Wednesday, 6 July 2016

BIKHRE MOTI 301-TO-500

BIKHRE MOTI -301
Hz. Dawood As. se mankul hai ke unhone irshad farmaya hai,
Zaboor me vahee ki gayi hai ke
Akalmand par laazim hai ke teen chizon ke alawa kisi chiz me mashgul na ho,
1. Aakhirat ke liye tosha ki taiyyari,
2. Kasbe ma'aash rozi kamana,
3. Halaal ke zariyah talab e lazzat.

BIKHRE MOTI -302
Hz. Abu Hurairah rd. se aap
Ka irshad e aali mankul hai :
3 Chizen najaat dene wali hai,
3 Chizen halaak karne wali hai,
3 Chizen bulandi e darajaat ka zariyah hai,
3 Chizen gunaho ke kaffara ka zariyah hai.
..........
(Baaqi msg 303 me Insha Allah kal)

BIKHRE MOTI -303
Teen chizen najaat dene wali
1. Zaahir wa baatin me Allah ta'ala ka khauf
(ke khalwat wa jalwat me Allah Ta'ala ki naafarmani na karey)
2. Tangdasti wa khush_haali me darmiyana pan
(Aisa na ho ke khush_haali me fuzul karchi me mubtala jo jaye)
3. Razaamandi wa narazgi me adl wa insaaf
(Aisa na ho ke kisi se naraz ho to uske baarey me insaaf bhi na karey jaisa ke umuman hota hai...
(baaki msg 304 me insha Allah )

BIKHRE MOTI -304
Teen chizen halaak karne wali
1. Shiddate Bukhl
(Ke wajib huquq bhi adaa na karey)
2. Hawaa e nafsaani jiska itteba'a kiya jaye
(Ke hawaa e nafsaani me shariat ke hudood ki bhi parwah na karey)
3. Khud pasandi
(Ke dusron ko hakeer samjhe)

BIKHRE MOTI -305
Teen darajaat buland karne wali chizen
1. Salaam ko aam karna.
(Ke har musalman ko salaam karey, chaahe usse pehchan ho ya na ho)
2. Khana khilana.
(Hasbe wus'at)
3. Raat ke waqt jab log soye huwe ho namaz padhna.
(Yaane tahajjud ki namaz padhna)
FAIDAAH:-
(Insha Allah msg 306 me)

BIKHRE MOTI -306
Faaidah
Salaam karne se
Dil ki qaduraten (ranjish) khatm ho jati hai.
Aapas me ulfat wa muhabbat paida hoti hai.
Takabbur khatm ho jata hai.
Takabbur se paida hone wali buraiyan bhi khatm ho jati hai
Salaam ek jame'a duaa hai, salaam ko aam karne se ek dusre ke liye duaaon ka silsila aam ho jata hai...
Khana khilane se....
(Baaqi kal Insha Allah msg 307 me)

BIKHRE MOTI -307
(BIKHRE MOTI 306 SE AAGE )
Khana khilane se
Ranjish khatm ho jati hai.
Aapas me ulfat wa muhabbat paida ho jati hai.
Bukhl khatm ho jaata hai.
Bukhl se paida hone wali buraiyan (huquq ke wajibat adaa na karna wagairah) khatm ho jati hai.
Raat ke waqt namaz padhne se.. ....
(Baaqi kal msg 308 me Insha Allah)

BIKHRE MOTI -308
( BIKHRE MOTI 307 SE AAGE)
Raat ke waqt namaz padhne se ....
Ikhlaas paida karta hai jo har amal ki jaan hai.
Allah Ta'ala ki muhabbat paida ho jaati hai, jisse har neki ki ragbat aur gunahon se nafrat paida ho jati hai.
Jo shakhs namaze tahajjud ki pabandi karta hai digar namazon ki pabandi ba-darja-e aula karta hai.
Gunahon ka kaffarah kar dene wali 3 chizen kal msg 309 me Insha Allah....

BIKHRE MOTI -309
(BIKHRE MOTI 308 SE AAGE)
Gunaahon ka kaffara kar dene wali 3 chizen
Sardi me wuzu kaamil (pura) karna
BaaJamaa'at namaz ke liye qadam uthaa kar chalnaa
Namaz ke  baad (dusri) namaz ka intezar karna.

BIKHRE MOTI -310
Hz.  Jibrail as. Ne aap ko 3 nasihate farmayi :
1. Jitna chaahe zinda raho aakhir to marna hai,
2. Jisse chaahe dosti karlo aakhir usse judaa hona hai,
3. Jo chaahe amal karo aakhirkaar uska badla milna hai.
FAIDAH
Matlab yeh hai ke jab aakhir ko marna hi hai to uske liye taiyyari karna chahiye,
Aur jab har dost se judaa hona hi hai to us Zaat se ta'alluq qaaim karna chahiye Jisse kabhi judaai nahin hogi, yaani Haq Ta'ala Shanahu se.
Aarif Rumi rh. ne kaha hai :
ISHQ BAAMURDA NA BAASHAD PAAIDAAR
ISHQ RAA BAA HAYYUN WA BAA QAYYUM DAAR
(Murde ke sath ishq lamba nahi rehta,
Hayyul qayyum ke sath ishq kar)
Yani Allah Ta'ala ke saath ishq kar jo hamensha rehne wale hai,  insaan to ek na ek din mar hi jayega.
Aur jab har amal ka badla milna hai, yaani nek amal ka achchha badla aur burey amal ka buraa badla to har har neki ki koshish karna chahiye, aur har har buraai se parhez karna chahiye.

BIKHRE MOTI-311
Hz. Ibrahim alayhissalam se daryaft kiya gaya:
Aap ko Allah Ta'ala ne kis chiz ki wajah se khalil banaya ?
Irshad farmaya :
Teen chizon ki wajah se,
1. Maine Allah ke hukm ko uske gair ke hukm par ikhtiyar kiya,
2. Jis chiz ka Allah Ta'ala ne mere liye zimma liya hai Maine uski fikr nahi ki,
3. Mehman ke bagair subah ya shaam ka Maine kabhi khana nahi khaya.

BIKHRE MOTI-312
Baaz hukama se mankul hai:
Teen chizen Ranj wa Gam ko dur karti hai,
1. Allah Ta'ala ka zikr,
2. Awliya Allah ki mulaqat,
3.Akalmando ka qalaam.



313
Hz. Hasan Basari rh. se mankul hai:
1. Jisko adab nahin usko ilm nahin,
2. Jisko sabr nahin usko Deen nahin,
3. Jiske liye parhezgari nahin uske liye kurbe Khudawandi nahin.
FAIDAH
Matlab ye hai ke ilm ka takaza adab hai, ke har kisi ke saath uske munasib adab se pesh aaye, agar kisi shakhs me ilm ke bawazud adab nanin to yeh kahaa jayega ke goya ilm hi nahin.
Isi tarah Deen ke ander khilafe mijaz baaton par sabr karna chahiye, agar kisi ke ander sabr nahin to uska deen pukhta aur kaamil nahin.
Isi tarah Allah ka qurb parhezgari ke baqadr hoga, agar kisi me parhezgari nahin to Allah ka qurb bhi usko haasil nahin.
314
Ek israeeli shakhs ilm haasil karne ke liye nikla, uski khabar unke nabi ko pahuchi aur unhone us shakhs ko talab kiya, wo shakhs haazir huwa to unhone usse farmaya :
Ey jawaan ! Me tujh ko teen chizon ki nasihat karta hun, unme awwalin wa aakhirin ka ilm hai,
1. ZAAHIR WA BAATIN ME ALLAH SE DARTE REHNA,
2. APNI ZABAAN KO MAKALUQ SE ROK LENA, AUR KHAIR KE BAGAIR UNKA ZIKR NA KARNA,
3. JO KHAANA KHAAO KHYAAL RAKHNA KE WO HALAAL HO.
→pas wo jawan safar se ruk gaya←
FAIDAH
Yaani teen chizon me tamaam ilm jamaa ho gaya, fir mazeed kyun waqt zaye'a karu ??!
315
Ek israeeli shakhs ne ilm ke 80 sandook jamaa kiye, aur ilm se faaida haasil nahi kiya, yaani us par amal nahi kiya,
Allah Ta'ala ne unke nabi ke paas wahi bheji ke tu jjtna chahe ilm jamaa kar le, jab tak teen chizon par amal na karey tujhko koi nafaa nahi hoga,
1. Duniya se muhabbat na karey, is liye ke wo mo'amin ka ghar nahi,
2. Shaytaan ki humnashini ikhtiyar na karey, is liye ke wo mo'amin ka rafik nahi,
3. Kisi ko izaa (taklif) na pahochaye, is liye ke ye mo'amin ka pesha nahi.
316
Abu Sulaimaan Durrani (rh.) se mankul hai
Wo munajaat me kaha karte the :
1. ILAAHI ! Agar Tu mujh se mere gunaahon ka mutalaba karega to me Tujh se Teri muaafi ko talab karunga.
2. Agar Tu mere bukhl ka mutalba karega to me Tujh se Teri sakhaavat ko talab karunga.
3. Agar Tu mujh ko jahannam me dakhil karey to me jahannamiyon ko khabardaar karunga ke mujh ko Tujh se muhabbat hai.
( taake jahannamiyon ko muhibbeen-e-Khuda ka haal malum hokar kuchh tasalli ho)
317
Jis shakhs ko teen chizen haasil hai wo sa'adatmand hai
1. Jaanne wala dil
2. Sabr karne wala badan
3. Apne paas jo maujud ho us par qana'at
318
Hz. Ibrahin nakha'ee se mankul hai ke pehle log jo halaak huwe woh teen baaton ki wajah se halaak huwe,
1. Fuzul Kalaam
2. Ziyada Khaana
3. Ziyadah Sona
FAIDAH
Jab fuzul kalaam hoga to geebat, chugli wagerah hogi
Ziyadah khaane se ziyadah shahvat paida hogi
Aur ziyadah sone se susti (kaahili) paida hogi.
319
Hz. Yahya bin ma'az raazi (rh) se mankul hai :
Us shakhs ke liye mubarakbad hai jo yeh teen kaam karey
1. Jo duniya ko chhod de, usse pehle ke duniya usko chhod de.
2. Jo Qabr me daakhil hone se pehle Qabr ko (nek a'amaal ke zariyah) aaraasta kar le.
3. Apne Rab se mulakat se pehle Usko raazi kar le.
320
Hz. Ali rd. se mankul hai ke jiske paas teen chizen nahi, uske paas kuchh bhi nahi,
1. Allah Ta'ala ki sunnat,
2. Rasulullah ki sunnat,
3. Awliya Allah ki sunnat.
Daryaft kiya gaya :
Allah Ta'ala ki sunnat kya hai ?
Farmaya : Raaz ka chhupana.
Arz kiya gaya :
Rasulullah
ki sunnat kya hai ?
Irshad farmaya : logon ke saath narmi wa maharbani se pesh aana.
Arz kiya gaya :
Awliya Allah ki sunnat kyaa hai ?
Irshad farmaya : logon ki taklif ko bardast karna.
321
Pehle zamane ke log ek dusre ko teen chizon ki wasiyyat kiya karte the, aur aapas me ek dusre ko likh kar diya karte the wo teen chizen yeh hai.
1. Jo shakhs apni aakhirat ke liye amal karta hai Allah Ta'ala uske deen aur duniya dono ki kifayat farma dete hai,
2. Jo shakhs apne baatin ko durust kar leta hai Allah Ta'ala uske zaahir ko bhi durust kar dete hai,
3. Jo shakhs apne aur Allah ke darmiyan muamalah Sahih kar leta hai, Allah Ta'ala uske aur logon ke darmiyan ka muamalah ko bhi sahih kar deta hai.
322
MAQOULA
Hz. Uzair nabi alayhissalam ki taraf Allah Ta'ala ne wahi bheji,  Allah Ta'ala ne farmaya :
1. Aey Uzair ! Jab tum chhota gunaah karo,
(yani na munasib kaam karo jo Nabi ke haq me Allah gunah shumar karte hai halan ke anbiyaa gunah se masoom hote hain)
uske chhote hone ko na dekho, balke usko dekho jiska gunaah kiya hai,
2. Jab tumko mamuli khair pahonche uske mamuli hone ko na dekho balke usko dekho jisne wo tumko ataa ki hai,
3. Jab tum ko koi taklif pahonche, Meri makhluk se to Meri shikayat na karo, jis tarah jab tumhare gunaah mujh tak pahunchte hai to me apne farishton se tumhari shikayat nahi karta.
323
Hz. Ali rd. ka irshad hai :
1. Allah ke nazdik logon me sab se behtar ban kar raho,
2. Apne nafs ke nazdik logon me sab se badtareen ban kar raho,
3. Logon ke nazdik ek aam Insaan ban kar raho.
324
Hz.Haatim Asam rh.Ka irshad hai :
Har roz subah hoti hai to shaytan mujh se kehta hai,
1. Tu kyaa khayega ?
2. Kya pehnega ?
3. Kahaan rehega ?
==================
Me usko jawab deta hun,
1. Maut ko khaunga,
2. kafan ko pehnunga,
3. Qabr me rahunga.
gaur karey dosto
325
6 LAAKH SEATO WALA HAWAI JAHAAZ
Tafsir ibne kathir me hai Takht-e-Sulaiman (As.) Jo hawaa par chalta tha uski kaifiyat ye bayaan ki hai ke
Sulaiman (As.) Ne lakdi ka ek bahot wasee'a takht banwaya tha, jis par Khud ma'a a'ayaane saltanat aur lashkar aur ladaai ke saaman ke sab sawar ho jate,
Fir hawaa ko hukm dete to woh us azimushshan lambe badey takht ko apne kandho par uthaa kar jahaan ka hukm hota wahaan jaa kar utar deti thi,
Aur dophar se shaam tak ek mahina ki yaane ek din me do mahino ki masaafat(doori) hawaa ke zariyah tay ho jati thi,
(Baaqi msg 326 me Insha Allah)
326
6 LAKH SEATO WALA HAWAI JAHAAZ
(Msg.325 se aage)
Ibne abi haatim ne Hz. Saeed bin zubair se nakal kiya hai ke,
Us takhte sulaimaani par 6 Laakh kursiyan rakhi jati thi, jisme sulaiman al. ke sath ahle imaan insan sawaar hote the, aur unke pichhe ahle imaan jinn (jinnaat) bethte the,
Fir parindo ko hukm hota ke wo us purey takht par saaya kar le taa ke aaftab ki tapish se taklif na ho,
Fir hawaa ko hukm diya jata tha to woh us azimushshan majma ko utha kar jahaan(jis jagah) ka hukm hota pahucha deti thi,
Aur baaz riwayat me hai ke us hawaai safar ke waqt purey raste me Hz. Sulaiman (As.) sar zukaye huwe Allah ke zikro shukr me mashgul rehte the, daaye baaye kuchh na dekhte the, aur apne amal se tawazo'a ka izhaar farmate the.
(Ibne kathir ba hawala, maariful quran,  jild 6, safa - 212l
327
Hadis sharif me hai ke huzur ne farmaya :
Uski Qasam Jiske Hatho me meri jaan hai !
Jab Jannati apni Qabron se niklenge, unka istiqbaal kiya jayega, aur unke liye paron wali untniyan layi jayegi, jin par sone ke kajaave honge, unki jutiyon ke tasme tak noor se chamak rahe honge,
Ye untniyan ek ek Qadam is Qadar door rakhti hai jahaan tak Insan ki nigah ja sakti hai,
Jannati ek darkht ke paas pahochenge, jiske niche se 2 nehren nikalti hai, ek nahar ka paani ye piyenge, unke pet ke tamaam fuzulat aur mel kuchel dhul jayenge,
Dusri nahar se →→
(Baaqi msg 328 me Insha Allah)
328
(msg 327 se aage)
Dusri  nahar se yeh log (jannati) gusl karenge fir hamensha tak unke badan  mele na honge, unke baal paraaganda na honge, aur unke jism wa chehre chamakdar rahenge,
Ab ye jannat ke darwazo par aayenge,
Dekhenge ke ek kunda surkh yaaqut ka hai jo sone ki takhti par latka huwa hai,
Ye isey hilayenge to ek ajeeb surili aur mousiqi ki sadaa (awaaz) paida hogi,
Usey sunte hi har hoor ...
(Baaqi msg 329 me InshaAllah)
329
(msg 328 se aage)
Usey sunte hi har hoor jaan legi ke uske khawind aa gaye,
Woh jannat ke daaroga ko hukm karegi ke : jaao darwazah kholo,
Wo darwazah khol dega,
Yeh (Jannati) ander Qadam rakhte hi us daarogah ki nuraani shakal dekh kar sijdah me gir jayega,
Lekin woh usey rok lega aur kahega :
Apna sar utha !
Me to tere Maatihat hun !
Aur usey apne saath le chalega,
Jab  yeh us durre yakut ke khaime ke paas pahochega jahaan uski ......
(Baaqi msg 330 me InshaAllah)
330
(msg 329 se aage)
Jab  yeh us durre yakut ke khaime ke paas pahochega jahaan uski Hoor hai, (woh hoor) Betaabana daud kar khaime se baahar aa jayegi, aur bagalgir ho kar kahegi:-
Tum mere mehbub ho, aur me tumhari chahne wali hun, me yahan hamensha rehne wali hun, marungi nahin, me ne'amaton wali hun, faqra wa mohtaji se dur hun, me aap se hamesha raazi aur khush rahungi, kabhi naraz nahin houngi, me hamensha aap ki khidmat me haazir rehne wali hun, kabhi idhar udhar hatungi nahi.....
Fir yeh (Jannati) ghar me jayega....
(Baaqi msg 331 me Insha Allah)
331
(msg 330 se aage)
Fir ye (Jannati) ghar me jayega, jiski chhat farsh se ek laakh haath buland hogi,
Uski kul diwaren kisam kisam ke aur rang be rangi motiyon ki hogi,
Uske ghar me 70 takht honge aur har takht par 70 - 70 jode honge, aur un sab kapdon ke niche se uski pindli ka gudaa nazar aata hoga,
Unke ek jima'a ka andaza ek puri raat ka hoga,
Unke baago aur makaano ke niche nehren beh rahi hogi, jinka paani kabhi badbudaar nahi hota, saaf shaffaq moti jaisa paani hai.
332
Aur dudh ki nehren hogi jiska mazaa kabhi nahi badalta, jo dudh kisi janwar ke than se nahi likla,
Aur sharaab ki nehren hogi jo nihayat laziz hogi, aur khaalis shahad ki nehren hogi jo makhkhiyon ke pet se haasil shuda nahin,
Kisam kisam ke mewo se lade huwe darakht uske chaaro taraf honge jinka fal unki taraf zhuka huwa hoga, ye khade khade fal lena chahe to le sakte hai, agar ye beithe beithe fal todna chahe to shaaken itni zhuk jayegi ke yeh tod len, agar ye lete lete fal lena chahe to shaaken aur zhuk jayegi.
Fir aap ne aayat
و دانیة علیہم ظلالہا
Padhi, yaani un Jannati darkhton ke saaye un par zhuke huwe honge,  aur uske mewe bahot kareeb kar diye jayenge....
(Baaqi msg 333 me InshaAllah)
333
Yeh khana khane ki khwahish karenge to sufed rang ya sabz rang ke parinde unke paas aakar apna par uncha kar denge,
Yeh jis qisam ka uske pehlu ka gosht  chahe khayenge, fir wo zinda ka zinda jaisa tha waisa hi uth kar udd jayega,
Farishte unke paas aayenge, salaam karenge, aur kahenge yeh Jannat hai, jinke tum apne aamal ke baaees waris banaye gaye ho,
Agar kisi hoor ka ek baal zameen par aa jaye to woh apni chamak se aur apni siyahi se noor ko roshan karey aur siyahi numaayan rahe.
334
JANNAT KA DARAKHT JISKI JAD ME SE DO NEHREN NIKALTI HAI...
Ibne abi haatim me Haz. Ali rd. ka qaul marvi hai ke jannat ke darwaaze per pahonch kar jannati ek darakht dekhenge jiski had me se do nehren nikalti hongi.....
Ek woh gusal karenge jisse is Qadar paak-saaf ho jaenge ke unke jism aur chehre chamakne lagenge, unle baal kanghi kiye hue, tel wale ho jaenge ke fir kabhi suljhane ki zarurat hi na pade, na chehre aur jism ka rang roop halka pade.
Fir yeh dusri naher per jaenge.....
(baaki insha Allah  msg 335 me)
335
JANNAT KA DARAKHT JISKI JAD ME SE DO NEHREN NIKALTI HAI...
(msg 334 se aage)
Fir yeh dusri naher per jaaenge goya ke unse keh diya gaya ho ke usme se paani piyenge, jinse tamaam ghin ki chizon  (chidh aane wali) se paak-saaf ho jaenge.
Jannat ke farishtey unhe salaam karenge,mubarakbaad paish karenge aur unhe jannat me jaane ko kahenge ke aap khush ho jaiye,
Allah ta'ala ne aap ke liye tarah-tarah ki ne'amaten muhaiya kar rakhkhi he, unme se kuchh bhaage doude jaenge.....
(baaki INSHA ALLAH msg 336 me)
336
JANNAT KA DARAKHT JISKI JAD ME SE DO NEHRE NIKALTI HAI...
(msg 335 se aage)
Un me se kuchh bhaage doude jayenge, Aur jo hooren us jannati ke liye makhsus hai unse kahenge...
Lo Mubarak ho ! fulaan saahab aa gaye. naam sunte hi woh khush ho kar puchhengi ...
Ke kya tumne khud unhe dekha hai? woh kahenge, haan hum apni aankho se dekh kar aa rahe hai.
Yeh maare khushi ke darwaaze per aa khadi hongi, jannati jab apne mahal me aakar dekhega ke gadde baraabar lage hue hai,
Aur aabkhore (lote) rakhkhe hue hai, aur kaalin bichhe hue hai, us farsh ko dekhkar.....
(baaki msg 337 me INSHA ALLAH)
337
JANNAT KA DARAKHT JISKI JAD ME SE DO NEHRE NIKALTI HAI...
(msg 336 se aage)
Us farsh ko dekh kar ab jo diwaaron ki taraf nazar karega to woh surkh va sabz aur zard va sufeid aur kisam-kisam ke motiyon ki bani hui hongi,
Fir chhat ki taraf nigaah uthaega to woh is Qadar shaffaaf aur musaffa hongi ke noor ki tarah chamak damak rahi hogi,
Jiski roshni aankho ki roshni ko buza de, Agar Khuda use barkaraar na rakhkhe.
Fir apni biwiyon par ya'ani jannati hooro par muhabbat bhari nigah daalega, fir apne takhto me se jis per uska ji chahega baithega aur kahega...
Khuda ka shukra hai jisne hame hidaayat ki, Agar Allah hame yeh  raah na dikhata to hum to hargiz use talaash nahin kar sakte the.
Tafsir ibne kasir, jild 4, safaa 447
338
NICHE KE KALIMAAT PADH LIJIYE AUR 6 BADI-BADI FAZILATEN HAASIL KAR LIJIYE
لا الہ الا اللہ واللہ اکبر سبحان اللہ و بحمدہ استغفر اللہ و لا قوۃ الا باللہ الاول والآخر والظاهر والباطن بیدہ الخیر یحی ویمیت وہو علی کل شیئ قدیر
Huzure Akram ne haz. Usman rd. se farmaya :
Ay Usman ! (rd.) jo shakhs ise subah 10 baar padh le to Allah ta'ala use 6 fazaail ataa farmaata hai......
(baaki INSHA ALLAH msg 339 me
339
NICHE KE KALIMAAT PADH LIJIYE AUR 6 BADI-BADI FAZILATEN HAASIL KAR LIJIYE
(msg 338 se aage)
Huzure Akram ne haz. Usman rd. se farmaya :
Ay Usman ! (rd.) jo shakhs ise subah 10 baar padh le to Allah ta'ala use 6 fazaail ataa farmaata hai......
1 Woh shaitan aur uske lashkar se bach jaata hai.
2 Use ek kintaar ajra milta hai.
3 Uska ek darajah jannat me buland hota hai.
4 Uska hooreAin se nikaah karaa diya jaata hai.
5 Uske paas baarah (12) farishtey aate hai.
6 Use itna sawaab diya jaata hai jaise kisine Qur'an, Tauraat aur Injeel wa Zaboor padhi, aur agar usi din uska intikaal ho jae to shahaadat ka darajah milta hai.
Tafsir ibne kasir, jild-4, safah-439
FAAIDAH
Kintaar ka matlab bahot sara jaise ke badaa dher....
340
RASULULLAH SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM KI KHAANAGI(PRIVATE) ZINDAGI
Rasulullah sallallahu alayhi wasallam KI zindagi ka har gosha insaaniyat ke  liye namuna wa us'wah hai,
Isliye Allah ki mashiyyat ne uska intizaam kiya ke Aap Sallallahu alayhi wasallamki zindagi ka har gosha mehfuz aur aainah KI tarah shaffaaf ho.
Duniya ka har insaan apni zindagi ko khaanagi rakhna chahta hai magar....
(baaki INSHA ALLAH msg 341me)
341
RASULULLAH   KI KHAANGI (private) ZINDAGI.
(msg 340 se aage)
Duniya ka har insaan apni zindagi ko khaangi (raaz me, privacy) rakhna chahta hai magar Muhammad Rasulullah ka yeh e'ajaz hai ke aap ki taraf se is baat ki aam ijaazat, balke targheeb thi ke aap ke ghar ke andaruni haalaat wa kawaaif ko bhi aam kiya jaae,
Aur yahi sabab hai ke aap ki aisi baarik tafsilaat record (maujud) me hai jinka kisi aur ke baare me mehfuz hona mumkin nahin .
    
   (baaki INSHA ALLAH msg 342 me)
342
RASULULLAH KI KHAANAGI (Private) ZINDAGI
(msg 341 se aage)
Aap ki gharelu zindagi bilkul isi tarah dilkash wa didahzeb aur a'alatareen insaani kirdaar ka namoonah thi, Jis tarah Aap ki baahar ki zindagi thi.
Aap ghar me bhi isi tarah rahmat wa shaffakkat ka paikar the, jis tarah Aap Sahaba ke saath the.
Ghar me bhi Aap vaise hi muallim e akhlaaq wa murabbi the, jaise apne halqah e wa'az me,
Muhammad Rasulullah ki hikmat wa tadabbur ka haal jo ghar ke andar nazar aata hai.....
(baaki msg 343 me INSHA ALLAH)
343
RASULLULAH SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM KI KHAANGI (Private) ZINDAGI
(msg 342 se aage)
Muhammad Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam ki hikmat wa tadabbur ka jo haal ghar ke andar nazar aata hai woh usse kisi tarah kam nahin jo ghar ke baahar nazar aata hai,
Aap Sallallahu Alayhi Wasallam ke maanne walo ko jis tarze amal aur jin akhlaaq wa ausaaf ki talkeen karte the, khud ghar ki khalwato me bhi us per mukammal taur per amal pairah the.
Isliye Aap Sallallahu Alayhi Wasallam ki gharelu aur khaangi (private) zindagi bhi vaisi hi sabaq aamoz hai, jis tarah Aap ki  ijtimaai zindagi hamaare liye uswah aur namoonah hai.....
(Allah ta'ala aise akhlaaq se hame bhi muzayyan  farmayen aameen)
344
EK SAADAH INSAANI ZINDAGI
Aap ki gharelu zindagi bilkul saadah aur saare takallufaat se bilkul paak thi.
Allah ta'ala ki taraf se Aap ko jo azeem tareen muqaam wa martabah mila tha aur logo ke dilon me Aap   ki jo azmat wa muhabbat thi uske baawajud Aap ghar me bilkul saadagi wa tawaazu'a ke saath rehte the.
Ummul mu'amineen Haz. Aaishah Siddiqah rd. Rasulullah   ke ghar ke ma'amulaat ke silsilah me farmaati hai ke .....
(baaki INSHA ALLAH msg 345 me)
345
EK SAADAH INSAANI ZINDAGI
(msg 344 se aage)
Ummul mu'amineen HAZ. Aaishah rd.
Rasulullah
  ke ghar ke andar ke ma'amulaat ke silsilah me farmaati hai ke,
کان بشر من البشر یفلی ثوبہ و یحلب شاتہ و یخدم نفسہ۔
Shamaaile tirmizi
Ya'ani Aap   aam insaan ki tarah ghar me rehte the aur tamaam gharelu wa khaangi kaam jo aam insaan karte hai Aap bhi apne ghar me kar liya karte the.
Hatta ke agar kapado me jooen ho jaati to unko bhi nikaal lete the, Apni bakri ka doodh doh liya karte the aur apne zaati kaam khud karte the.
(baaki msg 346,me INSHA ALLAH)
346
EK SAADAH INSAANI ZINDAGI
(msg 345 se aage)
Haz. Aaishah Siddiqah rd. ki hi ek aur rivaayat hai ki
Aap apne kapdon me khud paivand lagaa lete,jootah khud durust kar lete,
Musnade Ahmad
Aur apne ghar walo ke kaam me haath bataate, Namaaz ka waqt hota to baahir chale jaate.
Bukhaari, kitaabus salaat
Ghar me daakhil hote to khud salaam karke daakhil hote, gharwalon ke saath khush khulqi se (ya'ani achchhe bartaav se) pesh aate aur narmi ka muamalah karte.
347
AZWAAJE MUTAHHARAAT KE SAATH HUSNE MU'AASHARAT
Aap biwiyon ke saath husne suluk (achchhe bartaav) ki bahot taakid farmate aur unki khalqi wa taba'ee kamzoriyon se sarfe nazar karne (nazar andaaz) karne ka hukm dete.
Muta'addad rivayaat me uska zikr hai ke auraton ke mijaaz me paidaishi taur per kuchh kaji hoti hai, usko bilkul sidha karna mumkin nahin hai ke unki taba'ee kamzori se darguzar aur behtar se behtar suluk kiya jae.
Bukhari,kitabunnikah, baabul vasaaya binnisaa'a.
Aap ne is husne suluk ko IMAAN ke kamaal ka sabab batlaaya hai.
Tirmizi, kitaabul imaan.
(baaki msg, 348 me INSHA ALLAH)
348
AZWAAJE MUTAHHARAAT KE SAATH HUSNE MU'ASHARAT
(msg 347,se aage)
Khud Aap Sallallahu Alayhi Wasallam ka tarze amal in hidaayaat per pura-pura tha aur aisa tha ke usse behtar misaal milna mumkin nahin.
Aap ne sahaaba e kiraam se farmaya ke "khairukum li'ahlihi" tumme sabse behtar woh hai jo apne ghar walon ke liye behtar ho.
Wahin aap ne yeh bhi farmaya ke "va-an khairukum li'ahlihi" aur me tum me sabse ziyadah apne ghar walon ke haq me behtar hun.
Tirmizi, manaakib-63,IBNE maajah, Nikaah-50
(baaki msg 349,me INSHA ALLAH)
349
AZWAAJE MUTAHHARAAT KE SAATH HUSNE MU'AASHARAT
Azwaaje mutahharaat agarche saari duniya ki aurton me behtareen aur Allah ki taraf se apne rasul ki rafaaqat ke liye muntakhab aurten thi,
Lekin thi to aurten hi, is liye unme bhi aurton ki fitari kamzoriyaan kisi na kisi darajah me maujood thi aur unka izhaar bhi kabhi kabhi ho jaata tha,
(Allah unke darajaat buland farmae)
Lekin Aap ki jaanib se hamesha darguzar aur husne suluk ka muamala hi hota tha,
Yahaan tak ke Aap ki biwiyaan Aap   se din bhar naaraaz rehti aur Aap hilm (bardasht) aur muafi ka muamalah farmaate.
BUKHAARI,KITAABUNNIKAAH
350
AZWAAJE MUTAHHARAAT KE SAATH HUSNE MU'AASHARAT
Ek martaba Hz. Aaishah rd. Rasulullah se naaraaz ho kar buland aawaz se baaten kar rahi thi,
Ittefaakan unke waalid Hz. AbuBakra rd. aa gaye aur Hz. Aaishah rd. ko sarzanish (pitaai) karni chaahi:(ke) Tu Allah ke Rasul se chilla kar bolti hai,
Magar Aap ne hi unko bachaa liya.
ABU DAWOOD, KITAABUL ADAB, BAAB FIL MAZAAH
Allah ke fazlo karam aur ehsaan se aaj 350 Bikhre Moti Muqammal huwe.
351
AZWAAJE MUTAHHARAAT KE SAATH HUSNE MU'AASHARAT
Ek baar Nabi e kareem  ne Hz. Aaishah rd. se farmaya
Jab tum mujh se naaraaz hoti ho tab mujhe pataa chal jaataa hai aur jab raazi hoti ho tab bhi ma'alum ho jaataa hai
Unhone arz kiya woh kaise ?
Aap صلی الله عليه وسلم ne farmaya ke jab tum raazi hoti ho to kehti ho ke Muhammad ke Rab ki qasam ! aur jab naaraaz hoti ho to kehti ho Ibraahim ke Rab ki qasam
Hz. Aaishah rd. ne arz kiya ay Allah ke rasul ! me sirf naam lene ki had tak naaraaz hoti hun dil me naaraaz nahin hoti.
SAHIH MUSLIM
352
AAP    NE HZ. AAISHAH SIDDIQAH RD. SE FARMAYA KE
"HISAAB BARAABAR HO GAYA"
Biwiyon ke saath husne suluk aur lutf va karam ke aise waaqiaat hadis ki kitaabon me zikr kiye jaate hai ke Rasulullah صلی الله عليه وسلم se agar saabit na ho to log shaayad apni shaan-e-buzurgi ke khilaaf samajhe.
Maslan hadis ki kitaabon me Aap صلی الله عليه وسلم ka aur Hz. Aaishah Siddiqah rd. ka ek ajeebo garib waaqia mazkur hai.
Ek safar me Aap ke aur Hz. Aaishah Siddiqah rd. ke darmiyaan paidal daud ka muqabalah hua.
Hz. Aaishah Siddiqah rd. jeet gayin, fir kabhi safar me dobaarah aisa hi muqaabalah hua aur abki baar ummul mu'aminin haar gayin.
Aap صلی الله عليه وسلم ne farmaya:
Aaishah ! hisaab baraabar ho gaya.
353
Hz. Aaishah Siddiqah rd. chunke kam-umari hi me Aap صلی الله عليه وسلم ke nikaah me aa gayi thi, isliye kam-umari ke shauk aur takaaze abhi baaki the.
Aap صلى الله علىه وسلم unki dil-joi ke liye unke shauk aur khwahishaat ko poora karne ka bhi lihaaz rakhte the.
Unki saheliyan Aap صلی الله عليه وسلم ke yahaan aa kar khelti aur gaati thi, aur Aap ﷺ ki taraf se uski ijaazat hoti thi,
Balki agar saheliyon ko Aap صلى الله عليه وسلم ki wajah se khelne me takalluf hota to Aap ﷺ khud baahir tashrif le jaate aur un ladkiyon ko Hz. Aaishah Siddiqah rd. ke paas bhej dete.....
(baaki msg 354 me INSHA ALLAH)
354
(msg 353 se
aage)
Unke (Hz. Aaishah Siddiqah rd.) ke shauk ko poora karne ke silsilah ka ek waqiah hadis ki muta'addad kitabon me marvi hai ke
Ek martaba eid ke din Aap ﷺ ghar ke saamne masjid e nabavi ke sahan me kuchh habshi log nezabaaji ka muzaahirah kar rahe the,
Hz. Aaishah Siddiqah rd. ko uske dekhne ka shauk hua,
Aap ﷺ ne unko yeh khel dikhaane ka ehtimaam is tarah farmaya ke khud darwaza par khade ho gaye aur unko apne pichhe (gaaliban pardah ke khayaal se) Hz. Aaishah Siddiqah rd. ko khadaa kar liya,
Aur woh Aap ﷺ ki aad me  khade ho kar Aap ﷺ ke kandhe aur kaan ke darmiyaan se kaafi der tak khel dekhti rahin aur Aap ﷺ  unke khayaal se musalsal khade rahe.
BUKAARI, KITAABUS SALAAT, MUSLIM KITAABUL EIDEIN,
BAABUR RUKHSATI FIL LA'AB YAUMUL EID
355
(msg 354 se aage)
Biwiyon ke saath husne suluk aur unka dil khush karne ki yeh a'ala misaalen hai.
Unka ittiba'a bhi ittiba'a e sunnat hi hai aur usme un logo ke liye khaas sabaq hai jinke nazdik yeh tarze amal buzurgi aur buland maqaami ke munaafi hai.
Rasulullah صلی الله عليه وسلم ki sirat me tamaam har tarah ke tafakkurat aur nubuvvat ki azeem zimmedariyon ke baavajud woh latif ehsaasaat va jazbaat jalvah reiz the jo ek moatadil insaani fitrat ka takaazah hai.
Aap ﷺ apne rishteron aur ghar walo se muhabbat va ta'alluk khaatir me bhi ek qaabile taklid namunah the.
(baaki msg 356 me INSHA ALLAH)
356
(msg 355 se aage)
Hz. Khadijah rd. se Aap ﷺ ko be-intiha muhabbat thi,
Ghar me koi jaanwar zabah karte to uska kuchh hissa Hz. Khadijah rd. ki saheliyon ke paas bhejte .
Aap صلی الله عليه وسلم unke intikaal ke baad ba-kasrat unko yaad karte, yahaan tak ke dusri azvaaje mutahharaat ko un per rashk aata.
Ek martaba Hz. Aaishah rd. ne is tarah ka kuchh izhaar kar diya.
Aap صلی الله عليه وسلم ne farmaya: khuda ne mujhko unki muhabbat di hai.
Muslim,
kitaab fazaaile sahaba,baab Khadijah rd.
Hz. Khadijah rd. ke rishtedaar milne aate to Aap ﷺ badi khushi ka izhaar farmate,
Digar azvaaje mutahharaat se bhi Aap صلی الله عليه وسلم bahot muhabbat farmaate.
Hz. Aaishah Siddiqah rd. ki gair-ma'amuli zahaanat va ilmi mijaaz aur deeni basirat ki vajah se khaas ta'alluk tha.
357
BACHCHON SE MUHABBAT AUR SHAFAKKAT
Ghar me bachche ab to tavajjoh ke laaik samjhe jaate hai,
Lekin (khususan zamaana e jaahiliyat me) to bilkul hi unko kaabile tavajjoh aur laaike iltifaat nahin samajha jaata tha.
Lekin Rasulullah صلی الله عليه وسلم ne bachcho ko bhi apni khaas rahmato se navaaza aur is silsile me apne qaul va amal se aisa namunah paish farmaya jiski misaal puri insaani taarikh me nahin milti hai.
Aap صلی الله عليه وسلم ne bachcho ke muta'allik farmaya ke yeh Allah ki ne'amat hai unki ta'alim va tarbiyat aur unko husne adab ke saath muttasif karna maa-baap ki zimmedaari hai,
Bachcho ka haq yeh bhi hai ke vaalidein aur ghar ke dusre badey unke saath shafaqqat aur muhabbat ka muamalah karen.
358
BACHCHON SE MUHABBAT AUR SHAFAQQAT
Aap صلی الله عليه وسلم ne bachcho ke muta'allik farmaya ke yeh Allah ki ne'amat hai unki ta'alim va tarbiyat aur unko husne adab ke saath muttasif karna maa-baap ki zimmedaari hai,
Bachcho ka haq yeh bhi hai ke vaalidein aur ghar ke dusre bade unke saath shafaqqat aur muhabbat ka muamalah karen.
Bachcho me agar ladkiyan hai to unke saath husne suluk aur bartaav me kisi qism ki tafrik na barte.
359
BACHCHON SE MUHABBAT AUR SHAFAQQAT
Khud Aap صلی الله عليه وسلم ka amal bhi apne ghar ke bachchon ke saath aur bachchiyon ke baare me aisa hi tha.
Aap صلی الله عليه وسلم ko apni betiyon se gair ma'amuli muhabbat thi aur unke saath sirf shafaqqat hi nahin ikraam ka muamala bhi farmate the.
Aap صلی الله عليه وسلم  ki lakhte jigar Hz. Fatima zohra rd. ke baare me hadis ki kitaabo me yeh waqia mazkoor hai ke jab woh Rasulullah صلی الله عليه وسلم ki khidmat me haazir hoti thi to Aap ﷺ paish kadami farma kar (aage badhkar) unka istikbaal karte aur unko apni jagah bithate.
Muslim,kitaabul fazqail,baab fazle Faatimah
360
BACHCHON SE MUHABBAT AUR SHAFAQQAT
(msg 359 se aage)
Unke (hz. Fatima rd. ke) fazaail ke baare me Rasulullah صلی الله عليه وسلم se bahot se akwaal nakal kiye gaye hai.
Dusri saahab zaadiyon ke saath bhi Aap ﷺ ka muamala isi tarah ka tha aur unke muta'allik bhi Aap ke ikraam va shafaqqat ka zikr hadis ki kitaabon me milta hai....
(baaki msg 361 me INSHA ALLAH)
361
BACHCHON KE SAATH MUHABBAT AUR SHAFAQQAT
(msg 360 se aage)
Ghar ke chhote bachchon ke saath Aap صلی الله عليه وسلم ka muamala nihaayat pyar va muhabbat aur shafaqqat ka tha (aur yahi meayaar e kamaal hai).
Aap ﷺ  ke dono navaase Hz. Hasan rd. aur Husain rd. Aap  ﷺ hi ki god me pale hai,
Nubuvvat ki saari zimmedariyon ke baavajud Aap ﷺ unki zaraa bhi haqtalfi na farmate the.
Unko god me lete, apne kandhon par sawaar karte, unko pyar karte,unko sunghte aur mustakbil me unko haasil hone waale kamaalaat ka bhi zikr karte, neez unko dua'en detey, apne saath sawaari par sawaar karte.
Tirmizi baab fi rahmatil walad
Aap ﷺ Kabhi farmaate
tum dono mere guldaste ho.
Bukhaari va Tirmizi, kitaabul manaakib Hasan va Husain rd.
362
BACHCHON KE SAATH MUHABBAT AUR SHAFAQQAT
(msg 361 se aage)
Ek sahaabi Hz. Aqra'a rd. ne ek martaba Aap صلی الله عليه وسلم ko dekha ke Aap ﷺ apne navaase Hz. Hasan rd. ko bosah le rahe hai
Unhone arz kiya: Ay Allah ke Rasul ! ﷺ  mere das 10 betey hain, mene kabhi bhi unka bosah nahin liya.
Aap صلی الله عليه وسلم ne farmaaya: jo raham nahin karta us par Allah ki taraf se raham nahin kiyaa jaata.
Sahih Bukhaari, kitaabul adab,
baab rahmatul walad
363
BACHCHON SE MUHABBAT AUR SHAFAQQAT
Yaani bachchon se pyar karna bhi Rahmate Khudavandi ke husul ka zariah hai.
Hazrate Hasanain rd. ke alaavah Aap ka muamala darajah ba darajah khaandaan ke digar bachchon ke saath muhabbat va shafaqqat ka hi rahaa hai.
Ek martaba Aap صلی عليه وسلم khutbah de rahe the ke Hazraate Hasanain rd. ghar se nikal aaye, nayaa nayaa chalna shuru'a kiya tha, qadam ladkhada rahe the, muhabbat ke josh me Aap صلی الله عليه وسلم se ruka na jaa sakaa, Aap darmiyaane khutbah mimbar se utare aur badh kar unko gaud me utha liya.
Fir farmaya: Allah ne sach kahaa hai: Aulaad insaan ki kamzori hai.
Mene dekha, yeh dono apne kapadon me ulajh kar ladkhada rahe hai, mujhse sabra na hua aur mene darmiyaane khutbah hi utarkar unko gaud me le liya.
Nasaai kitaabul jum'ah, baab e nuzulul imaam
364
BACHCHON SE MUHABBAT AUR SHAFAQQAT
Kabhi aisa bhi hua ke darmiyane namaaz koi navaasa ya navaasi aakar kandhe ya pith per sawaar ho gaya, Aap ne namaaz jaari rakhkhi, jab ruku'a ya sajadah kiya to utaar diya aur fir utha liya.
Malaahiz ho, Bukhari kitaabul adab, baab rahmatul walad, aur Musnade Ahmad, jild 3, safaa 493-494, Nasaai kitaabe salaat
Aulaad se Aap صلی الله عليه وسلم ko badi muhabbat thi.
Haz. Anas rd. farmaate hai ke mene Rasulullah صلی عليه وسلم se ziyada aulaad ke saath rahamdil VA shafiq shakhs nahin dekha.
Muslim kitaabul fazaail, baabe rahmatuhu Alayhissalaam, VA tavaazu'a
365
BACHCHON SE MUHABBAT AUR SHAFAQQAT
Aur agar unko (bachchon ko) taklif pahonchati to Aap صلی الله عليه وسلم  betaab ho jaate,
Ek martaba khule aam kahaa:
Faatimah ! (rd.) meri hai, me Faatimah (rd.) ka hun, Faatimah (rd.) ki taklif meri taklif hai.
Muslim Tirmizi,
baab fazle Faatimah
Gazvah e badar me Aap صلی الله عليه وسلم ke daamaad Hz. Zainab rd. ke shauhar Abul aas kaidi bane, unke paas fidiyah ki rakam nahin thi,
Unhone Hz. Zainab. rd. ko kehla bheja ke fidiyah ki rakam bhej den,
Hz. Zainab rd. ke paas Hz. Khadijah rd. ka diya huwa ek haar tha, jo unko shaadi me mila tha.....
..........
(baaki msg 366 me INSHA ALLAH)
366
BACHCHON SE MUHABBAT AUR SHAFAQQAT
(msg 365 se aage)
Jab nakad rakam puri na hui to unhone apne gale ka haar bhi utaar kar bhej diya.
Aap Hazrat صلی الله عليه وسلم ke saamne jab woh haar aaya to najaane kya kya yaaden nazar ke saamne ghoom gayi
Aap صلی الله عليه وسلم betaab ho kar ro pade. Bahot narmi taari ho gayi,
Sahaaba se farmaya: Agar tumhaari marzi ho to beti ko maa ki yaadgaar waapas kar dun.
Sahaaba rd. ne razaamandi zaahir ki aur woh haar waapas kar diya.
Abu dawood,
kitaabul jihaad,
baab feedaaul aseer bil maal.
367
BACHCHON SE MUHABBAT AUR SHAFAQQAT
Aap صلی الله عليه وسلم ke saahab zaadah Hz. Ibrahim rd. madinah se kuchh door avaali me apni vaalidah ke saath rehte the.
Aap صلی الله عليه وسلم sahaaba ke saath wahaan jaate rehte aur bachche ko dekh kar aate.
Allah ki taqadeer ke unka bachpan hi me intikaal ho gaya, jab ke Aap ﷺ badi umar ko pahonch chuke the, aur Hz. Ibraahim rd.akele narina aulaad the.
Aap صلی الله عليه وسلم intikaal ke waqt pahonch gaye, bachche ne is haal me dam toda ke uska sar Aap ﷺ ki goud me tha aur Aap ﷺ ki aankhe shiddate gam se jaari thi.....
(baaki msg 368 me INSHA ALLAH)
368
[msg 367 se aagey]
Magar us waqt bhi Muhammad  ﷺ Bashar ke sath Nabi bhi the, is haal me aap ﷺ ko Allah ki raza ka khyal tha, purey sabr ke sath zaban se ye imaan afroz kalimat nikle :
ان العین تدمع والقلب یحزن ولا نقول الا ما یرضی بہ ربنا وانا بفراقک یا ابراہیم لمحزونون
Bukhari kitabul janaiz
"Aankh aansu baha rahi hai, dil gamgeen hai, magar sivaye is baat ke jo Allah ko pasand ho hum kuchh nahi keh sakte,
Bakhuda ! Ibrahim !
Tumhari judaai se hum bahot gamgeen hai"
369
KHAADIMON (servants) KE SATH AAP ﷺ KA BARTAV
Ghar ke logon me sab se ziyada kamzor position mulazim ya khaadim pesha logon ki hoti hai aur agar ye log gulam ya baandi ho tab to unki bechargi aur kasmpursi ki koi had aur inteha hi nahi rehti,
zamana e jahiliyat me unki haalat jaanwaron se bhi badtar hoti thi,
Rasulullah ﷺ ne unko is zaleel maqaam se uthaa kar aazadon ke takreeban barabar makaam diya,
Gulamon ke maaliko ko mukhatab ho kar farmaya :
.......
[baaqi msg 370 me InshaAllah]
370
(msg 369 se aage)
Aap ﷺ ne Gulaamon ke maaliko ko mukhaatab ho kar farmaya :
Yeh tumhare bhai hai, Allah ne unko tumhari milkiyyat me de diya hai,
Maaliko ki zimmedaari hai ke apne gulaamon ke saath nihayat darjah ka husne sulook kare,
Jo khud khaaye wo hi unko bhi khilayen, jo khud pehne wohi unko bhi pehnaye,
Unki taakat se ziyadah ka bojh un par na daale, aur agar kisi wajah se koi mushkil kaam unke supurd kare to khud bhi us kaam me sharik ho jaye aur unki madad kare.
Bukhari,
Kitabul imaan.
371
KHAADIMON (servants) KE SATH AAP ﷺ KA BARTAV
Gulamo ke saath husne sulook aur unke huqooq ki adaaygi ke barey me aap ﷺ ki taakeed aur khud Aap  ke tarze amal ne sahaaba e kiraam rd. ke yahaan mahmood wa ayaaz ka farq baaqi na rehne diya tha,
Aap ﷺ ne apne hazrat zaid ki shaadi apni fufizaad bahan hz. Zainab rd. se kar di thi, wo aap ke aazad karda gulaam hi the,
Aap unse aur unke saahabzada Haz. Usaama rd. se aisi shafaqqat wa muhabbat ka muamala farmate the ke digar sahaaba un dono ko "Mehboob e rasul" ke laqab se yaad karte the.
(Baaqi msg 372 me InshaAllah)
372
KHADIMON ( servants) KE SATH AAP ﷺ KA BARTAAV
(Msg 371 se aagey)
Ek martaba ek khaas mas'ale me sahaaba e kiraam  ne Aap ﷺ se sifarish karni chaahi,
Magar ro'ab ki wajah se aisa nahin kar paa rahe the,
Aapas me mashwera se kahaa gaya ke ye sifarish bas Usamah rd. hi kar sakte hai, jo Rasulullah ﷺ ke mehboob bhi hai aur MehboobZaade  (Mehboob ke betey) bhi.
Bukhari,
Kitaab ahaadisul anbiya.
373
KHADIMON ( servants) KE SATH AAP ﷺ KA BARTAAV
Aap ﷺ ka ma'mul tha ke jo gulaam bhi aap ﷺ ke paas aata usko aap fauran aazad kar dete, wo aazad ho jata lekin aap ke ehsaan wa karam ki wajah se qaid se aazad nahin ho sakta tha,
Hz. Zaid rd. ko aap ﷺ ne aazad kar diya tha, unke baap unko lene ke liye aaye lekin Allah ke Rasul ﷺ ki muhabbat wa ta'alluk ne unko jaane nahi diya.
Aap ﷺ ne umr bhar kisi aurat ya khaadim par haath nahin uthaya.
Shamail e Tirmizee
374
KHADIMON ( servants) KE SATH AAP ﷺ KA BARTAAV
Hazrat Anas Rd. Aap صلی الله عليه وسلم ke khaadim e khaas the,
Kehte hai ke :
meine 10 saal lagaataar aap ﷺ ki khidmat ki, Aap ne ek martaba bhi mujh se Uff tak nahin kahaa, aur na kabhi ye kahaa ke aisa kyun kiya ? Ya aisa kyun nahin kiya.
Bukhari,
Kitabul adab
375
RASULULLAH صلی الله عليه وسلم ke MA'MULAAT
Rasulullah ﷺ jo waqt apne ghar me guzarte the, uske aap ne 3 hisse kar liye the,
Ek hissa Allah Ta'ala ki ibaadat ke liye tha,
Dursra hissa ghar walon ke huqooq ki adaaygi ke liye tha,
Teesra hissa apne aaram wa raahat ke liye tha,
Fir is teesre hisse me bhi jo apne raahat wa aaram ke liye tha usme Aap ﷺ . .. ....
(Baaqi msg 376 me InshaAllah)
376
RASULULLAH صلی الله عليه وسلم ke MA'MULAAT
(msg 375 se aagey)
Fir is teesre hisse me bhi jo apne raahat wa aaram ke liye tha aap apne ummatiyon ko bhi sharik farma liya karte the,
Aur uski surat ye hoti thi ke us waqt khawaas sahaba e kiraam ko hazri ki ijazat hoti thi, aur unke zariyah  uloom wa ma'arif awaam tak pohchate the,
Is tarah agar che ye waqt umumi mulakat ka to na tha lekin uske faiz se aam log bhi mehrum na rehte the,
Khawaas sahaba e kiraam us waqt me .. ... ....
(Baaqi msg 377 me InshaAllah)
377
(Msg 376 se aagey)
RASULULLAH صلی الله عليه وسلم ke MA'MULAAT
Khawaas sahaba e kiraam us waqt me apne aur dusron ke masaail le kar hazir hote,
Aur Aap ﷺ un masail ko hal farmate the, ke jo shakhs kisi bhi wajah se apni zarurat mujh se na keh sakta ho, aap hazraat uski haajat wa zarurat mujh tak pohoncha diyaa kare,
Aur yeh bhi farmate the ke is kaara e khair ke badle Allah Ta'ala usko saabit qadam rakhega.
Shamaile Tirmizee
378
RASULULLAH صلی الله عليه وسلم KE MA'MULAAT
Namaze asar ke baad aap ﷺ ummahatul mu'amineen ke yahaan tashrif le jate aur sab se kheriyat daryaft karte
Sharhul mawahib,
Raat ke ma'mulaat hadis ki kitaabon me tafsil se aaye hai,
Isha ke baad azwaje mutahharaat me jiski baari hoti, saari azwaje mutahharaat wahaan jamaa hoti aur kuchh der majlis rehti.
Abu Dawood
379
RASULULLAH صلی الله عليه وسلم KE MA'MULAAT
Isha ke baad der tak jaagna Aap ﷺ ko naapasand tha, lekin agar kabhi koi muamala mashwera talab hota to aap akaabeer sahaba se us waqt mashwarah karte.
Tirmizee
Aadhi raat ibaadat farmate,
Haz. Anas rd. farmate hai ke Allah ke Rasul ﷺ ko koi agar raat me sote dekhna chaahta to dekh leta, aur agar namaz padhte dekhna chaahta to dekh leta.
380
NABI ﷺ KE GHAR KA ZAAHIDAANA MAAHOL
Rasulullah ﷺ ko apne baal-bachchon se kaamil muhabbat thi, aur Aap ﷺ unka pura pura khayaal rakhte the,
Uska takaazah yeh ho sakta tha ke Aap khud tangi wa pareshani ke saath guzar awqaat kar lete magar apne ghar waalon ke liye to kam az kam rifahiyat (bhalaai) aur aaraam ke intezamat kar hi dete,
(Baaqi msg 381 me InshaAllah)
381
NABI ﷺ KE GHAR KA ZAAHIDAANA MAAHOL
(Msg 380 se aagey)
Insaan ke liye khud pareshaniyan bardasht karna aasan hota hai, magar apne ghar wale aur bachchon ke chehron par wo fakr ke saaye nahi dekh sakta,
Lekin Aap ﷺ ka tarze amal is silsile me bilkul mumtaz aur Aap ﷺ ki shaan e nubuwwat ke mutabik hai,
Aap ﷺ ke ghar ka maahol aur umumi nakshaa waisa hi tha jo :
اللہم لا عیش الا عیش الآخرۃ
الدنیا ملعونۃ و ملعون ما فیہا الا ذکر اللہ وماوالاہ
(Yane asal zindagi to aakhirat ki zindagi hai, aur rahi duniya, to ye la'anati hai, siwaye un chizon ke jinka Allah se kuchh ta'alluq hai
382
NABI ﷺ KE GHAR KA ZAAHIDAANA MAAHOL
Aap ﷺ ne kabhi iski fikr nahin ki ke aap ke ghar walon ko duniya ki zindagi me rifahiyat (aaram) haasil ho,
Aap ﷺ yeh duaa aksar farmaya karte the ke :
اللہم ارزق آل محمد قوتا
Bukhari
"Ay Allah ! Muhammad ke ghar walon ko baqadre zarurat rizq ataa farma dijiye"
Sallallahu Alayhi Wasallam
383
NABI ﷺ KE GHAR KA ZAAHIDAANA MAAHOL
Ummul Mu'aminin Hz. Ayesha rd. jo aap ﷺ ko intehaee mehboob thi, farmati hai ke :
Hamaare ghar me kaee kaee din chulha jalne ki naubat nahin aati thi,
Puchha gaya :
Ummul mu'aminin rd. Fir kaise basar hoti thi?
Kahaa :
Bas khajur aur paani se.
Bukhari
Ek aur riwaayat me farmati hai ke:
Kabhi humko do waqt lagaataar Bakaaida khana nahin mila, ek waqt zarur sirf khajur par basar karte.
Bukhari
384
NABI ﷺ KE GHAR KA ZAAHIDAANA MAAHOL
Azwazje Mutahharaat ke paas sirf 1 hi joda kapda rehta.
Bukhari, Kitabul Haiz
Ghar me Aata chhane bagair pakta, kabhi chapaati pakne ki naubat nahi aati, Raaton ko chirag nahi jalte the.
Bukhari, KitabulSsalat
Aap ﷺ ke bistar ki ye haalat hoti ke aisi chatai par lette ke jism mubarak par uske nishaan pad jaate.
Tirmizee,  KitabuZzahad
Kabhi chamde ke ander bhusa bhar kar gadda ban jata, bas yehi bistar tha.
Bukhari
385
NABI ﷺ KE GHAR KA ZAAHIDAANA MAAHOL
Ek martaba Hz. Umar rd. ne Aap ﷺ ke ghar ke ander nazar doudayi to ghar ki kull mata'a chnd kilo Jav aur chamde ke chnd tukde hi nazar aaye,
Rasulullah صلی الله عليه وسلم ki is be-saro saamaan ki zindagi par unka ye fidaayi ro pada,
Arz kiya:
Allah ke Rasul ﷺ !
Aap ka yeh haal hai !!! kaisaro kisraa Allah ke baagi kaise kaise aish lutte hai ?
Aap ﷺ ka chehra surkh ho gayaa aur jalaali shaan ke sath farmaya :
Umar ! kuchh shak hai? Un logon ko saare maze duniya hi me loot lene hai.
Tabkaat ibne sa'ad
386
NABI ﷺ KE GHAR KA ZAAHIDAANA MAAHOL
Nabi sallallahu alayhi wasallam ke ghar ki ta'amir ka yeh haal tha ke ta'amir kachchi int ki thi,
Kuchh hujre khajur ki tattiyon ke the,
Chhat itni nichi ke khade hokar haath lagta,
Chaudaayi 6-7 gaz aur lambaai 10 haath thi,
Darwazon ko qaaide ka pardah bhi mayassar na tha, bosidaa kambal hi daal diya jata tha.
387
NABI ﷺ KE GHAR KA ZAAHIDAANA MAAHOL
Azwazje Mutahharaat bhi is tarze amal par nihaayat qana'at karne wali thi, aur sabro shukr se guzar karti thi,
Jab Allah ki taraf se futuhaat ke baad khaane ki chizen aur maal wa daulat ki kuchh faraawani huyi to unko ummid huyi ke aam insano ki tarah Allah ke Rasul ﷺ apne ghar ke me'ayaar me kuchb behtari laayenge,
Kam az kam 2 waqt ki roti ki had tak to unko bhi ummid thi ke yeh mayassar ho hi jayegi,  aur unhone uska mutalba kiya,
Magar Allah ke Rasul ﷺ ne usko aisa NaaPasand kiya ke ek maah tak ghar ke ander tashrif nahin le gaye,
Aur Allah ki taraf se Aap ko yeh hukm diya gaya ke .. ... ....
(Baaqi msg 388 me InshaAllah)
388
NABI ﷺ KE GHAR KA ZAAHIDAANA MAAHOL
(Msg 387 se aagey)
Aur Allah ki taraf se Aap ko yeh hukm diya gayaa ke Aap apni biwiyon se saaf keh den ke Allah ke Rasul ﷺ ki Rafaaqat to isi haal aur fakro faaqah ke saath hi mumkin hai, is ghar ka to yehi haal rahega,
Agar tum me se kisi ko duniya ki zindagi ki rifaahiyat (aaram) wa zeenat ki talab hai to woh mujh se bahusn wa ba khoobi alag ho sakti hai,
Aur agar tumko Allah ki razaa, Rasule Khuda ki rafaaqat, aur aakhirat ziyada mahbub hai to Allah ne tumhare liye ajre azeem taiyyar kar rakha hai,
Yeh hukm Qur'an majid ki aayat ki shakl me nazil huwa,
(Surah Ahzaab 28,29)
Aap ﷺ ne azwaje mutahharaat ko is faislah se khabardaar kar diya,
Un sab ne bayak zabaan (ek saath) Allah ke Rasul ﷺ ki rafaaqat ko ikhtiyar kiya.
Muslim
KitabuTtalak
(سبحان الله)
389
NABI ﷺ KE GHAR KA ZAAHIDAANA MAAHOL
Fakro zabuhaali us waqt bhi qaayim rahi jab Aap ﷺ ke paas maalo daulat ke dher aakar lagne lage the,
Jis din maal aataa, Aap us waqt tak ghar ke ander tashrif na le jaate jab tak woh taksim na ho jata,
Fidak se kuchh galla anaaj aaya, Haz. Bilal rd. ne woh bech kar woh karz adaa kiya jo ek yahudi se Aap ﷺ ne kisi deenee zarurat ke liye liya tha,
Aap ﷺ ne Haz. Bilal rd. se (jo gharelu umoor ki nigrani karte the) puchha : ke kuchh bachaa to nahin ?
Unhone kaha : kuch bach rahaa hai,
Farmaya : jab tak kuch bachaa rahegaa me ghar ke andar nahin jaa sakta,
Unhone arz kiya : Allah ke Rasul ﷺ kyaa karu ? Koi saaeel bhi to nahin,
Magar Aap ﷺ ne raat masjid me hi basar ki,
qDursre din Haz. Bilal rd. Ne khabar di : Allah ke Rasul ﷺ Allah ne aap ko subukdosh kar diya, yaani jo kuchh tha woh taksim kar diya gayaa,
Aap ﷺ ne Khuda ka shukr adaa kiya aur fir ghar ke andar gaye.
Abu Dawood
(الله اكبر)
390
NABI ﷺ KE GHAR KA ZAAHIDAANA MAAHOL
Haz. Fatimah rd. ke saath Aap ﷺ ko jaisa talluq tha uska tazkirah guzar chuka hai,
Unka yeh haal tha ke ghar ke saare kaam-kaaj karte karte kapde gubaar me at jate,
Chakki chalaane  se haathon me gatte pad gaye the,
Ek mauqe par kahin se kuchh gulaam wa baandiyan aayi, Haz. Ali rd. ne Haz. Fatimah rd. ki yeh haalat Aap ﷺ ko bataayi aur ek khaadimah maangi,
Aap ﷺ ne Haz. Fatimah rd. se farmaya : . .. ....
(Baqi msg 391 me InshaAllah)
391
NABI ﷺ KE GHAR KA ZAAHIDAANA MAAHOL
(Msg 390 se aagey)
Aap ﷺ ne hz. Fatimah rd. se mukhatab ho kar farmaya : Fatima Allah se daro, ghar ka kaam khud karo, Allah ke huqooq wa faraiz adaa karo aur
sote waqt 33 martaba
سبحان الله
33 martaba
الحمد الله
Aur 34 martaba
الله اكبر
Keh kar soya karo, ye tumhare liye baandi se behtar hai,
baaz riwayat me hai ke aap ﷺ ne farmaya : Badar ke yatimon ka haq tum se pehle hai,
dusri riwayat me uska bhi izafa hai ke aap ﷺ ne ye bhi farmaya ke Ahle Suffa ke pet bhuk se chipke ja rahe hai, me tum ko kaise de du.
Abu Dawood
392
AFZAL KOUN ?
Haz. Umar rd. ka ek Tehriree Fatwa
Imaam Ahmed rh. ne kitaabuz zuhd me ek riwaayat nakl ki hai ke
Haz. Umar rd. se ek tehriree fatwa liya gaya ke
Aey amirul mu'amineen, ek wo shakhs jise na-farmani ki khwahish hi na ho aur na koi na-farmani usne ki ho,
aur woh shakhs jisey gunah ki khwahish hai lekin woh bura kaam nahin karta to unme afzal kon hai ?
Aap ne jawab me likha ke : jinhe gunah ki khwahish hoti hai, fir naafarmaniyon se bachte hai, yehi log hai jinke dilon ko Allah Ta'ala ne parhezgari ke liye aazma liya hai, unke liye magfirat hai aur bahot badaa ajaro sawab hai.
Tafsir ibne kaseer, jild 5, safa 143
393
EK NAV-MUSLIM AURAT KI AJEEB KAAR-GUZARI
Me ek American khatoon hun, aur america ke Newyork me paida huyi, meri navjawani ek American ladki hi ki tarah guzri,
Mera ek hi shauq tha, ke America ke azeem shahar ki glamour bhari zindagi me jazbiyat aur dilkashi ki doud me me hissah lu,
Me Florida ke shahar Mayaami ke ek saahili maqaam par rehne lagi, fir saal guzarne lage aur mere ander sukoon aur itminan bajaye badhne ke kam hota gaya,
Meri niswani kashish jis kadar badhti jaati aur jitna me (bazahir) qamiyabiyon ki manzilen tay karti, mere andaruni khalaa aut be-ae'temadi me bhi usi kadar izafa hota jata,
Me ek shadeed kism ki zillat aur hakaarat me apne aap ko dubaa huwa mehsus karti, me fashion ki ghulam ban gayi thi aur mera masraf bas ye tha ke dusron ki aankho aur dilon ko khush karu.
(Baaqi msg 394 me InshaAllah)
394
EK NAV-MUSLIM AURAT KI AJEEB KAAR-GUZARI
(Msg 393 se aagey)
Mera me'ayaar e zindagi jitna uncha hota, mera ae'temad utna hi nicha ho jata, meine un haqaeeq se munh churana chaha, magar woh faraar ke har maud par mujh ko munh chadhane ke liye maujud hote,
Aakhir me apne aap se uktaa gayi, meine nashe ki panaah li, club aur partiyon me jaakar dil behlana chaha, magar sab be-faidah,
Meine roohani murakabon se apni besukooni ka ilaaj karna chaha, jab yeh tadbiren naakam ho gayi to mazhab badle,
Magar marz badhta gaya ju ju dawaa ki.....
(Baaqi msg 395 me InshaAllah)
395
EK NAV-MUSLIM AURAT KI AJEEB KAAR-GUZARI
(Msg 394 se aagey)
Meri andaruni be-ae'temadi ki aag mujhe jalaati ja rahi thi,
Maine dekha ke islam aur islami akdaar wa tehzib ke khilaaf ek khatarnaak aur chaaro taraf hamlaa ho chukaa hai.
Aur fir bad aur badnam "nai salibi  jang" ka bhi ealaan hota hai, ab mujhe islaam naami ek chiz ki taraf tawajjoh hoti hai, ab tak to mere zahan mai islam ke name par sirf chand tasviro ke nukush the, tarpalo mai lipti aurat, biwiyo ko pitte mard, gharo ke pichhle hisse mai zanaan khaane aur dehsat gardi ki duniya.
(Baaqi msg 396 me InshaAllah)
396
EK NAV-MUSLIM AURAT KI AJEEB KAAR-GUZARI
(Msg 395 se aagey)

Me ek samaaji kaarkun (social worker) thi, jo aurton ki aazaadi ki alambardaar aur duniya me logon ki behtar zindagi ke liye kuch karna chahti thi,
Apne is kaam ke silsile me meri mulaqat ek senior kaarkun se huyi, jo is silsile me achchha kaam kar chuka tha, wo bilaa kisi tafriq ke saare insano ke liye insaaf wa falaah ka daayi tha,
Ab mujhe ehsas hua ke saare insano ke liye bhalaa sochna khuloos ke baad hi mumkin hai,
Pehle me sirf chand hi logon ke liye achchha sochti thi, ab me bilaa tafrik har kism ke logon ke huqooq ke barey me sochne lagi,
Achanak.... Ek Din Mere Saamne.... ... .. .
(Baaqi msg 397 me InshaAllah)
397
EK NAV-MUSLIM AURAT KI AJEEB KAAR-GUZARI
(Msg 396 se aagey)

Achaanak ek din mere samne Qur'an e muqaddas aaya, Maghrib ne jiski badi manfi taswir banaa rakhi hai,
Pehle to Qur'an ke usool wa andaaz ne mujhe mutawajjeh kiya, fir usne qaaynaat aur insani zindagi ke haqaaiq aur abd  wa Ma'abood ke (bandey aur Khuda ke) rishtey par jo roshni daali hai usne mujhe mas'hur kar diya,
Meine dekha ke Qur'an ne apni basirat ka mukhaatab baraahe raast Insan aur uski rooh ko banaya hai, aur woh kisi bicholye (panch, fesla karne wala) ya paadri ke bageir insan ko Allah ka mukhaatab banata hai,
Aakhir kaar woh lamha aa gaya jab.... ... .. .
(Baaqi msg 398 me InshaAllah)
398
EK NAV-MUSLIM AURAT KI AJEEB KAAR-GUZARI
(Msg  397se aagey)
Aakhir kaar woh lamhaa aa gayaa jab maine sachchaai ko tasleem kar liya, aur me jis manzil ke liye sarganda (pareshan) thi aur jis sukoon ke  liye betab thi, mujhe yaqeen ho gaya ke woh sirf islam qubul kar ke hi haasil ho sakta hai,
Meri daakhili betabiyon aur iztiraab (pareshani) ka ilaaj sirf imaan se ho sakta hai, aur mere masail ka hal muhimjoi me nahi, amali muslim banne me hai,
Maine ek burqa aur sar aur gardan ko dhakne wala scarf kharid liya, jo ek muslim aurat ka sharaee libaas hai, ab me is islami baawaqaar libaas ke saath un raasto aur un dukaano aur un logon ke saamne se guzarti jinke saamne kuch din pehle mera guzar Shirt aur shaandar magribi libaaso me hota tha,
Sab kuchh wohi hota jo pehle hota tha, bas ek chiz.... ... .. .
(Baaqi msg 399 me InshaAllah)
399
EK NAV-MUSLIM AURAT KI AJEEB KAAR-GUZARI
(Msg 398 se aagey)
Sab kuchh wohi hota jo pehle hota tha, bas ek chiz badli huyi thi, ya'ani me aur mera andaruni itminaan wa sukoon aur khud ae'temadi aur tahaffuz ka ehsaas, jo mujhe pehli baar huwa tha,
Mujhe mehsus hua saari zanziren toot kar bikhar gayi hai, meri gardan ke tauk paash paash ho gaye hai, aur meine aazadi hasil kar li hai,
Me badi khush thi ke in aankho me ab ta'ajjub aur duri ke aasaar the, jo pehle mujh ko aise dekhte the jaise shikari apne shikar ko, aur baaz nanhi chidiya ko,
Hijaab ne mere kandho ke ek badey bojh ko halka kar diya, mujhe ek khaas tarah ki ghulami aur zillat se nikaal liya, ab dusron ke dilon ko lubhaane ke liye me ghanto make-up nahin karti thi, ab me is ghulami se aazad thi,
Abhi me parde me sirf sar aur gardan dhankti aur burqa pahenti, magar.... ... .. .
(Baaqi msg 400 me InshaAllah)
400
EK NAV-MUSLIM AURAT KI AJEEB KAAR-GUZARI
(Msg 399 se aagey)
Abhi me parde me sirf sar aur gardan dhankti aur burqa pahenti, magar mujhe naqaab ki taraf tawazzoh huyi aur woh is liye ke meine dekha ke maghrib ki muslim aurton me naqaab ka riwaaj badhtaa jaa rahaa hai,
Meine apne shauhar se (jin se islam qubul karne ke baad meine nikaah kar liya tha) mashwerah kiya, unki raay thi ke chehra dhankna yane naqaab afzal hai, laazmi nahin, albatta hijaab ya'ani chehre ke alaawah jism dhankna laazim hai,
Abhi tak mera pardah yeh tha ke sirf hath aur chehre ko chhod kar mera puraa jism dhakaa hua hota tha, me ek scarf aur ek dhila lamba gown istemal karti, dedh saal isi tarah guzra,
Fir meine apne shauhar se kahaa ke me chehra bhi dhankna chahti hun, is liye ke mujhe lagta hai ke yeh mere Allah ko ziyaadah raazi karne wala amal hogaa,
Woh mujhe ek dukan par le gaye jahaan meine ek arbi burqa jo sar se paanv tak sab kuchh dhaank detaa hai kharida, jisme sirf aankhe khuli rehti hai, aur kuchh nahin,
HidaayatYaabi ka yeh mera safar jaari tha ke khabren (news) aane shuru hue ke.... ... .. .
(Baaqi msg 401 me InshaAllah)
website developed by
Zakirhusain Abdullah Patel
Remember in Duaa
for any suggestion plz call or whatsapp
+91 98244 80788


401
(Msg 400 se aagey)
HidaayatYaabi ka yeh mera safar jaari tha ke khabren (news) aane shuru hue ke aazadi ke alambardaron aur naam nihaad insaani huquq ke liye kaam karne waalon ne hijaab wa naqaab ke khilaaf muhim chhed di hai,
Koi kehta hai ke hijaab aurat par zulm ki alaamat hai, koi aitraz kar rahaa hai ke yeh ittehaad wa yaqjahti me rukawat ban rahaa hai, aur ab misar se kisi ne yeh kehte hue sur me sur milaya ke yeh pichhdepan ki nishani hai,
Yeh bhi kaisi munaafiqat aur dugla rawaiyya hai ke agar koi hukumat aurton ke libaas ke liye kuchh zaabte banaae to maghrib kehta hai ke yeh insani aazadi ki mukhalifat aur huquqe insani ki khilaafwarzi hai,
Aur agar aurat apne intekhaab se naqaab odhe to aap uski aazadiyon ko salb karte hai, usko ta'alim aur service se mehrum kar dete hai, yeh zurm Sir Tunis aur maraakash jaisi istibdaadi (zulmi) hukumat hi nahin kar rahi hai balke yeh France, Holland, aur Bartaniya me bhi ho raha hai,
Ab me bhi feminist (aurton ke huquq ki haami) hun magar.... ... .. .
(Baaqi msg 402 me InshaAllah)
402
(Msg 401 se aagey)
Ab me bhi feminist (aurton ke huquq ki haami) hun magar ek muslim feminist, jo muslim aurton ko da'awat deti hai ke woh apni imaani zimmedaariyon ko adaa karey, apne shauhar ko ek achchha muslaman banne me madad karey,
Apne bachchon ki is tarah tarbiyat kare ke woh isteqamat ke saath deen par jame aur andheron me bhatak rahi insaaniyat ke liye minara e noor ban jaye,
Meri aap ko da'awat hai ke aap kaara e khair ko laazim pakad le, aur shar se nabard aazma (muqabale ke liye taiyyar) ho jaaye, haq ki aawaaz buland kare aur badee ki mukhaalifat par kamar kas le, Hamare naqaab wa hijaab ke haq ke liye lade aur Allah ko raazi kare,
Me chaahti hun ke hum sab pardah karne waali aurten apni in saari behno ko hijaab ke baarey me bataae, jo bad-qismati se nahin jaanti ke pardah kya mubarak chiz hai,
Hum unko bataayen ke hijaab hum ko itna azeez hai aur hum kyun nihaayat fakhro muhabbat ke saath usko gale se lagaye hue hai, .... ... .. .
(Baaqi msg 403 me InshaAllah)
403
(Msg 402 se aagey)
Me jin muaz'zaz khawatin ko jaanti hun ke unhone sirf hijaab par iktefa nahin kiya, balke naqaab se chehra bhi dhakaa, unme se aksar maghribi nav muslim khawaatin bhi hai,
Unme se kuchh to gair shaadi shuda hai, aksar ko to naqaab ki wajah se masaail bhi paish aate hai, unki society, khaandaan aur ghar ke log unki mukhaalifat karte hai,
Ye aazadaanah intekhab ke haq ko taslim na karne hi ki ek shakl hai, ke muaashre me har taraf se zaraae ablaag ke zariyah se aurton par nange hone aur bhadkile kapde ki had tak dilrubaee ikhtiyar karne ki andhadhundh tablig ki jaaye, aur amalan unko khawahi na khawahi usko ikhtiyar karne par majbur kar diya jaaye,
Mera kehna hai ke aurton ko hijaab ki tehzeeb ko jaanne ka bhi baraabar mauqa diya jana chahiye, taake woh us paak wa pursukoon tehzeeb ki khubiyon ko jaan sake aur unko woh ma'alum ho jo mujhe ma'alum huwa hai,
Me kal tak.... ... .. .
(Baaqi msg 404 me InshaAllah)
404
EK NAV-MUSLIM AURAT KI AJEEB KAAR-GUZARI
(Msg 403 se aagey)
Me kal tak (nange pan) ko hi apni azadi ki alaamat samajhti thi, fir mujh par munkashif hua ke woh ek muqayyad aur majbur aazadi thi, jisne mujh ko khud a'eteraafi aur zaati ae'temad se aari kar diya tha, aur meri rooh ko becheni ki aag me daal diya tha,
Mujhe apne fahash libaas ko utar kar aur maghrib ki dilrubaa tarze zindagi ko chhod kar apne Khaliq ki muarifat wa bandagi wali ek baawaqaar zindagi ko ikhtiyar karne se jo khushi wa itminaan ka ehsaas hua hai me uski koi misaal nahi de sakti, aur khushi mujhe kabhi nahin hoti thi isliye chehra dhakne aur naqaab par mujhe israar hai,
Pardah mera haq hai jo me kisi keemat par nahi chhod sakti, uske liye me lad marungi magar usko kisi keemat pat nahin chhodungi,
(Baaqi msg 405 me InshaAllah)
405
EK NAV-MUSLIM AURAT KI AJEEB KAAR -GUZARI
(Msg 404 se aagey)
Naqaab aaj aurat ki aazadi ki ek baaizzat alaamat hai, jo usko gandi makhluk ki hawash raaniyo ka, toilet paper ki tarah ka saamaan banne se bachaata hai,
Naqaab pahan kar aurat pehchaanti hai ke woh kaun hai...?
Uska maqsad e zindagee kya hai...?
Aur usko apne Khaaliq Allah se kaisa raabtah qaayim karna hai.
Jo aurten islami hijaab ki baawaqaar aur baahayaa tehzeeb ke barey me maghrib ke qadeem ghise pite muta'assibana tasawwurat ki shikar hai, unse me kehti hun ke
"TUMHE PATAA NAHIN TUM KIS AZEEM NE'AMAT SE MEHRUM HO"
Aur tehzeeb ke naamubarak thekedaron aur salibiyon se mera kehna hai ke tum bhi hijaab ko ikhtiyar karo,  usi me tumhari najaat hai.
Maahnaamah Alfurqaan, March san isvi 2007 mutaabik san hijri 1428, safa 33.
406
KHWAB KA BAYAN
1. Achchhe Khwabon ko pasand karna aur un se khush hona.
2. Badon (badey) ka chhote se khwab ma'alum karna.
3. Masjid me khwab ma'alum karna.
4. Masjid me khwab ki ta'abir dena.
5. Ta'abir dete waqt duaa e ma'ashurah ka padhna.
6. Fajar ke baad khwab ki Ta'abir dena.
7. Khwab ki kisi saaleh, saahibur'raay ya ahle Ta'abir se Ta'abir lena.
8. Khwab saaleh ya ahle muhabbat se zikr karna.
9. Achchhe khwab par Alhamdulillah kehna.
10. Bure khwab par Ta'awwuz (Auzubillah) padhna.
11. Pareshankun khwab par namaz padhna.
12. PareshanKun aur burey khwab ka zikr kisi se na karna.
407
KHWAB MA'ALUM KARNA
Hazrat Samurah bin Jundub rd. Kehte hai ke :
Aap ﷺ ki aadate taiyyibah thi ke apne ashaab se bakasrat yeh puchha karte the ke: "tum me se kisi ne khwab me kuchh dekha hai"?
Pas, jo dekhta woh Aap ﷺ ke saamne khwab pesh karta.
Mukhtasaran Bukhari, jild-3, safa-1043
FAIDAH
Mo'amin ka khwab mubashsharate ilaahi aur nubuwwat ka ek juz hai,
Hafiz ibne Hajar rh. ne kaha hai ke, chu ke Aap ﷺ khwab ki Ta'abir bahot umda diya karte the, isliye Aap ﷺ puchha karte the aur Aap ﷺ ka yeh puchhna fajar ki namaz ke baad huwa karta tha.
Bukhari, jild-2, safa-1043
408
KHWAB PAISH KARNA
Hazrat ibne Umar rd. farmate hai ke : jo shakhs khwab dekha karta tha, wo Aap ﷺ ki khidmat me paish karta tha,
Chunanche meine bhi (isi tamanna me ke koi khwab dekhu to Aap ﷺ ki khidmat me paish karun) kahaa : Ey Allah, koi khair ho to hamen bhi dikha, taa ke uski ta'abir huzure paak  ﷺ se ma'alum karun,
Chunanche me soya to khwab dekha.
Mukhtasaran Bukhari, jild-2, safa-1041
409
KHWAB PAISH KARNA
Hazrat ibne Umar rd. farmate hai ke : Ahad e nubuwwat me hazraate sahaba e kiraam rd. me se koi khwab dekhta to aap ﷺ ki khidmat me paish karta.
To aap ﷺ farmate : MashaAllah.
Me nayi umar ka jawaan tha, Nikaah se pehle masjid me soya karta tha, me apne dil se kehta :
Agar tere ander koi bhalaai hoti to tu bhi khwab dekhta.
Ek raat me soyaa to kahaa :
Ey Allah, agar Aap jaante hai ke mujh me koi achchhai hai to mujhe bhi koi khwab dikhaiye.
Musnade tayalisi, jild-1, safa-350,
Bukhari, jild-2, safa-1041
410
KHWAB PASAND KARNA
Abu bakr Shaqfi rd. se riwayat hai ke Nabi e Paak ﷺ ko achchhe khwab bahot pasand the,
Aap ﷺ logon se khwab ke mutalliq puchha karte the, fir uski ta'abir dete the.
Abu Dawood Tayalisee, jild-1, safa-350
411
FAJAR KE BAAD KHWAB MA'ALUM KARNA
Ibnr Zameel Johnee rd. Kehte hai ke : jab Nabi e paak ﷺ fajar ki namaz padh lete to pair nikal kar beth jate (yaane aaraam se) 70 martaba istegfar padhte, farmate ke 70---- 700 ke barabar hai,
Us shakhs me koi bhalai nahin jiske ek din ke guanah 700 se zaaid hon,
Fir logon ki taraf rukh farmate, Aap ﷺ khwab ko bahot pasand farmate, Aap puchhte ke tum me se kisi ne koi khwab dekha hai..?
Chunanche raavi ibne Zameel kehte hai ke Meine apna khwab bayan kiya.
Siyar, safa-411,
Majma-a, jild-6, safa-183
412
FAJAR KE BAAD KHWAB MALUM KARNA
Haz. Abu Hurairah rd. se riwayat hai ke Aap ﷺ jab fajar ki namaz se faarig hote to puchhte ke tum me se kisi ne khwab dekha hai..? Aur farmate ke : Mere baad nubuwwat baaqi nahin rahegi, magar achchhe khwab.
Abu Dawood, safa-584
FAIDAH
Aap ﷺ ki aadate tayyibah thi ke fajar ki jama'at se faarig hokar khwab ma'alum farmate, kabhi hazraate sahaaba khwab bayan karte, kabhi aap ﷺ apna khwab hazraate sahaaba ke samne bayaan karte.
413
KHWAB KI TA'ABIR SUBAH KI NAMAZ KE BAAD DENA
Haz. Samurah rd. Farmate hai ke aap ﷺ basaa awqaat apne ashaab se puchhte ke koi khwab dekha hai ?
Pas, jiske barey me Allah paak chahta (Jisko Allah paak khwab dikhata) khwab zikr karey, wo zikr karta aur Aap ﷺ uski ta'abir dete.
Bukhari Mukhtasaran jild-2, safa-1043
Aap ﷺ ki aadate taiyyibah thi ke Aap subah ki namaz ke baad khwab ma'alum karte aur usi waqt ta'abir dete.
414
KHWAB KI TA'ABIR SUBAH KI NAMAZ KE BAAD DENA
Subah namaz ke baad hi khwab ki Ta'abir deni sunnat aur behtar hai,
Chunanche imaam bukhari rh. ne sahih bukhari me ek baab qaeem kiya hai.
Allamah ayni rh. Ne umdatul qari me aur hafiz ibne Hajar ne fat'hul baari me likha hai ke suraj tulu'a hone se pehle khwab ki ta'abir deni mustahab hai,
Namaze subah ke waqt khwab aur uski ta'abir is wajah se behtar hai ke, (subah ka waqt) raat ke kareeb hone ki wajah se khwab mehfuz hoga, taaza hone ki wajah se jahan (dimaag) se khwab ya uske ajza gaayab na hona, niz aur bhi dusri maslehaten hai.
415
PEHLI TA'ABIR KA AETEBAR
Haz. Anas bin  malik rd. se marvi hai ke Aap ﷺ ne farmaya : jo pehli ta'abir de uska aetebar  hai.
(Ibne mazah, safa-279)
Faidah
Jisse awwalan khwab bayan karey aur ta'abir le usi ta'abir ka aetebar hai, isi liye hukm hai ke har ek se khwab bayan na karey
Hafiz ibne hajar ne zikr kiya hai ke musnad e abdur razzaq me abu kulaba ka qaul hai ke jaisi ta'abir di jaye waqea hoti hai.
(Fat'hul baari, jild-12, safa 432)
416
KHWAB KI TA'ABIR DETE AUR SUNTE WAQT KYA PADHE ?
Haz. Zahhaq Johni rd. se marvi hai ke Aap ﷺ ne khwab sunne ke waqt padha :
خیر تلقاہ و شر توقاہ و خیر لنا و شر لاعدائنا والحمدللہ رب العالمین
(Seerat,  jild-7, safa-411)
"Tum ko bhalai haasil ho, burai se mehfuz raho,  bhalai hamare liye, buraai dusron ke liye, ta'rif Allah ke liye jo har aalam ka murabbi hai
417
Hazrat abu saeed khudri rd. Farmate hai ke
Meine nabi e paak صلی الله عليه وسلم ko ye farmate huwe suna ke
Achchhe khwab nubuwwat ke 46 hisso me se ek hissa hai
Bukhari 2 safa 1035
Hazrat abu hurairah rd. Ki riwayat me hai ke Aap  صلی اللہ علیہ وسلم  ne farmaya
Mo'amin ka khwab nubuwwat ka 46 wa hissa hai
Bukhari 2 safa 1035
FAIDAH
msg 419 me insha Allah...
418
msg 417 se aage
Faaidah
Hafiz ibne hajar rh.  ne khattabi ke hawale se bayan kiya hai ke achchha khwab nubuwwat ka 46 wa hissa is tarah hai ke
Huzure akram  صلی اللہ علیہ وسلم nubuwwat se pehle 6 maah tak achche khwab dekhte rahe, uske baad wahee ka silsila shuru'a hua jo 23 saal tak jaari raha, aur 1 saal ke 6 mahino ke aitbaar se 2 hisse hote hai, pas 23 saal ke kull 46 hisse huwe,
Is aitbar se 6 maah jo achchhe khwab dekhne ka zamana hai wo  nubuwwat ka 46 wa hissa ban gaya,
Aur baaz hazraat ne yeh kahaa hai ke hamen uski haqeeqat aur matlab malum nahin,  Allah ta'ala aur uske rasul    صلی اللہ علیہ وسلم hi behtar jaante hai
419
ACHCHHA KHWAB MO'AMIN KE LIYE BASHARAT HAI
Haz. Abu Hurairah rd. farmate hai ke :
Nabi e paak   صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya :
Nubuwwat me mubashsharat ke alawa kuchh baaqi nahin.
Puchha ke mubashsharat kya hai?
Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya achchhe khwab.
Bukhari 2 safa 1035
Hazrat ibne umar rd. Ki raiwayat hai ke rasule paak صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya
Risalat aur nubuwwat munqate'a ho gayj, na mere baad koi rasul hai na nabi, albatta mubashshrat hai,
Puchha ke wo mubashsharat kya hai?
Farmaya: Achchhe khwab jise nek mo"amin dekhta hai, ya dikhaya jata hai.
Tirmizee jild~2 safa~51
Abu dawood
Ahmed
Seerat jild~2, safa 408
Ibne maajah safa~278
420
Ubadah bin saamit rd. de riwayat hai ke unho e nabi e paak  صلی اللہ علیہ وسلم  se puchha ke Allah ta'ala ka qaul
لہم البشریٰ فی الحیاۃ الدنیا
(Unke liye duniya ki zindagee me basharat)
Ka matlab kya hai?
Aap صلى الله علیہ وسلم  ne farmaya: woh achche khwab hai jinko mo'amin dekhta hai ya dikhaya jata hai
Ibne maajah safa 278
Hazrat Abu darda rd. se mankul hai ke Aap ﷺ ne farmaya: Achchhe khwab mo'amin ke liye duniya me basharat hai.
Tabrani
Kanzul ummal jild 15 safa 393
Wahee ke khatm aur khwab ke baaqi rehne ka matlab hafiz ibne hajar rh. ne yeh zikr kiya hai ke
meri (ya'ani nabi e kareem صلی اللہ علیہ وسلم) ki wafat se wahee ka silsila jisse aaindah hone wale umur ka ilm ho yeh to munqate'a ho gaya, albatta sachche khwab jin se hone wali baaton ka ilm ho sakta hai baaqi hai.
421
ACHCHA KHWAB DEKHE TO KYAA KAREY?
Abu saeed khudri rd. Farmate hai ke aap ﷺ ne farmaya:
Jab tum me se koi pasandidah khwab dekhe to Allah ki jaanib se hai, us par
"الحمد الله"
kahe aur usey bayan karey.
Bukhari, safa 1043
Ya'ani us ne'amat par shukr adaa karey ke Allah ta'ala ne usey nubuwwat ki ek khair se nawaza.
422
KHWAB KI NOIYYAT AUR USKI QISMEN
Hazrat Abu Katada rd. farmate hai ke meine aap ﷺ ko ye farmate huwe suna ke khwab ki 3 noiyyaten hai.
1. Nafs wa Zahan ki baaten,
2. Jo shaytan ki jaanib se ho, pas jab napasandidah khwab dekhe to shaytan se panaah maage, aur baai jaanib thutkaar de (thuke) uske baad koi nuksan na hoga.
3. Woh jo Khuda ta'ala ki taraf se basharat ho, aur mo'amin ka khwab nubuwwat ka 46 wa hissah hai, usey kisi khair khwah saahiburray ke saamne paish karey ke wo achchhi ta'abir de aur achchhi baat kahe.
Abu ishhaq, sirat jild-7, safa-407
423
KHWAB KI NOIYYAT AUR USKI QISMEN
Hazrat Auf bin maalik rd. Aap ﷺ se nakl farmate huwe kehte hai ke Aap ﷺ ne farmaya :
Khwab 3 qism ke hote hai, baaz woh hote hai jo shayaatin ki taraf se khouf daalne wale hote hai, taake wo insan ko ranzidah karey,
Baaz woh hote hai jisko insan bedaari me khyal karta hai aur sochta hai,
Aur baaz woh hai jo nubuwwat ka 46 wa hissa hai (yaane sachcha khwab jo Khuda ki jaanib se hai)
ibne majah, safa 279
FAIDAH
Basaa awqaat insan bedaari me (jaagte me) jo karta aur sochta hai, uske zahen me rehta hai, wo bhi khwab me aa jata hai, uski koi ta'abir nahin. woh khyaal ki ek taswir hai,
Lihaza ta'abir ke waqt uska khyal zaruri hai ke wo khwab ki kis qism se mutalliq hai,
Sirf ek qism ke khwab ki kuchh ta'abir ho sakti hai, ye woh hi hai jisey mubashsharat kahaa gaya hai,
لہم البشریٰ
se Qur'an paak me usi ki jaanib ishara hai, yeh hi nubuwwat ka 46 wa juz hai.

424
KHWAB KI NOIYYAT AUR USKI kISMEN
Hafiz ibne hajar rh. ne naql kiya hai ke khwab ki mukhtalif qismen hoti hai.
Hadise paak me 3 qismen jo mazkur hai, yeh hasr ke liye nahin hai, (Yaani 3 hi ho aesa nahi he), uske alawa aur bhi khwab ki qismen hai,
Masalan bedaari ki baaten khwab me dekhna,
Jaise kisi ki aadat hai falaan waqt khane ki, Chunanche usi waqt khane ko wo khwab me dekh raha hai.
Fat'hul baari, jild-12, safa-408
Khwab ki ek qism Azgaas bhi hai, jisey khwab-e-pareshan bhi kaha jata hai,
Idhar-udhar ka dekhna, uska ta'alluq bhi khayali umur se hota hai,  uski bhi koi ta'abir nahin.
425
SHAYTANI KHWAB
Haz. Abu Qataadah rd. farmate hai ke aap ﷺ ne farmaya :
Achchhe khwab Allah ki jaanib se hote hai aur bure (daravne, pareshan kun khwab) shaytan ki janib se hote hai.
FAAIDAH
Shaytan pareshan karne ke liye aur waham me mubtala karne ke liye daravne khwab dikhata hai.
426
NA-PASANDIDAH KHWAB KISI SE BAYAAN NA KARO
Haz. Abu Qatada rd. se riwayat hai ke Nabi e Kareem ﷺ  ne farmaya :
Jab tum koi Pasandidah khwab dekho to apne doston ke alawa kisi se bayaan na karo, aur jab na-pasandidah khwab dekho to kisi se bayaan na karo, usse koi zarar (nuksan) na hoga.
Mukhtasaran Bukhari, jild - 2, safa 1043
Haz. Abu Saeed Khudri rd. ki riwayat hai ke Aap ﷺ ne farmaya :
Na-Pasandidah khwab dekho to yeh shaytan ki jaanib se hai, uski buraai se panaah maango aur usey kisi se bayaan na karo to nuksaan na hoga.
Mukhtasaran Bukhari, jild - 2, safa - 1043
427
NA-PASANDIDAH KHWAB KISI SE BAYAN NA KARO
Haz. Jaabir rd. se riwayat hai ke ek shakhs Aap ﷺ ki khidmat me hazir huwa aur kaha Meine khwab me dekha hai goya mera sar (head) kat gaya hai,
Aap ﷺ muskurane lagey aur farmaya : jab tumhare saath khwab me shaytan khele to kisi se mat bataao
mishqat safa 395
FAIDAH
Jo khwab "Azgaase Ahlaam" hote hai yaani shaytan ki jaanib se parshan kun hote hai, unki ta'abir nahin hoti.
Shayad Aap ﷺ ko uska ilm bazariyah e wahee ho gaya ho ke uski koi ta'abir nahin. ta'abir bataane wale aise khwab ki ta'abir zawale saltanat ya ne'amaton ke zawal se dete hai.
Taybi, mishqat safa 395
428
NA-PASANDIDAH KHWAB DEKHE TO KYA KARE ?
Haz. Abu Hurairah rd. se riwayat hai ke Aap ﷺ ne farmaya :
Jab tum me se koi na-pasandidah khwab dekhe to baai (left) jaanib ho jaye, Allah Ta’ala se bhalai ka sawal karey, uski burai se panah maange.
ibne majah
Haz. Jaabir rd. se riwayat hai ke Aap ﷺ ne farmaya:
Jab tum me se koi na-pasandidah khwab dekhe to baai (left) taraf thukthakar de (thuke) aur shaytan se panaah maage
اعوذ باللہ من الشیطان الرجیم
Padhe aur karwat badal le.
Abu daaud
Haz. Jaabir rd. ki ibne maajah wali riwayat me hai ke Baai taraf 3 martaba thukthakar de,
Haz. Abu Qataadah rd. se riwayat hai ke Aap ﷺ ne farmaya :
Achchhe khwab Khuda ki taraf se hote hai, aur burey khwab dekhe to shyatan mardud se panaah maage yaani
اعوذ باللہ من الشیطان الرجیم
le Padhe aur jis karwat par ho usey badal
ibne majah,  safa 279
429
KHWAB SE BIMARI
Haz. Anas bin maalik rd. kehte hai ke ek shakhs Aap ﷺ ki khidmat me aaya aur arz kiya ke me aisa daraavna khwab dekhta hun ke bimar pad jata hun.
Aap ﷺ ne farmaya: Achchhe khwab Allah ki taraf se hote hain aur Bure khwab shaytan ki taraf se. Agar tum me se koi aisa khwab dekhe to baayi tataf 3 martaba thutk de aur
اعوذ بالله من الشیطان الرجیم
Padhe to usse koi nuksaan na hoga.
majma'a, jild 7, safa 176
FAIDAH
Isse ma'alum hua ke ba'az shaytani khwab aise bhi hote hai jisse insaan bimar pad sakta hai.
430
KHWAB SE BIMARI
Imaam bukhari rh. ne bhi Haz. Abu Salmah aur Abu Qataadah rd. ke muta'alliq bayaan kiya hai ke woh khwab dekhte to bimar pad jate.
Bukhari,jild-2, safa-1043
Lihaza agar is qism ke khwab ke baad mazkurah amal kar liya jae to nuksan se hifazat hoti hai.
Imaam bukhari rh. ne ibne sirin rh. ki riwayat me bayaan kiya hai ke agar na-pasandidah khwab dekhe to uth jaye aur namaz padhe aur kisi se bayaan na kare
Bukhari, jild-2, safa-1043
431
KHWAB SE BIMARI
Hafiz ibne hajar rh. ne bayaan kiya hai ke agar bure khwab dekhe to uske ye aadaab hai.
1.Auzu....
اعوذ بالله من الشیطان الرجیم
Padhe
2. Baayi (left) taraf thukthakaar (thuk) de.
3. Kisi se bayaan na kare.
4. Karwat badal le.
5. Uth kar namaz padh le.
Fat'hul baari, jild-12, safa-370
432
KHWAB SE BIMARI
Allama kartabee ne bayaan kiya hai ke khwab ke baad namaz padhna sab aadaab ko shamil aur jaame'a hai.
Fat'hul baari, safa-371
Ibrahim nakhaee rh. se na-pasandidah khwab ke baad yeh duaa mankul hai, isey padh le.
اعوذ بما عاذت بہ ملائکۃ اللہ و رسولہ من شر رویا ہذہ ان یصیبنی فیہا ما اکرہ فی دینی و دنیای
saeed ibne mansur, fat'h-12, safa-371
"Me is khwab ki taklifdeh umur se apne deenee aur duniyawi muamlat me panaah maangta hun, jaise ke Khuda ke farishton aur uske rasul ne panaah maagi hai"
433
SUBAH KA KHWAB ZIYADA SACHCHA HOTA HAI
Haz. Abu Saeed rd. nakal karte hai ke Aap ﷺ ne farmaya:
Ziyadah sachcha khwab subah ke waqt ka hota hai.
Tirmizee, safa 397
FAIDAH
Hafiz ibne hajar ne likha hai ke sahar ke waqt ke khwab ki ta'abir bahot jald waqe'a hoti hai, khaas kar subah sadik ke waqt ki. Dophar ke waqt ki bhi khwab ki ta'abir jald waqe'a hoti hai.
Fat'hul baari, jild-12, safa-390
434
Din aur Raat, Mard aur Aurat ke khwab ka yaqsaan (ek jaisa hi) hukm hai.
Fat'hul baari, jild-12, safa-392
Yaane jis tarah mard ka khwab sahih aur qabile ta'abir hoga usi tarah aurat ka bhi hoga.
435
SACH BOLNE WALE KA KHWAB SACHCHA HOTA HAI
Haz. Abu Hurairah rd. se marvi hai ke Aap ﷺ ne farmaya :
Jo sach bolne wala hota hai, uska khwab sachcha hota hai
ibne majah, safa 280
FAIDAH
Jo aadmi jhuth bolta hai uska khwab bhi jhutha hota hai, isse har shakhs andaza laga sakta hai ke uska khwab kaisa hoga,
Aaj jhuth ki bimari aam hai, ke basaa awqat aadmi bagair irade ke bhi jhuth bol deta hai,
(jaise ki aaj ke social media ke galat msg's)
jo jitna sachcha hoga uska khwab utna hi sachcha hoga,
Isiliye hazrate anbiya al. Ka khwab sachcha hota hai,
Jo log neki aur sulah me kam hai aksar unka khwab azgase ahlaam hota hai, bahot kam sachcha aur laaike ta'abir hota hai.
Fat'hul baari, safa 363
436
DARBAAR E NUBUWWAT KI CHND TA'ABIREN
CHAAND KI TA'ABIR
Haz. Abu Bakr Siddiq rd. Kehte hai ke Nabi e Paak صلی اللہ علیہ وسلم ne puchha:
Tum me se kisi ne khwab dekha hai ?
Uspar Haz. Aayeshah rd. ne arz kiya: Meine dekha hai ke 3 chaand hamare hujre me gire hai.
Aap ﷺ ne farmaya: Agar tera khwab sach hai to mera khyal (uski ta'abir ke mutalliq yeh hai ke) Usme 3 Afzaleen ahle jannat dafan honge.
Chunanche Aap ﷺ,  Haz. Abu Bakr rd., Haz. Umar rd. Usme madfun huwe.
majmauzzawaeed, jild 7, safa 185
437
DARBAAR E NUBUWWAT KI CHND TA'ABIREN
DUDH PINE KI TA'ABIR
Haz. Ibne Umar rd. se marvi hai ke Aap ﷺ ne ek khwab bayaan kiya ke, "Mere saamne dudh laya gaya, meine usko piya, (aur pi kar is qadar sairaab huwa) ke me dekh raha hun ke uski sairaabi naakhun se nikal rahi hai, fir baaqi maaddah (baaqi jo bacha) Umar (rd.) ko de diya.
Logon ne puchha : Aap ne kyaa ta'abir di ??
Aap ﷺ ne farmaya : Ilm se.
Bukhari, jild 2, safa 1037
FAIDAH
Hafiz ibne hajar rh. ne likha hai ke Dudh ki ta'abir Qur'an, Sunnat aur ilm se hoti hai.
Lihaza jisne jitna dudh pita dekha, usi qadar woh ilm se mustafiz hoga,
Bakri ka dudh kamaale sihhat, khushi ki taraf ishara hai,
Gaay ka dudh mulk ki khush'haali ki taraf ishara hai, Albatta Darindo ka dudh dekhna achchha Nahi hai.
Fat'hul baari, jild 12, safa 393
438
DARBAAR E NUBUWWAT KI CHND TA'ABIREN
PHOONK MAAR KAR UDAANE KI TA'ABIR
Haz . Ibne Abbas rd. se riwayat hai ke Aap ﷺ ne apna khwab bayaan karte huwe farmaya ke,
Me so raha tha, dekha ke mere haath me sone (gold) ke kangan rakh diye gaye hai, jo mujhe badey giraan (Naagavaar) guzre aur mujhe ranjh me daal diya,
Khwab hi me kahaa gaya ke Me usey phoonku,  Chunanche meine phoonk maari, (to dono ud gaye)
Meine uski ta'abir di ke 2 jhuthe muddayi e nubuwwat zaahir honge.
Ek Aswad Ansi jise Firoz ne Yaman me maar daala aur dusra Musaylamaa kazzab jise Ikrama rd. ne qatl kiya.
Bukhari, jild-2, safa 1041
439
DARBAAR E NUBUWWAT KI CHND TA'ABIREN
Hafiz ibne hajar ne bayan kiya ke jisne dekha ke wo ud raha hai, agar aasman ki taraf ho ya bagair kisi sidi wagerah ho to nuksaan ki tataf ishara hai,
Agar dekha ke aasman me udaa aur gaayab ho gaya to Maut ki taraf ishara hai,
Agar lout aaya to bimari se sihhat ki taraf ishara hai,
Agar chauraaee me ud raha hai to safar ki taraf ishara hai.
Fat'hul baari, jild 12, safa 430.

440
DARBAAR E NUBUWWAT KI CHND TA'ABIREN
SHAHAD (honey) AUR GHEE KI TA'ABIR
Hz. Ibne Umar rd. se riwayat hai ke unhone khwab dekha ke unki 2 ungliyon (fingers) me se ek ungli me shahad aur dusri ungli me ghee hai, dono ko chaat rahe hai,
Aap ﷺ ne ta'abir dete huwe farmaya : Agar tum zinda rahe to 2 kitaaben yaani Taurat aur Qur'an padhoge, yaani uske Aalim honge.
Chunanche dono ke aalim huwe.
Abu ya'ala, seerat, jild 7, safa 410
FAIDAH
Shahad aur Ghee ki ta'abir ilm aur bhalai se hoti hai.

441
DARBAAR E NUBUWWAT KI CHND TA'ABIREN
SAR KATNE KI TA'ABIR
Abu majlaz rh. Kehte hai ke ek shakhs Aap ﷺ ki khidmat me aaya aur arz kiya ke me khwab dekhta hun ke mera sar kaat diya gaya aur me usey dekh raha hun.
Aap ﷺ muskuraaye aur farmaya : Jab tumhara sar kaat diya gaya to tum kis aankh se dekh rahe the ?
Abhi kuchh hi der huwi thi ke unka inteqal ho gaya, sar katne ki ta'abir unki wafat se di aur dekhne ki ta'abir itteba e sunnat se.
seerat, jild 7, safa 417

442
DARBAAR E NUBUWWAT KI CHND TA'ABIREN
KHWAB GOYAA HAQEEQAT
Hz. Khuzaima bin saabit rd. Ne khwab me dekha ke unhone Nabi e paak صلی اللہ علیہ وسلم ki peshaani mubarak par sijdah kiya,
Unhone uska tazkirah aap ﷺ se kiya,
Aap ﷺ let gaye aur unhone aap ki peshani par sajdah kiya.
majmauzzawaeed, jild 1, safa182
FAIDAH
Khwab ko Aap ﷺ ne haqeeqat me pesh kar diya, jisse khwab ka sachcha hona wazeh ho gaya,
Mulla Ali Qari rh. ne is hadis e paak se ye usool nikala hai, Khwab me koi nek kaam karta dekhe to bedaari me kar lena mustahab hai.
Mirqaat

443
DARBAAR E NUBUWWAT KI CHND TA'ABIREN
SAFED (white) LIBAAS KI TA'ABIR
Hz. Aayesha rd. se marvi hai ke Aap ﷺ se Warqa Bin Navfal ke baarey me ma'alum kiya gaya.
Hz. Khadija rd. ne kaha ke Unhone Aap ﷺ ki Tasdeek ki thi lekin zuhur e nubuwwat se pehle unka visaal ho gaya,
Aap ﷺ ne farmaya ke khwab me dikhaye gaye to un par sufed (white) libaas the, agar wo dozakhi hote to unka libaas uske akawa hota.
mishqat safa 396
FAAIDAH
Safed kapde me malbus hone ki wajah se Aap ﷺ ne unko Naaji (najaat paane walon) me shumar farmaya, isse malum huva ke kisi ko safed libaas me dekho to ye najaat yaaftaa ki alamat hai

444
DARBAAR E NUBUWWAT KI CHND TA'ABIREN
AA'AZA WA JAWAREH KI TA'ABIR
hz. Umme fazal rd. Kehti hai ke meine Rasulallah ﷺ se bayan kiya ke Me apne ghar me aap ke aa'aza me ae koi uzv dekhti hun.
Aap ﷺ ne farmaya : Achchha khwab dekha, fatimaa ki aulaad ko tum dudh pilaogi.
Ibne mazah, safa 280
Uzw se ishara aulaad ki taraf hai, aur ghar me dekhne ka matlab ye hai ke tumhare ghar me uska rehna hoga, zaahir hai bachcha ka rehna parwarish aur dudh pilane ke liye hi ho sakta hai.

445
Hafiz ibne hajar askalanee rh. ne sharahe bukhari me ahaadis se maakhuz chnd taabiren bayan ki hai unme se
Khwab me mahal ka dekhna
Deendaar dekhe to amal e saleh ki taraf ishara hai,  gair Deendaar dekhe to Qaid aur Tangee ki taraf ishara hai,
Aur mahal me daakhil hona Shadi ki taraf ishara hai.

446
Hafiz ibne hajar askalanee rh. ne sharahe bukhari me ahaadis se maakhuz chnd taabiren bayan ki hai unme se
Khwab me wuzu karte huwe dekhna kisi aham kaam ke hone ki taraf ishara hai,
Agar wuzu muqammal kiya hai to uski takmil (puraa) aur agar adhura chhoda hai to uske naaqis (adhura) hone ki taraf ishara hai
Fat'hul baari, jild-12, safa-417
Khwab me Qaaba ka tawaf, haj aur nikaah ki taraf ishara hai.
Fat'hul baari, jild-12, safa-417

447
Hafiz ibne hajar askalanee rh. ne sharahe bukhari me ahaadis se maakhuz chnd taabiren bayan ki hai unme se
Pyala ka dekhna aurat ya aurat ki taraf se maal milne ki taraf ishara hai.
Jisne khwab me koi badi Talwar dekhi, andesha hai ke kisi fitna me padega,
Talwar paane se ishara hai hukumat ya vilayat ya unchhi mulazimat ki taraf.
Talwar ko myaan me kar lena ishara hai shadi ki taraf.
Fat'hul baari, jild 12, safa 427

448
Hafiz ibne hajar askalanee rh. ne sharahe bukhari me ahaadis se maakhuz chnd taabiren bayan ki hai unme se
Khwab me kamees pahente dekhna deen ki taraf ishara hai, jis qadar lambi kamees aur badi dekhega usi qadar deen aur aamale saaleh ki ziyadti ki taraf ishara hoga.
Fat'hul baari, jild 12, safa 395
Shaadab bagiche ki ta'abir bhi deene islam se hai, kabhi hare-bhare baag ki ta'abir amali kitabon se bhi hoti thi.
Fat'hul baari, jild 12, safa 397

449
Hafiz ibne hajar askalanee rh. ne sharahe bukhari me ahaadis se maakhuz chnd taabiren bayan ki hai unme se
Aurton ka dekhna husule duniya aur kabhi wus'ate rizk ki taraf ishara hota hai
Fat'hul baari, jild 12, safa 400
Basaa awqaat aurton ka dekhna aur unse lutf haasil karna ye shaytani khwab hota hai, uski koi ta'abir nahi, jaisa  ke umuman nayi umr walon ko hota hai

450
NABI E KAREEM صلی اللہ علیہ وسلم KO KHWAB ME DEKHNE KA BAYAN
Hz. Anas rd. se marvi hai ke Aap ﷺ ne farmaya : jisne mujhe khwab me dekha, pas usne mujh hi ko dekha, shaytaan meri surat me nahi aa sakta.
Hz. Abu Qatada rd. farmate hai ke aap ﷺ ne farmaya : jisne mujhe khwab me dekha, tehqeeq usne mujhe bedaari me dekha.
Daarmi, Kanzul ummal.
Abu bakr asfahani ne bayan kiya ke sa'ad bin qais ne apne walid se naqal kiya ke Rasule Paak صلی اللہ علیہ وسلم ka irshade mubarak hai ke : Jo roohon me Muhammad ﷺ ki Rooh par, jismon me Muhammad ﷺ ke jism par, Qabron me Muhammad ﷺ ki qabr par durud padhega, wo mujhe khwab me dekhega, aur jo mujhe khwab me dekhega Qayamat me mujhe dekhega me uski sifarish karunga, aur jiski me sifarish karunga wo mere houz se paani piyega, aur Allah Jalla Shanuhu, uske badan ko jahannam par haram farma denge.
Al qaulul badiussakhavi, safa 42, Fazaile durud safa 51
FAIDAH
Nabi e paak صلی اللہ علیہ وسلم ko khwab me dekhna badi mubarak baat hai, har mo'amin bande ko is amre azeem ka shouq rehta hai, kitne aise barguzida bande jo tamanna liye is duniya se rukhsat ho gaya, magar unko ye daulat mayassar nahi aayi.
Khyal rahe ke khwab me aap ﷺ ka deedar hona zarur ek achchi aur kaabile rashk wa ta'rif ki baat hai, Magar Na hona Deen ke nuks aur khalal ki baat Nahi.
Khwab me agar Aap ﷺ ko is shakl e mubarak me dekha hai jo ahadis me mazkur hai, to haqeeqatan Aap ﷺ hi ko dekha, agar kuchh ma'amuli fark ke sath dekha hai to aap ﷺ ka misl hai, aise khwab ko "azgaas" khwab e parshan me dakhil Nahi kiya jayega.
Fat'hul baari, jild 12, safa 386
(Baaqi msg 451 me InshaAllah)
(Ye msg 450, 451, 452 me puraa hoga)


451
[msg 450 se aagey]   Agar aisi halat me dekha jo aap s.a.w. ke khilaf thi to ye dekhne wale kakasur hai, maslan khilafe sunnat libaas me dekha, Allama taybi rh. Ne kaha hai ke ji haalat me bhi aap ko dekha basharate khwab ka mustahik hoga, Agar aap ko khilafe sunnat aur khilafe sharaee hukm kartehuwe dekha to ye dekhne wale ka kasur hai, aur khwabi hukm zahiri usule shariyat ke mutabiq khilafe unnat ya khilafe shariyat rahega, maslan hukm karta hua dekha ke kot-patlun pehno, ya falaa ko qatal kar doya sharab piyo, to us par amal karna durut na hoga, ye dar asal uske khayalat ka aaina hai, jo mutasawwar huwa hai,   Isi tarah khwab se ahkame shariyat saabit nahi hote,   Aap s.a.w. ko gair ma;aruf sifat par dekhne wala bhi aap s.a.w. ke hi ko dkehne wala hai.   Baaz ahle ilm ki raay hai ke jisne aap s.a.w. ko khwab me dekha wo maut ke baad aap s.a.w. ke makhsus deedare Mubarak se nawaza jayega, Fat’hul baari   Mulla ali qari rh. Ne bayan kiya hai ke jisne aap s.a.w. ko muskurata dekha usey ittebae sunnat ki taufiq hogi,
Jama’a safa232   (baaqi msg 452 me inshaAllah)

452
(Msg 451 se aagey)
Haq Ta’ala Shanuhu ne jaisa ke aalame hayaat me huzure akdas s.a.w. ko shytan ke asae e mehfuzfarma diya tha aise hi wisaal ke baad bhi shaytan ko ye qudrat marahmat nahi farmayi ke wo aap ki surat bana sake. [khasaail afa387]   Qaleeb rh. Kehte hai ke mujhe hz. Abu hurairah rd. ne huzure aqdas s.a.w. ka irshade mubarakl sunaya, jo mujhe khwab me dekhe,. Wo haqeeqatan mujh hi ko khwab me dekhta hai, is liye ke shaytan meri shakal nahi bana sakta, Qaleeb  rh. Kehte hai meine is hadees ka hz. Ibne Abbas rd. se tazkirah kiya aur ye bhi kaha ke mujhe khwab me ziyarat huwi hai, Us waqt hz. Hasan rd. ka khyal aaya, meine hz. Ibne Abbas rd. se kaha ke meine us khwab ki surat ko hz. Hasan rd. ki surat ke bahot mushabeh paaya, Us par ibne Abbas rd. ne uski tasdeekj farmayi ke waqayee hz. Hasan rd. Aap s.a.w. e bahot mushabeh the, [fat’hul baari]   Allama manavi rh. Ne zikr kiya hai ke hazrate anbiya al. aur farishton ki shaql me shaytan nahi aa sakta [jama’a safa232]   Baaz riwayat me aaya hai ke seena aur uske upar ke badan ka hissa to hazrat Hasan rd. ka huzure aqdas s.a.w. ke mushabeh tha, aur badan ke niche ka hissa hz. Husain rd. ka huzure aqdas s.a.w. ke ziyada mushabeh tha. [khasaail safa388]

453
ZIYARATE MUTABARRAQ KE KUCHH FAWAAID WA TA'ABIRAAT
Jisne aap ﷺ ko khwab me dekha, uske saaleh wa kamale deen ki alamat hai, hazrat anbiya al. Ko khwab me dekhna salaahe taqwa, kamaale martaba aur falaah ki alamat hai.
fat'hul baari jild 12 safa 387
Jisne aap ﷺ ko khwab muskurata huwa dekha usey itteba wa sunnat zinda karne ki kimtee daulat milegi, jisne aap ﷺ ko gussa wa gaiz ki halat me dekha uske deen me nuksan ya usse deen me nuksaan ki alamat hai,
ALLAHUMAH FIZNA MINHU
jama'a 323

454
ZIYARATE MUTABARRAQ KE KUCHH FAWAAID WA TA'ABIRAAT
Aap ﷺ ko khwab me dekhna Islam par maut aur aakhirat me mulaqat aur ziyarat ki alamat hai.
jama'a safa 232
Jo aap ﷺ ko khwab me dekhega marne ke baad usko khususi ziyarat ka sharf milega.
fat'hul baari 12 safa 385

455
ZIYARATE MUTABARRAQ KE KUCHH FAWAAID WA TA'ABIRAAT
aap ﷺ ki ziyarat e paak qayamat me shafa'at wa sifarish ki alamat hai.
al qaulul badi'a safa 43
Ibne sireen ne bayan kiya agar madyun (karzdaar) aap ﷺ ki ziyarat karega to karza adaa ho jayega,
Mareez (bimar) aap ﷺ ki ziyarat karega to marz se shifa payega,
Agar zulm ke maqaam me dekhga to adal wa insaf ka zamana aayega,
Agar jannat ke mauqa par dekhega to galbaa ki alamat hai.
muntakhabul kalaam jild 1 safa 57

456
KHWAB ME ZIYARATE NABVI ﷺ KE HUSOOL KA BAYAN
shaah Abul Haq mohaddis dehlvi rh. ne targibe ahlus sa'adat me likha hai ke jumaa ki raat me 2 rakat nafl namaz adaa kare, har rakat me 11 baar aayatul kursi aur 11 baar surah ikhlas aur 100 baar durud sharif salaam ke baad padhe, InshaAllah 3 jumaa guzarne na payenge ke ziyarat naseeb hogi.
Durud sharif ye hai

457
KHWAB ME ZIYARATE NABVI ﷺ KE HUSOOL KA BAYAN
Jo shakhs 2 rakat namaz padhe aur har rakat me Alhamulillah ke baad 25 martaba kul hu wallahu aur salaam ke baad ye durud sharif 1000 martaba padhe, ziyarat naseeb hogi.
Wo durud sharif ye hai

458
KHWAB ME ZIYARATE NABVI ﷺ KE HUSOOL KA BAYAN
Allama damiree rh. Ne hayatul haywan me likha hai ke jo shakhs jumaa ke din jumaa ki namaz ke baad baawuzu ek parcha par
Muhammad Rasulullah
Ahmed Rasulullah
35 martaba likhe aur us parche ko apne saath rakhe, Allah JallaShanuhu usko taa'at  par quwwat ataa farmate hai, barkat me madad farmate hai, shayateen ke wasaawis se hifazat farmate hai, aur agar us parche ko rozana tulue aaftab ke baad durud sharif padhte huwe gaur se dekhta rahe to nabi e paak ﷺ ki ziyarat khwab me ba kasrat huwa karegi.
(Fazaile durud sharif safa 53

459
KHWAB ME ZIYARATE NABVI ﷺ KE HUSOOL KA BAYAN
Allama sakhavi rh. ne qaule badi'a me bayan kiya hai ke jo is durud sharif ko padhega huzur  ko khwab me dekhega.

460
ZUBEDA MALIKA KI BAKHSISH
Zubeda khatoon ek nek maleka thi, usne nehre zubeda banwa kar makhluk e Khuda ko bahot faaida pohchaya, apni wafat ke baad wo kisi ko khwab me nazar aayi,
usne puchha ke zubeda aap ke saath kyaa muaala pesh aaya ?
Zubeda ne jawab diya ke Allah Rabbul izzat ne bakhshish farma di,
Khwab dekhne wale ne kaha ke aap ne nehre zubeda banwa kar makhluk e Khuda ko faaida pohchaya,  aap ki bakhshish to honi hi thi,
Zubeda khatoon ne kaha .. nahi... nahi...
(baaqi msg 461 me InshaAllah)

461
(Msg 460 se aagey)
Zubeda khatoon ne kaha : nahi, nahi, jab nehre Zubeda wala amal pesh huwa to Parwardigare Aalam ne farmaya ke :kaam to tumne khazane ke paiso se karwaya, agar khazana na hota to nehar bhi na banti, mujhe ye batao ke tum ne mere liye kyaa amal kiya ?
Zubeda ne kaha ke me to ghabhra gai ke ab kyaa banega ??
(Baaqi msg 462 me InshaAllah)

462
ZUBEDA MALIKA KI BAKHSISH
(Msg 461 se aagey)
Magar Allah Rabbul Izzat ne mujh par maharbani farmayi,
Mujh se kaha gaya ke tumhara ek amal hamen pasand aa gaya
Ek martaba tum bhuk ki haalat me dastarkhwan par bethi, khana kha rahi thi, ke itne me Allahi Akbar ke alfaz se azaan ki aawaz sunai di, tumhare haath me luqma tha, aur sar se dupatta sarka huwa tha, tum ne luqme ko wapas rakha, pehle dupatte ko thik kiya, fir luqma khaya, tumne luqma khane me taakhir (der) Mere Naam ke adab ki wajah se ki, is liye hum ne tumhari magfirat farma di.


website developed by
Zakirhusain Abdullah Patel
Remember in Duaa
for any suggestion plz call or whatsapp
+91 98244 80788


No comments:

Post a Comment