchh nahi, waqayi insan sarkash ban jata hai jab apne ko mustagni dekhta hai"
Surah alaq, aayat 6,7
un takaalif wa masaaib me yeh bhi faaidah hai ke unse darajaat milte hai lekin unse  taa'at (ibadat) aur uloom wa ma'arif me ujb (ghamand) nahi paida hota.ٰ

BIKHRE MOTI -266
Musibat se insan ki aazmaish us waqt ki jaati hai jab Allah Ta'ala ki ne'amaten Darbar-e-KhudaWandi ki taraf usko mutawajjeh na karti ho,
Jab ne'amaten usko Khuda ki taraf mutawajjeh nahi karti to ... Ab Allah Ta'ala usko musibaton me mubtala kar dete hai,
Chunache Allah Ta'ala Khud farmate hai :
و بلوناہم بالحسنات والسیئات لعلہم یرجعون
"Aur Humne unko raahaton aur musibaton me mubtala kiya shayad Allah ki taraf ruju'a kare"
surah a'araaf, ayat 168
yaani awwal to unko raahaton aur ne'amaton me rakha, jab unse ruju'a na huwe to masaaib wa takaalif me mubtala kar diya.
Aur saiyyadi Tajuddeen bin Ataullah ne isse bhi ziyada ajeeb baat bayan ki hai ke ......
(Baaqi msg 267 me InshaAllah)

BIKHRE MOTI -267
Aur saiyyadi Tajuddeen bin Ataullah ne isse bhi ziyada ajeeb baat bayan ki hai,
wo farmate hai :
"Jo gunaah zillat wa Inkesaari paida kar de wo us ita'at se behtar hai jo guroor wa takabbur paida kar de"
maahanama mahmud 1419 hijri mutabiq san iswi 1997 safa 18

BIKHRE MOTI -268
DEEN KE KAAM KE ZARIYE SHOHRAT TALAB KARNA KAMAR KO TOD DETA HAI
duniya me tasarruf wa karaamat ke zariyah se apni shohrat ke taalib hargiz na ho,
kyun ke jisko is baat ki khwahish hoti hai uska DEEN BARBAAD ho jata hai. Aur aalame aakhirat me khali haath pahunchta hai,
magar yeh ke koi mahaz Allah Ta'ala ke iradah se bagair apni khwahish se zaahir aur mash'hur ho gaya jaisa ke Awliya e Kamileen ko pesh aata hai.
Sufiyan bin Uyyanah rh. Farmate the ke :
Agar Awliya e Kaamileen ko shohrat ki khwahish hoti to unko koi bhi na pahunchta.
(Baaqi msg 269 me InshaAllah )

BIKHRE MOTI -269
DEEN KE KAAM KE ZARIYE SHOHRAT TALAB KARNA KAMAR KO TOD DETA HAI
(Msg 268 se aagey)
Saiyyidi Ibrahim Matbuli rh. Farmate the ke :
Duniya me durvesh ki haalat aisi hai jaise koi paakhane me baitha ho, ab agar woh aagey se darwazah bandh kar lega to pardah ke saath apni haajat puri kar lega, aur dhaka huwa wahan se nikal jayega ke kisi ki nazar uske uyoobon par nahi padi hogi,
Aur agar darwazah khol kar baitha to uske uyoob zaahir ho jaayenge aur uske andaruni jism ka pardah chaak ho jayega aur jo koi dekhega us par la'anat karega.
(Baaqi msg 270 me Insha Allah )

BIKHRE MOTI -270
DEEN KE KAAM KE ZARIYE SHOHRAT TALAB KARNA KAMAR KO TOD DETA HAI
(Msg 269 se aagey)
Saiyyidi Muhammad Umari rh. Farmate the ke :
Zuhoor aur Shohrat ki talab kamar tod deti hai
Yaad rakho___ is karkhana e duniya me koi vali aur aalim aisa nahi jjska dil shohrat se muqaddar na huwa ho,
Woh shohrat ke baad is sadaa e qalb ke ek zarrah ko dhundhte aur taraste hai, jo shohrat se pehle Allah Ta'ala ke saath apne dil me paate the, magar ab nahi paa sakte,
Is liye tamaam aarifeen apne ibtedai ahwal ki taraf mashshaq hote hai, isko khub samajh le.
MaahNaama mahmud,  San hijri 1419 mutabiq san iswi 1997 safa 19

BIKHRE MOTI -271
Shaba e kiraam (Rd.) sunnat par amal karte the sunnat samajh kar, aur hum sunnat ko chhod dete hai sunnat samajh kar, ye kehte hai ke sunnat hi to hai,farz nahi.
Shariat ki rukhsaton (aasaniyon) par bhi baaz awqat shouq se amal kiya karey,  apna zauf (kamzori) zaahir karne ke liye aur Allah Ta'ala ki muhabbat ka maqaam hasil karne ke liye,
Kyun ki Allah ta'ala ko hamare haathon rukhsat ka zaahir karna bhi mehbub hai,
"Allah Ta'ala rukhsaton par amal karne ko bhi yun hi pasand farmate hai, jaisa ke asli ahqaam par amal karne ko pasand farmate hai.....
(Baaqi msg 272 me Insha Allah)

BIKHRE MOTI -272
Shaba e kiraam sunnat par amal karte the sunnat samajh kar, aur hum sunnat ko chhod dete hai sunnat samajh kar, ye kehte hai ke sunnat hi to hai farz nahi.
(Msg 271 se aagey)
Rukhsaton (aasaniyon) par amal karte huwe uski shart ka lihaz bhi zaruri hai,
wo shart ye hai ke asli hukm par amal karne me sakht mashakkat ki kudart nahin ho sakti, lihaza jab  tak aadatan afzal kaam par aasaani se kudrat ho sake us waqt tak rukhsaton par na utarna chahiye.
aur jab afzal apnane me dushwari ho to mashaqqat bardast kar ke usi par adnaa bhi na chahiye,  kyun ke jo shakhs apne nafs ki kamzori aur aajizi zaahir karta hai Allah Ta'ala usse muhabbat farmate hai aur rahmat e ilaahi uski taraf daud kar aati hai.
(271-272 bikhre moti ko achchi tarah samajhne ke liye apne kareebi ulama e kiraam se raabta karey)

BIKHRE MOTI -273
EK AJEEB WAQIYA, HAAR BHI MILA AUR HAAR WALI BHI MILI
Makkah mukarrama me ek ibaadatguzar haaji sahab  rehte the,
Wo kahin jaa rahe the, raaste me ek resham ki theli mili, jisme ek keemti haar tha,
badaa keemti haar hai, hire jawahirat usme jade huwe hai, ye to bahot keemti hai is liye chhupa lena chahiye,
Allah ka dar, khouf gaalib aaya, ke bhai Allah to dekh raha hai, agar isey chhupa liya to Allah to kabhi bhi pakad sakta hai, aur jahannam me daal sakta hai, to me kyaa karunga..?
Is liye isko chhupane ke bajaye tay kar liya ke maalik milega to me maalik ke hawale kar dunga,
ittefaq se maalik bhi mil gaya, malik taajir tha usne theli aur haar ko dekha aur kaha ye mera hi haar hai, wo badaa khush huwa,
taajir ne usko 500 asharafiyan nikal kar inaam me di lekin haji sahab ne lene se inkar kar diya aur kaha ke meine jo kuchh kiya woh Allah ko khush karne ke liye kiya, tere in'aam ke liye nahi kiya,
baharhaal taajir wahan se chalaa gaya aur apni basti me jaa kar. ......
(Baaqi msg 274 me InshaAllah)

BIKHRE MOTI -274
EK AJEEB WAQIYA, HAAR BHI MILA AUR HAAR WALI BHI MILI
(Msg 273 se aagey)
Taajir wahan se chalaa gaya aur apni basti me jaa kar kehta tha ke aisa naik aadmi-nawjawan mujhe apne yahaan mil jata... to me apni beti ki shadi uske saath kar deta.
Ab Allah ki kudrat dekho , ke wo nawjawan Makkah mukarrama ka rehne wala tha, usko safar pesh aaya,  samandar ke safar me nikla to achanak samundar me tufaan aaya aur uski kashti tukde tukde ho gayi, ek takhte ke upar wo baith gaya aur takhta idhar udhar tair rahaa hai, chalte chalte ek kinare per takhta ruka jahaan ek basti aabad thi,
basti walon ne musafir ko nikaal kar apni basti me le gaye aur kaee din rakha,
kaee din ke baad basti walon ko malum pada ke yeh to badey aalim hai aur hafiz bhi aur bahot naik bhi hai aur badi mahaarat bhi inko hai,
basti walon ne unko apne yahaan imaam bana liya aur shaikh bhi banaa liya aur apne sab kaam unke mashware se karne lage........
(baaqi msg 275 InshaAllah)

BIKHRE MOTI -275
EK AJEEB WAQIYA, HAAR BHI MILA AUR HAAR WALI BHI MILI
(Msg 274 se aagey)
Un logo  ne socha ke itna naik aadmi mil gaya hai, kisi tarah se chala na jaye is liye aisi shakl karni chahiye ke hamari basti me hi rahe,
Basti walon ne unki shadi ke liye socha ke falaan ki ladki Inke liye munasib hai,
Ek bahot badey taajir ka inteqal huwa unki beti nihayat khubsurat, haseen, deendaar hai, usey rishte ki zarurat hai,
Basti walon ne baat ki to ladki ke ghar wale aur ladki bhi shadi ke liye taiyaar ho gaye aur dono ko shadi karwa di.
Jab raat ko biwi se mulaqat huwi to dekha .........
(Baaqi msg 276 me InshaAllah)

BIKHRE MOTI -276
EK AJEEB WAQIYA, HAAR BHI MILA AUR HAAR WAALI BHI MILI
jab raat ko biwi se mulaqat huwi to dekha .........
(msg 275 se aagey)
uske galey me wohi haar hai jo haar unko Makkah mukarrama me mila tha, aur unhone us taajir ko wapas kar diya tha, aur in'aam lene se bhi inkar kar diya tha,
wo taajir kehta tha ke agar yeh mujhe mere yahan mil jata to me meri beti ki shadi uske sath kar deta,
Allah Ta'ala ne uski us neki ki barakat se us ke takwa aur parhezgari ki barakat se itna nawaza ke ....
TUM NE HAMARE DAR KI WAJAH SE HAAR WAPAS KIYA, AB HUM HAAR BHI DENGE AUR HAAR WALI BHI DENGE
chunanche Allah Ta'ala ne wo haar bhi aur haar wali bhi ataa ki, aur ye makaan aur kothi bhi aur tijarat bhi aur jaaidaad bhi.
asal yeh hai ke hum Allah ka dar aur khouf haasil karey, uski ita'at wa farmabardari karey aur nafarmaniyon se parhez karey, aur isi ke upar Allah ki madad aati hai.

BIKHRE MOTI -277
IKHTILAF ITTEHAD KO LE DUBTA HAI
Allah ke bando ko aapas me ek dusre ke mehbub bana de,
Lihaza hamari ye koshish rehni chahiye ke 2 shakhso ke darmiyan bhi dushmani aur keena hargiz baaqi na rahe,
Jiska tariqah yeh hai ke ek ke samne dusre ki khubiyan bayaan kiya kare, aur ek dusre ke mutalliq yeh khabar diya karey ke wo to majlison me tumhari khubiyan bayaan karta hai,
Niz logon se is baat ki taakid karey ke aapas me ek dusre ko hadiya diya karey.

BIKHRE MOTI -278
JAB KISI MEHFIL ME LOG HAMARI TA'RIF KAREY TO KHAMOSH RAHA KARE
Us waqt yun na kahe ke "hum to sab se kamtar hai, ya logon ki jutiyon ki khak hai" .. .. wagairah. ...
Kyun ke aisi baaten Talbisate Nafs me shumar ki gayi hai
Aisi baaton se nafs ka mansha ye hota hai ke log us waqt ki khamoshi se mere mutalliq ye gumaan na karey ke mujhe apni ta'rif sunne se khushi huwi hai,
Aur agar woh khamoshi hi ikhtiyar kar le to usme mujahida ziyada hai,
Jo shakhs nafs se maghloob ho usko aisa hi karna laazim hai,
Haan agar Allah Ta'ala ne kisi bande par fazlo karam farmaya ho ke nafs uske kabza me is tarah aa gaya jaise Gadha sudhane se kaabu me aa jata hai to isko ikhtiyar hai, chahe Jawab de ya Khamosh rahe.

BIKHRE MOTI -279
Aap ka irshad hai
"Jo aadmi naafarmani ki zillat se nikal kar farmaanbardaari ki izzat ki taraf aa jaye to Allah ta'ala ...
1. Bagair maal ke usko gani bana denge
2. Bagair lashkar ke uski madad farmayege
3.Bagair khandan ke usko izzat ataa farmayenge

BIKHRE MOTI -280
Aap ek roz sahaba e kiraam rd. ke paas tashrif laye aur irshad farmaya :
"Tumne kis haal me subah ki ..?"
Unhone arz kiya :
"humne us haal me subah ki ke hum Allah Ta'ala par imaan rakhte hai."
Aap ne fir irshad farmaya :
"Tumhare imaan ki alamat kya hai ..?"
Unhone jawab diya :
1. "Hum taklif par sabr karte hai"
2. "Khush haali par shukr karte hai"
3. "Takdir par razi rehte hai"
Aap ne irshad farmaya :
"Rabbe Kaaba ki kasam ! Beshak tum Mo'min ho."

281
Allah Ta'ala ne baaz anbiya al. Ki taraf is tarah wahi bheji hai :
1. "Jo shakhs Mujh se is haal me mulakat karey ke woh Mujh se muhabbat karta ho, Me usko Apni jannat me dakhil Karunga"
2. "Jo shakhs Mujh se is haal me mulakat karey ke woh Mujh se darta ho, to Me usko Apni Jahannam se dur Rakhunga"
3. Jo shakhs Mujh se is haal me mulaqat karey ke woh Mujh se hayaa karta ho, Me kiraaman Kaatibeen (farishton) ko uske gunaah Bhula Dunga"

BIKHRE MOTI -282
Hz. Abdullah bin Mas'ud rd. se mankul hai :
1. Allah Ta'ala ne tum par jo chizen farz farmayi hai unko adaa karo, logo me sab se ziyada ibadat guzar ban jaoge,
2. Allah Ta'ala ki Haraam farmudah chizon se bacho, logon me sab se ziyada Zaahid ban jaoge,
3. Allah Ta'ala ne tum ko jo kuchh ataa farmaya us par raazi raho, logon me sab se ziyada gani ban jaoge.

BIKHRE MOTI -283
Hz Saaleh Markadi rh. se mankul hai ke: wo baaz makano ke paas se guzre (makano ko mukhatab kar ke) irshad farmaya :
1."Tumhare pehle maalik kahaan chale gaye?"
2. "Tumhare pehle Aabad karne wale kahaan hai ?"
3. "Tumhare ander pehle rehne wale kahaan hai?"
Haatif e Gaibi (farishta) ne awaz di
1."Unke nishanaat mit gaye.."
2."Unke jism mitti ke niche boshida ho gaye.."
3."Unke a'amaal unki gardano me haar banaa kar daal diye gaye..

BIKHRE MOTI -284
Hz. Ali rd. Se mankul hai :
1. Jis par chaho ehsan karo, pas tum uske ameer ho.
2. Jisse chaho sawal karo, pas tum uske gulaam ho.
3. Jisse chaho istigna ikhtiyar karo, pas tum bhi usi ke misl (gani) ho.

BIKHRE MOTI -285
Hz. Ibrahim bin Ad'ham rh. se mankul hai :
Unse daryaft kiya gaya ke,
aap ne kis chiz ki wajah se zuhd ko ikhtiyar kiya. .?
Irshad farmaya 3 chizon ki wajah se,
1. Meine dekha ke Qabr wahshat-naak jagah hai aur mere paas mera koi munis nahi,
2. Meine dekha ke raasta lamba hai aur mere paas kuchh tosha nahi,
3. Meine dekha ke faisla karne wala Khuda e Jabbaar hai aur mere paas koi hujjat nahi.

BIKHRE MOTI -286
Hz. Sufiyan sauri rh. se mankul hai -
Unse daryaft kiya gaya ke,
Allah Ta'ala ke saath Uns kyaa chiz hai ?
Farmaya : ye hai ke
1. Kisi haseen chehre
(se apni aankh bachaane) ke zariye
2. Haseen aawaz
(se quraan padhne)ke zariye
3. Aur khush bayaan zabaan ke sath
(achchhi baat wali zaban ke sath)
Uns Haasil karo.

BIKHRE MOTI -287
Musibaton se mat ghabhraiye, is liye ke sitare andhero me hi chamakte hai.
kyaa aap ke badan Mubarak ka saayaa nazar aata tha...?
(Padhiye kal aane wale msg bikhre moti 288 me) InshaAllah

BIKHRE MOTI -288
Kyaa aap ke badan Mubarak ka saayaa nazar aata tha...?
Hazrat zakwan rh. Farmate hai ke Aap ka saaya Na to din me nazar aata tha Na hi raat me.
Usko hakim tirmizee ne nakl karne ke baad farmaya :
Wajah ye hai ke koi kafir aap ke saaya par na chale, agar koi kafir aap ke saaya e mubarak par chalega to ye aap ke liye baais-e-zillat hoga.
Ibne Saba'a farmate hai ke aap ka saaya e mubarak zamin par padta hi nahi tha, aap to Noor the, raat din me jab bhi chalte magar saaya zaheer nahi hota tha.
Baaz ulema ne farmaya ke uski taaeed aap ke farman "ALLAHUMMAJ ALNI NOORA" se bhi hoti hai.
Sububul hooda warrashaad fee sirate khairil ibaad, jild-2, safa-9

BIKHRE MOTI -289
Hazrat shibli rh. se mankul hai, jo badey aarif hai, wo (munajaat) me kahaa karte the :
(1) Ilaahi ! me apni haajatmandi aur naatvaani (kamzori) ke bawajud pasand karta hun ke apni tamam nekiyan Aap ko bakhsh du, pas Ey mere Aaqa ! Aap kaise pasand nahi farmayenge ke mere tamam gunaah bakhsh den, haalaan ke aap,Aey mere Sardaar mujh se beniyaz hai.
(2) Unka yeh bhi irshad hai : jab tum Allah Ta'ala se Uns (muhabbat/dil ka lagana) haasil karna chaho to apne nafs se wehshat ikhtiyar karo.
(3) Aur yeh bhi irshad farmaya : agar tum visaal ki halaavat chakh lo to firaaq (judaai) ki talkhi pehchan sakte ho, matlab ye hai,ke jo shakhs visaal ki halaavat se nawaaqif hai wo firaaq ki talkhi bhi nahi samajh sakta.
Kisi shayar ne kaha hai :
JISNE USEY YAAR PAAYA,
TAA ZEST NA FIR QARAAR PAAYA.

BIKHRE MOTI -290
Hz. Ibne Abbas rd. se mankul hai ke unhone irshad farmaya :
"ZUHD" زہد
ke 3 huroof hai.
(1) ZAA زا
(2) HAA ہا
(3) DAAL دال
(1) ZAA زا
se muraad hai ZAADUL MA'AAD,
زاد المعاد
Aakhirat ka tosha.
(2) HAA ہا
se muraad hai
HIDAYAT-E-DEEN.
ہدایت دین
(3) DAAL دال
se muraad hai
DAWAAM AL TAA'AT,
دوام علی الطاعات
itaa'at par hameshgi.
Ek dusre maqaam par farmaya :
"ZUHD" زہد
ke 3 huroof hai,
(1) ZAA زا
se muraad tarke Zeenat, zeenat ka tark kar dena.
(2) HAA ہا
se muraad tarke khwahish e nafs, nafs ki khwahish ka tark kar dena.
(3) DAAL دال
se muraad Tarke duniya,  duniya ka tark kar dena.
*ZUHD
ka maana dunya se beragbti -muhabbat na hona.

BIKHRE MOTI -291
Hazrat Haamid se mankul hai ke unke paas ek shakhs aaya, aur usne unse wasiyyat karne ki darkhast ki,
Unhone jawab diya :
Apne Deen ke liye Gilaaf banaa lena, jis tarah Quraan e paak ke liye Gilaaf hota hai,
Unse sawal kiya gaya :
Deen ka Gilaaf kyaa hai..?
Unhone jawab diya ...
(baaqi msg 292 me kal InshaAllah )

BIKHRE MOTI -292
(Msg 291 se aagey)
Unhone jawab diya :
1. Tarq-e-kalaam magar ba-zarurat
2. Tarq-e-duniya magar hasbe zarurat
3. Tarq-e-ikhtelat *Tarke ikhtilat
(Logo se kam milna)
magar ba-qadre zarurat.
Faidah:
msg 290-291 bikhre moti ka matlab ye hai ke ....
(baaqi msg 293 me kal InshaAllah)

BIKHRE MOTI -293
Faidah:
msg 290-291 bikhre moti ka matlab yeh hai ke
Jis tarah se quran-e-paak ki hifazat ke liye gilaaf ki zarurat hoti hai, isi tarah se deen ki hifazat ke liye bhi gilaaf ki zarurat hai, aur wo gilaaf yeh 3 chizen hai, ke in 3 chizon ko bilkulliyah tark kar diya jaye, ke un teeno se hi ziyada tar deen ka nuksan hota hai, sirf baqadre zarurat ke uske bageir chaara hi na ho, ikhtiyar kiya jaye.
Fir jaan lo ke asal Zuhd ye 3 chizen hai
1. Haraam chizon se bachna chahe wo chhoti ho ya badi
2. Tamaam faraiz ki adaygi chahe wo aasaan ho ya dushwar
3. Duniya ko ahle duniya par chhod dena, wo thodi ho ya ziyadah.

BIKHRE MOTI -294
Haz. Luqmaan hakeem se mankul hai ke unhone apne betey ko nasihat farmayi
Beta, Insan ke 3 hissey hai
1. Ek hissa Allah ke liye
( Allah ka hissa uski rooh hai )
2. Ek hissa uske nafs ke liye
( Uske nafs ke liye uske a'amaal hai )
3. Ek hissa kide makodo ke liye
( Kido makodo ke liye uska jism hai )

BIKHRE MOTI -295
Hazrat Ali karaamallahu wajhahu se mankul hai,  unhone irshad farmaya :
Teen chizen hifz ko badhati hai aur balgam ko dur karti hai
1. Miswak
2. Rozah
3. Tilawate Qur'an e paak

BIKHRE MOTI -296
Hz. Qa'ab Ahbar rd. Se mankul hai :
Mo'amino ke liye shaytan se hifazat ke teen qile hai
1. Masjid ek qilaa hai
2. Zikrullah ek qilaa hai
3. Tilawate Quraan ek qilaa hai

BIKHRE MOTI -297
Baaz hukama se mankul hai - unhone farmaya :
Teen chizen Allah Ta'ala ke khazaano me se hai, wo chizen Allah Ta'ala apne mehbub bando hi ko ataa farmate hai.
1. Fakr
(ke uske zariye bahot se gunaahon aur duniyavi takaalif se insan mehfuz rehta hai)
2. Marz
(Ke uske zariye bahot se gunaah bakhsh diye jate hai)
3. Sabr
(Ke darjaat ke buland hone ka sabab hai)

BIKHRE MOTI -298
Hz. Umar faruq rd. se mankul hai,
1. Logon ke saath husn-e-muhabbat se pesh aanaa aadhi akl hai,
2. Husn-e-sawal aadhaa ilm hai,
3. Husn-e-tadbeer aadhi maeeshat hai.

BIKHRE MOTI -299
Hz. Usman rd. se mankul hai :
1. Jo shakhs duniya ko tark kar deta hai Allah Ta'ala usko mehbub rakhte hai,
2. Jo shakhs gunahon ko tark kar deta he, farishte usko mehbub rakhte hai,
3. Jo shakhs musalmano se tama'a (laalach) khatm kar leta he, muslaman usko mehbub rakhte hai.

BIKHRE MOTI -300
Hz. Ali rd. se mankul hai :
1. Duniya ki ne'amaton me se ne'amat e Islaam kaafi hai,
2. Mashagalo me se shugale ibadat kaafi hai,
3. Ibrat ki chizon me se Maut ibrat ke liye kaafi hai.


website developed by

Zakirhusain Abdullah Patel

Remember in Duaa
for any suggestion plz call or whatsapp
+91 98244 80788

No comments:

Post a Comment